Monday, February 15, 2010

auroN ko kush karte rahe aur khud gham sehte rahe

auroN ko kush karte rahe aur khud gham sehte rahe
zindagi bhar hum ek gham gusaar ki talaash karte rahe




na koi hamraaz mila, na koi hamsafar ka saath
jahaN bhi gaye, siraf yaad-e-maazi ko saath karte rahe





haiN rooh ussi dehleez par, bas jism haiN yahaN
kiska haiN yeh kasoor, bas yahi sochthe rahe



yooN tho manzil saamne thi magar hamen na thi koi talab
karavaan guzrthe rahe aur hum siraf dekthe rahe





khud pe afsos karne se ab kya fayda hoga, 'faysal'
tum apne liye kab, siraf doosroN ke liye jeethe rahe

No comments:

Popular Posts