Monday, February 15, 2010

har taraf har jagah beshumar aadmi

har taraf har jagah beshumar aadmi
phir bhi tanhaiyon ka shikaar aadmi



subah se shaam tak bojh dhota hua
apni hi laash ka khud mazaar aadmi


 har taraf bhaagte daudhte raaste
har taraf aadmi ka shikaar aadmi



roz jeeta hua roz marta hua
har naye din naya intezar aadmi



zindagi ka mukkaddar safar dar safar
aakhri saans tak bekaraar aadmi

No comments:

Popular Posts