Monday, February 15, 2010

Hum teray shehar may aayey hain musaafir ki tarah

Hum teray shehar may aayey hain musaafir ki tarah,
Sirf ik baar mulakaat ka mauka dey dey !



Meri manzil hai kahan mera thikana hai kahan,
Suboh tak tujh say bichad kar mujhay jaana hai kahan,
Sochnay kay liyey ik raat ka mauka dey dey !



Apni aankho mein chupa rakhey hain jugnu mainay,
Apni palkon pay saja rakhay hain aansoo mainay,
Meri aankho ko bhi barsaat ka mauka dey dey !



Aaj ki raat mera dard-e-mohabbat sun ley,
Kup kapatay huey hothon ki shikayat sun ley,
Aaj izhaar-e-khayalaat ka mauka dey dey !



Bhoolna tha to yeh ikraar kiya hi kyon tha,
Bewafa toonay mujhay pyaar kiya hi kyon tha,
Sirf do chaar sawaalaat ka mauka dey dey !



Hum teray shehar may aayey hain musaafir ki tarah,
Sirf ik baar mulakaat ka muaka dey dey !

khayal keejiye kya kaam aaj maine kiya

khayal keejiye kya kaam aaj maine kiya
jab un ne di mujhe gaali, salaam maine kiya



kaha yeh sabr ne dil se ke lo khuda haafeez
ke haq-e-bandagee apna, tamaam maine kya




jhidak ke kehne lage, lab chale bahut ab tum
kabhi jo bhool ke unse, kalaam maine kiya



hawas yeh reh gayee, sahib ne par kabhi na kaha
ke aaj se tujhe 'insha', gulaam maine kiya




***************************************

Kal chodhveen ki raat thi, shab bar raha charcha tera

Kal chodhveen ki raat thi, shab bar raha charcha tera,
Kuch nay kaha yeh chaand hai, kuch nay kaha chehra tera!




Is shehar mein kis say miley, hum say to chooti mehfilay,
Har shakhs tera naam lay, har shakhs deewana tera !



Hum bhi wahan majood they, hum say bhi sab poocha kiyey,
Hum hus diyey hum chup rahey, manzoor tha parda tera !



Kal chodhveen ki raat thi, shab bar raha charcha tera,
Kuch nay kaha yeh chaand hai, kuch nay kaha chehra tera!

Dosti jab kisi say ki jaayey

Dosti jab kisi say ki jaayey,
Dushmano ki bhi raay lee jayey !



Maut ka zahar hai fizaon mein,
Ab kahan ja kay saans lee jayey !



Bas isee saunch mein hoon dooba hua,
Yeh nadi kaisay paar kee jayey !



Meray maazi kay zakhm barnay lagay,
Aaj phir koi bhool kee jayey !



Botlay khol kay to pee barson,
Aaj dil khol kay bee pee jayey !



Dosti jab kisi say ki jaayey,
Dushmano ki bhi raay lee jayey !

Log har mod pay ruk ruk kay sambhaltay kyon hain

Log har mod pay ruk ruk kay sambhaltay kyon hain,
Itna dartay hain to phir ghar say nikaltay kyon hain !



Main na jugnu hoon diya hoon na koi tara hoon,
Roshni vaalay meray naam say jaltay kyon hain !



Neend say mera taaluq hi nahin barso sein,
Khawab aa aa kay meri chat pay tehltay kyon hain !



Mod hota hai jawaani ka sambhalnay kay liyey,
Aur sab log yahin aa kay fisaltay kyon hain !



Log har mod pay ruk ruk kay sambhaltay kyon hain,
Itna dartay hain to phir ghar say nikaltay kyon hain !

Jhoothi sachchi aas pay jeena, kab tak aakhir

Jhoothi sachchi aas pay jeena, kab tak aakhir, aakhir kab tak,
Mey ki jagah khoon-e-dil peena, kab tak aakhir, aakhir kab tak !



Saucha hai ab paar utraingay, ya takra kar dhoob maraingay,
Toofano ki zad pay safeena, kab tak aakhir aakhir kab tak !



Ek maheenay kay vaaday par, saal guzaara phir bhi na aayey,
Vaaday ka yeh ek maheena, kab tak aakhir aakhir kab tak !



Saamnay duniya bhar kay gham hain, aur idhar ik tanha hum hain,
Sainkdo pathar ik aaiana, kab tak aakhir aakhir kab tak !

auroN ko kush karte rahe aur khud gham sehte rahe

auroN ko kush karte rahe aur khud gham sehte rahe
zindagi bhar hum ek gham gusaar ki talaash karte rahe




na koi hamraaz mila, na koi hamsafar ka saath
jahaN bhi gaye, siraf yaad-e-maazi ko saath karte rahe





haiN rooh ussi dehleez par, bas jism haiN yahaN
kiska haiN yeh kasoor, bas yahi sochthe rahe



yooN tho manzil saamne thi magar hamen na thi koi talab
karavaan guzrthe rahe aur hum siraf dekthe rahe





khud pe afsos karne se ab kya fayda hoga, 'faysal'
tum apne liye kab, siraf doosroN ke liye jeethe rahe

Kaanto ki chuban paayee phoolon ka maza bhi

Kaanto ki chuban paayee phoolon ka maza bhi,
Dil dard kay mausam mein roya bhi hasa bhi !



Aanay ka sabab yaad na jaaney ki khabar hai,
Woh dil mein raha aur usay tod gaya bhi !



'Gumnaam' kabhi apno say jo gham huey haasil,
Kuch yaad rahey unhey to kuch bhool gaya bhi !



Kaanto ki chuban paayee phoolon ka maza bhi,
Dil dard kay mausam mein roya bhi hasa bhi !


*************************

Dhoop hai kya aur saya kya hai, ab maaloom hua

Dhoop hai kya aur saya kya hai, ab maaloom hua,
Yeh sab khel tamasha kya hai, ab maaloom hua !



Hanstay phool ka chehra dekhoon aur bar aayee aankh,
Apnay saath yeh kisa kya hai, ab maaloom hua !



Hum barson kay baad bhi usko ab tak bhool na payey,
Dil say uska rishta kya, ab maaloom hua !



Sehra sehra pyasay batkay saari umar jaley,
Baadal ka ik tukda kya hai, ab maaloom hua !



Dhoop hai kya aur saya kya hai, ab maaloom hua,
Yeh sab khel tamasha kya hai, ab maaloom hua !

mausam ko isharon se bula kyun nahi lete

mausam ko isharon se bula kyun nahi lete
rootha hai agar woh to mana kyun nahi lete



deewana tumhara hai koi gair nahi hai
machla hai to seene se laga kyun nahi lete



tum jaag rahe ho mujhe achcha nahi lagta
chupke se meri neend chura kyun nahi lete



khat likh ke kabhie aur kabhie khat ko jala kar
tanhai ko rangeen bana kyun nahi lete


**************************

sar meiN saudaa bhi nahiN dil meiN tamanaa bhi nahiN

sar meiN saudaa bhi nahiN dil meiN tamanaa bhi nahiN
lekin iss tarq-e-muhabbat ka bharosaa bhi nahiN



yooN to hangaame uthathe nahiN deewaana-e-ishq
magar ei dost kuchch aisoN ka thikaanaa bhi nahiN



muddateN guzriN teri yaad bhi aayee na hameN
aur ham bhool gaye hoN tujhe, aisaa bhi nahiN



muNh se ham apne buraa to nahiN kehthe, ke 'faysal'
haiN tera dost magar aadmi achchaa bhi nahiN



****************************************

Toti Hai meri Neend mager, Tum ko is se kiya

Toti Hai meri Neend mager, Tum ko is se kiya!
Bajtey Rahe Hawaoon se Dar, Tum ko is se kiya!

Tum Moj Moj misel-e-Saba Ghoomtey Raho
kat Jaye Mere Sooch Ke Per, Tum ko is se kiya!

Auro Ka Hath Thamoo, Unhain Raasta Dekhao
Main Bhool Jaoo Apna Ghar, Tum ko is se kiya!

Le Jaye Mujh Ko Maal-e-ganimaat Ke Saath Koi
Tum Ne Tu Daal De Hai Seper, Tum ko is se kaya!

Tum Ne Tu Thak Ke Dhast Main Khemain Laga Liye
Tanha gaya Kissi Ka Safar ,Tum ko is se kaya!

Kabhi kabhi yun bhi humnay, apnay hi ko behlaya hai

Kabhi kabhi yun bhi humnay, apnay hi ko behlaya hai,
Jin baaton ko khud nahin samjhay, auron ko samjhaya hai !



Humsay poocho izzat waalon ki, izzat ka haal kabhi,
Humnay bhi is shehar mein reh kar, thoda naam kamaaya hai !



Us say bichday barson beetay, lekin aaj na jaanay kyon,
Aangan mein hastay bachon ko, be-qaaran dhamkaaya hai !



Koi mila to haath milaya, kahin gayey to baatain kee,
Ghar say baahar jab bhi nikley, din bhar bhoj uthaya hai !




Kabhi kabhi yun bhi humnay, apnay hi ko behlaya hai,
Jin baaton ko khud nahin samjhay, auron ko samjhaya hai !

Tanha tanha hum ro lengay, mehfil mehfil gayengay

Tanha tanha hum ro lengay, mehfil mehfil gayengay,
Jab tak aansoo paas rahengay, tab tak geet sunayengay !



Tum jo socho woh tum jaano, hum to apni kehtay hain,
Dher na karna ghar jaanay mein, varna ghar kho jayengay!



Bachon kay chotay haathon ko, chaand sitaray choonay do,
Chaar kitabain pad kar woh bhi, ham jaisay ho jayengay !



Kin rahon say door hai manzil, kaun sa rasta aasan hai,
Hum jab thak kar ruk jayengay, auron ko samjayengay !



Achi soorat vaalay saray, pathar-dil ho mumkin hai,
Hum to us din raay dengay, jis din dokha khayengay !



Tanha tanha hum ro lengay, mehfil mehfil gayengay,
Jab tak aansoo paas rahengay, tab tak geet sunayengay !

Acha sa koi mausam tanha sa koi aalam

Acha sa koi mausam tanha sa koi aalam,
Har waqt ka rona to, beekaar ka rona hai !



Barsaat ka baadal to deewana hai kya jaanay,
Kis rah say bachna hai, kis cchat ko bigona hai !



Gham ho ki khushi dono, kuch dher kay saathi hain,
Phir rasta hi rasta hai, hasna hai na rona hai !



Duniya jisey kehtay hain, jadoo ka khilona hai,
Mil jaayey to mitti hai, kho jaayey to sona hai !
**************************************

har taraf har jagah beshumar aadmi

har taraf har jagah beshumar aadmi
phir bhi tanhaiyon ka shikaar aadmi



subah se shaam tak bojh dhota hua
apni hi laash ka khud mazaar aadmi


 har taraf bhaagte daudhte raaste
har taraf aadmi ka shikaar aadmi



roz jeeta hua roz marta hua
har naye din naya intezar aadmi



zindagi ka mukkaddar safar dar safar
aakhri saans tak bekaraar aadmi

dhoop mein niklo ghataon mein naha kar dekho

dhoop mein niklo ghataon mein naha kar dekho
zindagi kya hai kitabon ko hata kar dekho



woh sitara hai chamakne do yun hi ankhon mein
kya zaroori hai use jism banakar dekho



paththaron mein bhi zuban hoti hai dil hote hain
apne ghar ki dar-o-deewar saja kar dekho



faasla nazaron ka dhoka bhi tho ho sakta hai
woh mile ya na mile haath badha kar dekho



****************************************

Apna gham ley kay kahin aur na jaaya na jayey

Apna gham ley kay kahin aur na jaaya na jayey,
Ghar mein bikhri huee cheezon ko sajaya jayey !



Jin chiragon ko hawaon ka koi khof nahin,
Un chiragon ko hawaon say bachaya jayey !



Baag mein jaanay kay aadaab hua kartay hain,
Kisi titlee ko na phoolon say udaya jayey !



Ghar say masjid hai bahut door chalo yun kar ley,
Kisi rotay huey bachay ko hansaya jayey !



Apna gham ley kay kahin aur na jaaya na jayey,
Ghar mein bikhri huee cheezon ko sajaya jayey !

************************************************

garaj baras pyaasi dharthi par phir paani de maula

garaj baras pyaasi dharthi par phir paani de maula
chidiyoN ko daane, bacchoN ko gud-dhaani de maula



do aur do ka jod hamesha chaar kahan hota haiN
soch samajh waaloN ko thodi naadaani de maula



phir roshan kar zeher ka pyaala, chamka nayee salibeN
jhootoN ki duniya meiN sach ko taabaani de maula



phir moorath se baher aakar chaaroN aur bhikar ja
phir mandir ko koi meera deewaani de maula


**********************************

Jab kisi say koi gila rakhna

Jab kisi say koi gila rakhna,
Saamnay apnay aaiana rakhna !



Yunh ujalon say vaasta rakhna,
Shama kay paas hi hawa rakhna !
Saamnay apnay ........



Ghar ki taameer chahay jaisee ho,
Ismay ronay ki kuch jagah rakhna !
Saamnay apnay ........



Masjiday hain namazion kay liyey,
Apnay ghar mein kahin khuda rakhna !
Saamnay apnay ........



Milna julna jahan zaroori ho,
Milnay julnay ka hausla rakhna !
Saamnay apnay ........



Jab kisi say koi gila rakhna,
Saamnay apnay aaiana rakhna !

Nazar nazar say mila kar sharaab peetay hain

Nazar nazar say mila kar sharaab peetay hain,
Hum unko paas bitha kar sharaab peetay hain !



Isee liyey to andhera hai maikaday mein bahut,
Yahan garon ko jala kar sharaab peetay hain !



Hamey tumharay siva kuch nazar nahin aaata,
Tumhay nazar mein saja kar sharaab peetay hain !



Un kay hisay mein aati hai pyaas hi aksar,
Jo doosron ko pila kar sharaab peetay hain !



Nazar nazar say mila kar sharaab peetay hain,
Hum unko paas bitha kar sharaab peetay hain !

dono jahaN teri muhobat meiN haar ke

dono jahaN teri muhobat meiN haar ke
wo ja raha haiN koi shab-e-gham guzaar ke



weeraan haiN maikadah KHum-o-saagar udhaas haiN
tum kya gaye ke rooth gaye din bahaar ke



duniya ne teri yaad se baigaana kar diya
tujh se bhi dil-faraib haiN gham-rozgaar ke



bhoole se muskuraa to diye the woh aaj 'faysal'
mat pooNch val-vale dil-e-kirdah_kaar ke

raaz-e-ulfat chupa ke dekh liya

raaz-e-ulfat chupa ke dekh liya
dil bahut kuch jalaa ke dekh liya




woh mere ho ke bhi mere na huey
un ko apna bana ke dekh liya



aur kya dekhne ko baakhi haiN
aap se dil laga ke dekh liya



'faysal', takmeel-e-gham bhi na ho sake
ishq ko aazmaa ke dekh liya

Agar hum kahen aur woh muskra dey

Agar hum kahen aur woh muskra dey,
Hum unkay liyey zindgaani luta dey,


Har ik mod par hum gamon ko saza dey,
Chalo zindagi ko mohabbat bana dey !



Agar khud ko bhoolay, to kuch bhi na bhoolay,
Ki chaahat mein unki khuda ko bhula dey !



Kabhi gham ki aandi jinay choo na payey,
Wafaon kay hum woh nash-e-man bana dey !



Qayaamat kay deewanay kehtay hain humsay,
Chalo unkay chehray say parda hata dey !



Saza dey sila dey, bana dey mita dey,
Magar woh koi faisla to suna dey !

Ulfat ka jab kisi nay liya naam ro padey

Ulfat ka jab kisi nay liya naam ro padey,
Apni wafa ka soch kay anjaam ro padey !



Har shaam yeh sawaal, mohabbat say kya mila,
Har shaam yeh jawaab, ki har shaam ro padey !



Rah-e-wafa mein hum ko khushi ki talaash thi,
Do gaam hi chalay thay ki har gaam ro padey !



Rona naseeb mein hai to auron say kya gila,
Apnay hi sar liya koi ilzaam, ro padey !



Ulfat ka jab kisi nay liya naam ro padey,
Apni wafa ka soch kay anjaam ro padey !

ishq meiN GHairat-e-jazbaat ne rone na diyaa

ishq meiN GHairat-e-jazbaat ne rone na diyaa
Warna kyaa baat thi kis baat ne rone na diyaa



aap kehte the ke rone se na badlenge naseeb
'umr bhar aapki is baat ne rone na diyaa



tujh se milkar hameiN rona tha, bahut rona tha
tangi-e-waqt-e-mulaaqaat ne rone na diyaa



ek do roz kaa sadma ho to ro leiN, 'Faysal'
ham ko har roz ke sadmat ne rone na diyaa




******************************

Aaj kay daur mein ay dost yeh manzar kyon hai

Aaj kay daur mein ay dost yeh manzar kyon hai,
Zakhm har sar pay har ik haath mein pathar kyon hai !



Jab haqeeqat hai ki har zaray mein tu rehta hai,
Phir zameen par kahin masjid kahin mandir kyon hai !



Apna anjaam to maaloom hai sab ko phir bhi,
Apni nazron mein har insaan sikandar kyon hai !



Zindagi jeenay kay kaabil hi nahin ab `Faysal'
warna har aankh mein ashko ka samandar kyon hai !



Aaj kay daur mein ay dost yeh manzar kyon hai,
Zakhm har sar pay har ik haath mein pathar kyon hai !

kissi ranjish ko hava do

kissi ranjish ko hava do, ki meiN zinda hooN abhi
mujhko ehsaas dila do, ki meiN zinda hooN abhi



mere rukne se meri saanseN bhi ruk jaayengi
faasle aur bada do, ki meiN zinda hooN abhi




zeher peene ki tho aadat thi zamaane waaloN
ab koi aur dava do, ki meiN zinda hooN abhi



chalthi raahoN meiN yooNhi aankh lagi haiN 'faysal'
bheed logoN ki hata do, ki meiN zinda hooN abhi

Saamnay hai jo usay log bura kehtay hain,

Saamnay hai jo usay log bura kehtay hain,
Jisko dekha hi nahin usko khuda kehtay hain !



Faasiley umar kay kuch aur bada deti hai,
Jaaney kyon log usey phir bhi dava kehtay hain !



Chand masoom say paton ka lahoo hai `Faysal',
Jisko mahboob kay hathon ki heena kehtay hain !



Saamnay hai jo usay log bura kehtay hain,
Jisko dekha hi nahin usko khuda kehtay hain !

Pathar kay khuda pathar kay sanam

*************************





Pathar kay khuda pathar kay sanam,
pathar kay hi insaan payey hain,
Tum shehar-e-mohabbat kehtay ho,
hum jaan bacha kar aayey hain !



But-khana samjhtay ho jisko,
poocho na wahan kya haalat hain,
Hum log wahin say lautay hain,
bas shukar karo laut aayey hain !



Hum soch rahey hain muddat say,
ab umar guzaray bhi to kahan,
Sehra main khushi kay phool nahin,
shehro mein gamon kay sayey hain !



Hothon pay tabassum halka sa,
aankho mein nami see ay `Faysal'
Hum ahl-e-mohabbat par aksar,
aisay bhi zamanay aayey hain !



*******************************

meri dukh ki koyee davaa na karo

********************************





meri dukh ki koyee davaa na karo
mujhko mujhse abhi juda na karo



nakhuda ko khuda kaha haiN to phir
doob jaavo, khuda khuda na karo




yeh sikhaya haiN dosti ne hameN
dost bankar kabhi wafaa na karo




ishq haiN ishq, yeh mazaak nahiN
chand lamhoN meiN faisla na karo





ashiqui ho ya bandgee(bandgi), 'faysal'
be-dilli se tho ibtida na karo



******************************

Aadmi aadmi ko kya dega

Aadmi aadmi ko kya dega,
Jo bhi dega wahi khuda dega !



Mera qaatil hi mera munsif hai,
Kya meray haq mein faisla dega !
Aadmi aadmi ko.....................



Zindagi ko qareeb say dekho,
Iska chehra tumhay rula dega !
Aadmi aadmi ko.....................



Humsay poocho na dosti ka sila,
Dushmano ka bhi dil hila dega !
Aadmi aadmi ko.....................



Aadmi aadmi ko kya dega,
Jo bhi dega wahi khuda dega !

phiray raah say woh yahaN aatay aatay

phiray raah say woh yahaN aatay aatay
ajal mer rahee too kahaaN aatay aatay




mujhe yaad karney say yeh muddaa thaa
nikal jaay dum hitchkyaaN aatay aatay



kalaija meray mooN ko aaye ga ik din
yooNhi lub pe aah-o-fooGHaN aatay aatay



nateeja na nikla, thakay sub payami
wahaN jaatay jaatay, yahaN aatay aatay


naheeN khel, ay 'daagh'! yaaroN say keh do
Keh aatee hae Urdu zUbaaN aatay aatay



***********************************

Dard-e-dil mein kami na ho jayey

Dard-e-dil mein kami na ho jayey,
Dosti dushmani na ho jayey !



Tum meri dosti ka dam na bharo,
Aasmaan mudayee na ho jayey !



Apni khoo-e-wafa say darta hoon,
Aashqi bandagi na ho jayey !



Dard-e-dil mein kami na ho jayey,
Dosti dushmani na ho jayey !

mera jee haiN jab tak teri justjoo haiN

mera jee haiN jab tak teri justjoo haiN
zubaaN jab talak haiN yehi guftagoo haiN



khuda jaane kya hoga anjaam iska
maiN besabar itna hooN, woh tund_khoo haiN



tamanna haiN teri agar haiN tamanna
teri aarzoo haiN, agar aarzoo haiN


kiya sair humne gulzaar-e-duniya
gul-e-dosti meiN ajab rang-o-boo haiN



ghanimat haiN yeh deed wa deed-e-yaaraaN
jahaN mund gayi aaNkh, maiN hooN na tu haiN



nazar meri dil ki padi 'dard' kis par
jidhar dekhtha hooN wohi rooh_b_rooh haiN

ik zara dil ke qareeb aao tho kuch chain pade

ik zara dil ke qareeb aao tho kuch chain pade
jaam ko jaam se takrao tho kuch chain pade



baithe baithe tho har mauj se dil dehlega
badke toofan se takraao tho kuch chain pade



jee ulajh tha haiN nagma-e-rangeen sunkar
geet ek dard bhara gaao tho kuch chain pade



daagh' ke sher jawaani meiN bhale lagthe haiN
'mir' ki koi ghazal gaao tho kuch chain pade



yaad-e-ayaa mein guzishtan se ijaazat lekar
'tarz' kuch der ko so jaao tho kuch chain pade



*********************************

Zindagi say badi saza hi nahin,

Zindagi say badi saza hi nahin,
Aur kya jurm hai pata hi nahin !



Itnay hison mein bat gaya hoon main,
Meray hisay mein kuch bacha hi nahin !



Sach ghatay ya badey to sach na rahey,
Jhooth ki koi intehaa hi nahin !



Jad do chaandi mein chahey sonay mein,
Aaiana jhooth bolta hi nahin !



Zindagi say badi saza hi nahin,
Aur kya jurm hai pata hi nahin !

Kaun aayega yahan koi na aaya hoga

Kaun aayega yahan koi na aaya hoga,
Mera darwaaza hawaon nay hilaaya hoga !



Dil-e-naadan na dhadk ay dil-e-naadan na dhadak,
Koi khat ley kay padosi kay ghar aaya hoga !



Gul say lipti hui titli ko gira kar dekho,
Aandhiyaan tumnay darakhton ko giraaya hoga !



Kaif pardes mein mat yaad karo apna makaan,
Ab kay baarish nay usay tod giraaya hoga !



Kaun aayega yahan koi na aaya hoga,
Mera darwaaza hawaon nay hilaaya hoga !

Jhoom kay jab rindo nay pila di

Jhoom kay jab rindo nay pila di,
Sheikh nay, chupkay chupkay dua di !


Ek kami thi TajMahal mein,
Hamnay teri tasveer laga di !
Jhoom kay jab rindo...............



Aapnay jootha vada karkay ,
Aaj hamaari umar bada di !
Jhoom kay jab rindo...............



Teri gali mein sajday karkay,
Hamnay ibadat-gah bana di !
Jhoom kay jab rindo...............



Jhoom kay jab rindo nay pila di,
Sheikh nay, chupkay chupkay dua di !

Sham-e-mazaar thi na koi saugwaar tha

Sham-e-mazaar thi na koi saugwaar tha,
Tum jis pay ro rahey they woh kiska mazaar tha !



Tadpoonga umar bhar dil-e-marham kay liyey,
Kambhakht na muraad ladakpan ka yaar tha !



Jadoo hai ya tilasam tumhari zuban mein,
Tum jhooth keh rahey they mujhay aitbaar tha !



Kya kya hamaray sajday ki rusvaaian huee,
Naksh-e-kadam kisi ka sar-e-rah guzar tha !



Sham-e-mazaar thi na koi saugwaar tha,
Tum jis pay ro rahey they woh kiska mazaar tha !

aaye haiN samjhaane log

aaye haiN samjhaane log
haiN kitne deewane log



dair-o-haram meiN chain jo miltha
kyoN jaathe maikhaane log





jaan ke sab kuch, kuch bhi na jaane
haiN kitne anjaane log



waqt pe kaam nahiN aathe haiN
ye jaane pehchaane log



ab jab mujh ko hosh nahiN haiN
aaye haiN samjhaane log



**************************

Apnay chehray say jo zahir hai, chupain kaisay

Apnay chehray say jo zahir hai, chupain kaisay,


Teri marzi kay mutaabik nazar aaain kaisay !







Ghar sajanay ka tassavur to bahut baad ka hai,

Pehlay yeh tay ho ki is gahr ko bachain kaisay !







Kah-kahan aankh ki bartav badal deta hai,

Hasnay vaalay tujhay aansoon nazar aaain kaisay !







Koi apni hi nazar say to hamay dekhayga,

Ek qatray ko samundar nazar aaain kaisay !







Apnay chehray say jo zahir hai, chupain kaisay,

Teri marzi kay mutaabik nazar aaain kaisay !

Hamay to ab bhi woh guzra zamana yaad aata hai

Hamay to ab bhi woh guzra zamana yaad aata hai,


Tumhay bhi kya kabhi koi deewana yaad aata hai !







Hawain tez thi, baarish bhi thi, toofan bhi tha, lekin,

Tera aisay mein bhi vaada nibhana yaad aata hai !







Guzar chuki thi bahut raat baton baton mein,

Phir uth kay woh tera shama bhujana yaad aata hai !







Ghatain kitni dekhi hain par mujhay `Israr',

Kisi ka rukh par woh zulfain giraana yaad aata hai !







Hamay to ab bhi woh guzra zamana yaad aata hai,

Tumhay bhi kya kabhi koi deewana yaad aata hai !



Tu kahin bhi rahey sar pay teray ilzaam to hai

Tu kahin bhi rahey sar pay teray ilzaam to hai,
Teray hathon ki lakiron mein mera naam to hai !



Mujko tu apna bana ya na bana teri khushi,
Tu zamanay mein meray naam say badnaam to hai !



Meray hissay mein koi jaam na aaayaa na sahi,
Teri mehfil mein meray naam koi shaam to hai !



Dekh kar log mujhay naam tera letay hain,
Is pay main khush hoon mohabbat ka yeh anjaam to hai !



Woh sitamghar hi sahi dekh kay usko `faysal',
Shukar is dil-e-bimaar ko aaraam to hai !



Tu kahin bhi rahey sar pay teray ilzaam to hai,
Teray hathon ki lakiron mein mera naam to hai !




***********************************

Popular Posts