Monday, February 15, 2010

Nazar nazar say mila kar sharaab peetay hain

Nazar nazar say mila kar sharaab peetay hain,
Hum unko paas bitha kar sharaab peetay hain !



Isee liyey to andhera hai maikaday mein bahut,
Yahan garon ko jala kar sharaab peetay hain !



Hamey tumharay siva kuch nazar nahin aaata,
Tumhay nazar mein saja kar sharaab peetay hain !



Un kay hisay mein aati hai pyaas hi aksar,
Jo doosron ko pila kar sharaab peetay hain !



Nazar nazar say mila kar sharaab peetay hain,
Hum unko paas bitha kar sharaab peetay hain !

No comments:

Popular Posts