Monday, February 15, 2010

Aaj kay daur mein ay dost yeh manzar kyon hai

Aaj kay daur mein ay dost yeh manzar kyon hai,
Zakhm har sar pay har ik haath mein pathar kyon hai !



Jab haqeeqat hai ki har zaray mein tu rehta hai,
Phir zameen par kahin masjid kahin mandir kyon hai !



Apna anjaam to maaloom hai sab ko phir bhi,
Apni nazron mein har insaan sikandar kyon hai !



Zindagi jeenay kay kaabil hi nahin ab `Faysal'
warna har aankh mein ashko ka samandar kyon hai !



Aaj kay daur mein ay dost yeh manzar kyon hai,
Zakhm har sar pay har ik haath mein pathar kyon hai !

No comments:

Popular Posts