Monday, February 15, 2010

Jhoothi sachchi aas pay jeena, kab tak aakhir

Jhoothi sachchi aas pay jeena, kab tak aakhir, aakhir kab tak,
Mey ki jagah khoon-e-dil peena, kab tak aakhir, aakhir kab tak !



Saucha hai ab paar utraingay, ya takra kar dhoob maraingay,
Toofano ki zad pay safeena, kab tak aakhir aakhir kab tak !



Ek maheenay kay vaaday par, saal guzaara phir bhi na aayey,
Vaaday ka yeh ek maheena, kab tak aakhir aakhir kab tak !



Saamnay duniya bhar kay gham hain, aur idhar ik tanha hum hain,
Sainkdo pathar ik aaiana, kab tak aakhir aakhir kab tak !

No comments:

Popular Posts