Monday, February 15, 2010

Kabhi kabhi yun bhi humnay, apnay hi ko behlaya hai

Kabhi kabhi yun bhi humnay, apnay hi ko behlaya hai,
Jin baaton ko khud nahin samjhay, auron ko samjhaya hai !



Humsay poocho izzat waalon ki, izzat ka haal kabhi,
Humnay bhi is shehar mein reh kar, thoda naam kamaaya hai !



Us say bichday barson beetay, lekin aaj na jaanay kyon,
Aangan mein hastay bachon ko, be-qaaran dhamkaaya hai !



Koi mila to haath milaya, kahin gayey to baatain kee,
Ghar say baahar jab bhi nikley, din bhar bhoj uthaya hai !




Kabhi kabhi yun bhi humnay, apnay hi ko behlaya hai,
Jin baaton ko khud nahin samjhay, auron ko samjhaya hai !

No comments:

Popular Posts