Friday, April 30, 2010

Meri muthi main band, Ek Jugnoo

Meri muthi main band,
Ek Jugnoo !!
Bahar nikalna chahta hai,
Par nikal paata nahin..
Raasta dhoondta hai!!
Par dhoond paata nahin..
Main muthi kaise khool doon..
Wohi to mera apna hai..
Agar muthi khul gaye to,
Woh Ur Jaye Ga....
Mere liye mur kar,
Kabhi nahin aayega...
Woh jaanta hi nahin,
Mujhay woh kitna piyaara hai !!
Wohi to bas ek sahaara hai !!
Woh jaanta hi nahin...
Jaanay bhi to kaise,
Woh to apni dunai ka baasi hai,
Meri Dunia..!!
Jo sirf meri dunai hai...
Woh us k liye Anjaani hai..
Woh jaana chahta hai..
Usay jaana hi hogaa..
Kion k !!
Kaye Sitaaray,
Us k muntazir hain !!
Kaye Bulbul,
Us k Muntazir hain..
Usay unhain rasta dikhana hai !!
Us safar pe usko jaana hai !!
Main itni Zaalim to nahin..
Main itni Sangdil to nahin...
Nahin..
Main Khud Gharz to nahin..
Meri muthi ko khulna hi hogaa..
Us Jugnoo ko Urnaa Hi Hogaaa !!
Batool bhi kitni Pagal hai..
Dost banaya bhi to usay !!
Jo Charaagh hai kaye manzilon kaa !!
Jo Raahi hai kaye Raaston kaa..
Usay aagay janaa hi hogaa..
Apni Manzil ko paana hoga...
JAA Mere Jugnoo..
Aaaj main ne muthi apni khol di..
Ye Haath Phir se Khaali hain..
Na Janay kaisay Sawaali hain..
Khairaat koi de jaata hai..
Do Pal ki khushi de jaata hai..
Ye Phir bhi kion Matwaali hain..
Ye Haath Phir Se Khaali hain..!!!

No comments:

Popular Posts