Saturday, June 12, 2010

Mujhe Yaad Koi Dua Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le


Mujhe Yaad Koi Dua Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,
Tu Meri Jabeen Pe Likha Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,


Abhi Rasta Bhi Hai Dhool Main Abhi Faida Bhi Hai Bhool Main,
Abhi Mujh Ko Tujh Se Gila Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,



Main Janam Janam Se Naraz Hoon Main Janam Janam Se Udaas Hoon,
Main Khabi Bhi Khul Ke Hansa Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,


Tu Hai Khwab Khwab Pukarta Meri Ankh Main Nahin Ashk Bhi,
Main Muddaton Se Jiya Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,


Tujhe Khushbuoon Ki Hai Arzoo Tujhe Roshni Ki Hai Justujo,
Main Hawa Nahin Diyya Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,


Tujhe Ansuoon Ka Pata Nahin Tujhe Ratjagon Ka Guman Nahin,
Tujhe Es Se Agay Pata Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,


Kahin Chhoot Sakta Hai Darmiaan Na Zameen Mile Gi Na Asmaan,
Tujhe Rastay Ka Pata Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,



Mujhe Dhoondta Hi Phire Ga Tu Na Jiye Ga Roz Maray Ga Tu,
Main Kabhi Bhi Ghar Pe Mila Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le,



Kaho Lautna Hai Kise Yahan Merey Dard Sun Mere Meharban,
Mere Paas Waqt Zara Nahin Mere Humsafar Abhi Soch Le

ajnabi tujhe na bhool paaye hai hum


ajnabi tujhe na bhool paaye hain hum,
ae bewafa tujhe na maaf kar payenge hum,

kare bhi to kya iss nadaan dil ka hum,
jitni nafrat utni hi mohabbat karte hain hum,

jante hai na mil payenge kabhi hum,
aur naa hi sapno se tujhe durr kar payenge hum,

tumhe kabhi nahi apna sakenge hum,
ae ajnabi tujhe dil se mita bhi to nahi sakte hain hum

Meri aankhon k samandar main jalan kaisi hai


Meri aankhon k samandar main jalan kaisi hai
aaj phir dil ko tarapne ki lagan kaisi hai 

ab kisi chhat pe charaghon ki roshni bhi nahin
ab tere sheher ki galiyon main ghhutan kaisi hai 

barf k roop main dhal jaaenge saare rishte
mujh se pouchho k mohobbat ki agan kaisi hai 

main tere wasal ki khuwahish ko naa marne dunga
mosam_e_hijr k lehje main thakan kaisi hai 

regzaaron main jo bunti rahi kaanton ki rida 
usski majboor si aankhon main kiran kaisi hai 

mujhe maasoom si larki pe taras aata hai
usse dekho tau mohobbat main magan kaisi hai

Uss sai milnay ko kabhi hum jo machal jatay hain


Uss sai milnay ko kabhi hum jo machal jatay hain 
Tou khayalon mai bohat door nikal jatay hain 

Gar waffaon mein sadaqat bhi ho shidatt bhi 
Phir to ehsas sai pather bhi pighal jatay hain 

Usski ankhon kai nashay mein hoon jab sai dooba 
Lar-kharatay hain qadam aur sambhal jatay hain 

Be-waffae ka jab bhi mujhay khayal aata hai 
Ashq ankhon sai rukhsar pai pighal jatay hain 

Payar mein aik hi mosam hai baharon ka Faraz 
Log mosam ki terah kaisay badal jatay hain ??????

Hath siney pe jo rakkh do to qarar aa jaye


Hath siney pe jo rakkh do to qarar aa jaye
Dil k ujhrhey huwe gulshan mai bahar aa jaye

Dil to kehta hai k aankho’n mai chhupa loo’n tujhko
Aur phir jaisey muqaddar ko nikhaar aa jaye

dil k zakhmo’n mai merey pyar ka marham rakkh do
Be qarari mai mujhey, kutch to qarar aa jaye

yu’n Khuda k liye chhino’n na merey hosh o hawas
Aisi nazro’n se na dekho k khumar aa jaye

Chhorh k tum bhi chaley jaogey qismat ki tarah
Laut aao k khizao’n mai bahar aa jaye

Aankhon Mein Bas Ke Dil Mein Samaa Kar Chaley Gaye

 
Aankhon Mein Bas Ke Dil Mein Samaa Kar Chaley Gaye 
Khwaabida Zindagi Thi Jaga Kar Chaley Gaye 

Chehrey Tak Aasteen Woh Laa Kar Chaley Gaye 
Kya Raaz Tha Ki Jiss Ko Chipa Kar Chaley Gaye 

Rag Rag Mein Iss Tarah Woh Sama Kar Chaley Gaye 
Jaisey Mujh Hi Ko Mujh Say Chura Kar Chaley Gaye 

Aaye Thay Dil Ki Pyaas Bujhaaney Ke Waastey 
Ikk Aag Si Woh Aur Lagaa Kar Chaley Gaye 

Lab Thar-thara Ke Rah Gaye Lekin Woh Aey "Jigar" 
Jaatey Huwey Nigaah Mila Kar Chaley Gaye ….!

Main ne haq_e _muhabbat ada kiya

Main ne haq_e _muhabbat ada kiya
na kabhi kisi se gila kiya
mujhey ajab iska sila mila
muhabbatun ki kitab ka
har ek warq jala diya
vo jo aarzu ka chiragh tha
ussey nafratun ne bujha diya
mujhey zakhm phir ek naya diya
mujhey is muhabbat ne kiya diya
woh jo kehte they khush raho
woh jo kehte they meri jan ho tum
har lamha hansa karo
mujhey aaj unhun ne rula diya
mera nishan tak mita diya!!!!

faasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha

faasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha 
saamne baitha tha mere aur wo mera na tha 

wo k Khushboo ki tarah phailaa tha mere chaar suu 
main use mehsoos kar sakta tha choo sakta na tha 

raat bhar us ki hi aahat kaan mein aati rahi
jhaank kar dekha galee mein koi bhi aaya na tha

aks to maujood the par aks tanhaai k thay 
aainaa to tha magar us mein tera chehra na tha 

aaj us ne dard bhi apne alaiheda kar diye 
aaj main roya to mere saath wo roya na tha 

ye sabhi weeraaniyan us ke judaa hone se thin 
aankh dhundlaayi hui thi shahar dhundalaya na tha 

yaad kar k aur bhi takleef hoti thi "Adeem" 
bhool jaane k siwa ab koi bhi chaara na tha

Raat aankho'n pe dhali palko'n pe jugnoo aaye

Raat aankho'n pe dhali palko'n pe jugnoo aaye
Ham hawao'n ki tarah jaa k usey chhoo aaye

Uska dil dil nahee'n patthar ka kaleja hoga
Jisko phoolo'n ka hunar aansoo ka jadoo aaye

Bas gayee hai merey ahsaas mai ye kaisi mehak
Koi khushboo mai lagaoo'n teri khushboo aaye

Khubsurat hain boht dunya k jhootey waadey
Phool kagaz k liye kaanch k bazoo aaye

Uss NE chhoo kar mujhe pathhar se phir insan kiya
Muddato'n baad meri aankho'n mai aansoo aaye

Dil Ney Tnaha Jhaili Raat

Dil Ney Tnaha Jhaili Raat
Hijr Ke Raat, Sahaili Raat
Dinn Waley Kub Booj Sakkay
Mushkil Shaam Pahaili Raat
Ikk Safa Ke Tashreehien! !
Chand,chakkor,chanbaili,raat
Din Apney Har Dad Ka Dost
Iss Ke Aik Sahaili Raat
Ikk Sunsan Nagar Har Saans 
Ikk Veraan Hawaili Raat
Iss Ka Roop " Harr " Ke Dhoop
Meri Sad Hathaili Raat
Iss Ke Aankh Se Chhalke Sham
Uss Ke Zulf Se Khaili Raat
Muhsin K Anjaam K Naam! !
Hijr Ke Nae Naweeeli Raat

Kaho Kia Bhool Jao Ge


Kaho Kia Bhool Jao Ge

Msn ki woh mulakaten 
Woh pyar bhari baaten 
Woh log in hone ka intezar 
Woh intezar ki sa'aten 
Kaho kia bhool jao ge?


Woh farzi naam ka batana 
Haha likh ker jhoota qehqaha lagana 
Woh ASL poochne par 
Apni umar ko or kam batana 
Kaho kia bhool jao ge?


Woh pyar bhari tehreeren 
Woh yahoo ki emotion tasweeren 
Wo nick main haal-e-dil likhna
Wo net ko fast karne ki tadbeeren 
Kaho kia bhool jao ge?


Woh typing se unglion main dard hona
Kisi baat per gussay se chehray ka zard hona
Lafz sorry ka screen par atay hi
Lehjay ka phir se sard hona
Kaho kia bhool jao ge? 


Woh jaagna roz raaton main
Woh chehakna pyar ki baaton main 
Woh type karte karte 
Lena mouse hathon main 
Kaho kia bhool jao ge?


Wo yahoo pe doosron ko ignore karna 
Har jumlay par bohat ghor karna
Woh dil par hath rakh kar bye kehna
Or zara dair or rukne par zor karna 
Kaho kia bhool jao ge?


Tumhare login hote hi 
Doston ka woh jhamguttha lag jana
Tum se baat karne ki khatir 
Sir dard ka woh jhoota bahana 
Kaho kia bhool jao ge?

Na aey chahat rakhi thi kabhi ki tum sirf mere hi bano

Na aey chahat rakhi thi kabhi ki tum sirf mere hi bano
main to hamesha bas tujhe chaahti rahi thi

na ye arzoo ki kabhi ki mere pyaar ka jawaab do, 
sirf pyaar hi pyaar se main dekhti tujhe rahi, 

ek ehsaas tha dil me jo tujhe dekh jaag uthta tha, 
us ehsaas ko khamoshi se mehsoos karti gayi, 

teri hi rahon me thi,bas tere kareeb rehne ko, 
tu dekh na sake mujhe,chup chup tujhe nihaarti rahi, 

Guzar gaye din,guzar gaye kai saal aise hi
tere hi khwaab aankhon me sajaati rahi, 

Na chaha kabhi ye khwab tum aakar poore karo
dil ke armaan dil me paida kar wahin todti rahi, 

khamosh lafz,khamosh aankhein,khamosh zindagani 
is tarah waqt ke saath main jeeti gayi,

Jaanti thi tootenge ye pyaar ke khwab ek din 
isliye inhe khud bun khud hi main bikherti gayi, 

Tu hai aaj kisi aur ka,lekin main hun sirf teri 
apni pyaar bhari duniya me tujhe mein basaati gai , 

Na tujhe kal khabar thi,na aaj khabar hai ye 
muskuraahat me har ek ashq peeti gayi main, 

Meri chahat thi bas yahi ki tujhe chaahti rahoon
teri khushiyon ko tere kareeb rehke nihaarti rahun, 

jaanti thi agarmaine ikraar kar diya mohabbat ka
na koi rishta reh paayega phir tere kareeb rehne ka, 

ek maamooli dost bankar hi sahi,manzoor tha mujhe
bas teri zindagi me rehne ko pyaar dabaati rahi**

Teri awaaz sun sakon,tujse baat kar sakoon
is khaatir nigahon ko apni khamosh karati gayi,

Jo tuje pata chal jaata kitni Mohabbat hai Tumse
Jaanti hun,phir na koi apna rishta reh paata,

Chup chup ke sahi aey pyar nibhaaungi zindagi bhar
Khamosh thi,khamosh hi reh jayegi ab aey Mohabbat!

Usay jab yad ayega wo pehli bar ka milna


...Usay jab yad ayega wo pehli bar ka milna...
To pal pal yad rakhega ya sb kuch bhool jayega 
Usay jab yad ayega gaye mosam ka har lamha
To khud he ro parega wo ya khud he muskraega. 
Bula bhejega mjko ya khud wo he loat ayega
Usay jab yad ayega main kaisay muskurata tha
To Aankhain muskurain gi ya daman bheeg jayega
Usay jab yaad ayega main kaisay nam leta tha.
To mera nam likhega ya apna b mitaega
Jala dalega khat mere ya honton se lgaega
Usay jab yad ayega mera khamosh rehna.
To sub say keh he dalega ya khud say b chupaega
Usay jb yad ayega mera uth k chalay jana
Milay ga dhoond k mjhko ya ghut k mar he jayega
Usay jb yad ayega wo mera nangay sar phrna
To bijli bn k karkay ga ya badal bn k chayega
Usay jb yad ayega sulah hans kr mera krna
To muj say rooth jayega ya phir Aa k mnaega
Usay jab yad ayega mera mur kr chalay jana
To bnd rakhega darwazay ya phir Raahain sajayega
Usay jab yaad aye ga main kaisa ajnabi shakhs tha.
Taaluq khatam kr day ga ya rasmo rah badhayega

dost kya khoob wafaoon ka sila daitay hain

dost kya khoob wafaoon ka sila daitay hain
har naey moor par ik zakm naya daitay hain

tum say to khair ghari bar ki mulakat rahi
log barsoon ki rafakat ko bhula daitay hain

kaisay mumkin hai k dhowan bhi na ho aur dil bhi jalay
*** parti hai to pathar bhi sada daitay hain

kon hota hai musibat main kisi ka ay dost
aag lagti hai to patay bhi hawa daitay hain

jin pay hota hai bohat dil ko bharosa tabish
waqt parnay pay wohi log daga daitay hain

wafa humari bewafai hogayi...unki bewafai khudai hogay


wafa humari bewafai hogayi...unki bewafai khudai hogayi...
ab hum bhi bewafai sikhlein to acha hoga...

unki mehfilon mein roshni hi roshni hai...
ab ek bewafaon ki mehfil hum bhi sajayen to acha hoga...

har pal wo hume bhulate rahe...koi kahani ki tarah...
wo lamhe mohobbat k hum bhi bhul ji jayen to acha hoga...

meri tabasaumm wo ashkon mein badal gaye...
mushkurahat ko ab in labon pe na hi layen to acha hoga...

hume nahi adat kisiko azmane ki...wo hain azmane ki ek zinda dastan...
kisike dil se ab hum bhi khel kar dekhein to acha hoga....

humne khuda se har lamha chaht ki salamati k liye dua mangi thi...
bhikhar gaya mera ashian..humari duaon mein ab asar na hi aye to acha hoga...

aye "zindagi" sab sach kehte hian tu bewafa hi hai aur kuch bhi nahi....
ab maut se rishta jod lein to acha hoga...

saari zindagi jahanum mein guzari ab to is aag mein jalne ki adat si hogayi....
maut k baad bhi issi aag mein jalne do hume...k ab jaanat na hi mile to acha hoga..!!!

saath rehne ka waada kiya aur khud saath chor diya


saath rehne ka waada kiya aur khud saath chor diya.........
socha tha saath rehkar banayenge ek aashiyan 
aur denge tumhe khoob saari khushiyan.....
par saare sapne tootkar bhikar gaye aur
aankhon se aansuon ke leher beh gaye.......
is dil ko kaise samjhaun aur
apne aap ku kaise sambhalun......
chale gaye ho tum chor kar mera saath,....
ek din yaad aayega tumhe yehi saath aur 
laut kar aaoge tum mere pass......
phir se banayenge hum aashiyan...aur 
denge tumhe saari khusiyan..........
....... rahenge ham hamesha saath saath......

Mere khawabon k gulshan main khizain raqs karti hain


Mere khawabon k gulshan main khizain raqs karti hain
mere honton ki larzish main wafain raks karti hain

mjhe wo lakh tarpae magar us shakhs ki khatir 
mere dil k andheron main duain raqs karti hain

use kahna k lout aye sulagty shaam se pehle
kisi ki khushk ankhon main duain raqs karti hain

nikalta hai pari chehra kabhi jab raat ko yaro
andheray toot jate hain ziyain raqs karti hain

utarta hun kabhi jab main kitabon k samander main
kisi ki khawabidah chehray ki adain raqs karti hain

khuda janay kashish kaisi hai uski yadon main 
main uska zikr cheroon to hawain raqs karti hain

us say milnay ko kabhi hum jo machal jatay hain

us say milnay ko kabhi hum jo machal jatay hain 
to khayalon main boht dur nikal jatay hain

gar wafaon main sadaqat bhy ho shidat bhy 
phir to ehsas say pathar bhy pighal jatay hain

us ki ankhon kay nashay main hun jub say doby
larkhratay hain qadam aur sambhal jatay hain

bewafai ka mujhay jub bhy khayal ata hai
ashk rukhsar pay ankhon say phisal jatay hain

piyar main aik hy mausam hai baharon ka faraz
log mausam ki tarah kese badal jatay hain

Bas Tum ho Mere Dil ki har Dhakan main


Bas Tum ho
Mere Dil ki har Dhakan main,
Aaj bhi Hume,
Bas teri hi sada sunai deti hai,
Tanhai main bas,
Teri Yaadon ko hi Humane sath paya,
Bin tere Hume,
Ye sari Duniya Begani dikhai deti hai,
Hum Jee to sakate hain,
Tere bin, Ye Zindagi Parayi si mahsoos hoti hai,
Har pal mitaya tujhe Dil se,
Par Dhadkano main teri Aahat sunai deti hai.
Hum Hote hain kyon Udass
Teri Bewafai bhi Ab kuch Khas nazar Aati hai

Har shayari ka Jawab ho Yeh to koi zaroori to nahi


Har shayari ka jawab ho,
Yeh to koi zaroori to nahi
Har sawal ka jawab ho,
Yeh koi zaroori to nahi
Har dard ki dawa ho,
Yeh bhi koi zaroori to nahi
Smajhane wale mil jayein,
warna zindagi bekar hi nahi!

tum baat karo kuch is tarah,
dil mein ghar kar gaye eis tarah,
…..kahein kya ab yeh sonchte hain,..
apne aapko tumhari jagah rakhar,
ab pehchaan banrahein kuch eis tarah!

Leja leja to apne sang,
Khushiyon ka bhandar,
Rahana saath jab to wazah,
Kya hui bahar ki!
Khushiyon ka daaaman to sabhi pakte hain,
Rah jaati hain yaadein,
Dil ki tadap hi intezaar hai bas,
Kehtein hai ise dillagi!

Bina tere ek pal bhi,
nahin deti kya yeh saza,
kayamat hai ki chaa jao,
warna saza hai yeh, mohabatt ka nasha!

Hamesha rishta aar ya paar nahin hota

Hamesha rishta aar ya paar nahin hota,
samajh samajh ka pher hai,
har insaan dil daar nahin hota!

Kya bigara tha humne oonka,
humara dard woh samjh na sake,
humene kai bar samjhana chaaaha
woh humare dil ko parakh na sake.

kahtein hain woh dost hume,
apna bana na sake,
baat karte nibhaneki,
palak jhapakte,
woh nishan deekh na sake.

Badalte hain rishtey,
har pal kshan ab begaane se,
tootkar jo bikhar jaye,
oose dil nahin sheesha kehte hain,
Apne aapko dekho to oose aaina kahtein hain.
Aaina to sirf chehra pehchan deta hai,
Par dil toot jaye to oose pyaar,
ka darpan kahtein hain.

Rangon Se Manoos Dil Ko Hona Chahiye

Rangon Se Manoos Dil Ko Hona Chahiye
Taqaddus Rishton Ka Magar Dil Me Hona Chahiye



Saat Rangon Se Ye Duniya Sajti Nahi
Be Noor Sa Ek Rang Dil Me Hona Chahiye



Kiun Na Naaz Ho Mujhe Apni Dilbari Pe
Afsos Kuch To Tumhe Bhi Apni Qismat Pe Hona Chahiye



Saaton Aasman K Rang Peekhe Lagte Hein Abto
Kuch To Surkh Meri Aankhon Ko Ab Hona Chahiye



Ek Tum Hi To The Qareeb mere Itna
mere Dukh Ki Waja Logon Ko Bhi To Pata Hona Chahiy

UNKE SARE GHAM NAAM APNE LAGA HE CHUKA HON

UNKE SARE GHAM NAAM APNE LAGA HE CHUKA HON
JO GUZRI WOH MEIN SAB KO SUNA HE CHUKA HOON

DUNYA KI DOLAAT FAKAT DIL THA APNA
MAGAR DAAM SASTE LUTA HE CHUKA HOON

HEY RONA MUQADDAR MEIN KHUSHK ANKHIEEN
JO ANSO THE WO MEIN GIRA HE CHUKA HON

ZAKHMOON SAY BHARPOOR CHALNI SENA
KAI BAR PEHLE DEKHA HE CHUKA HOON

UNHEIN HON ZAMANE KI KHUSHYAAN MUYASSER
SAZA MENE PANI THI MEIN PAA HE CHUKA HOON

EHSAAS AB UNHEIN HOA RAHA HEY 
LEKIN UNKIE NAGRII SAY AB MEIN JAA HE CHUKA HON

mudat se mera dil hai ke abad nahi hai

mudat se mera dil hai ke abad nahi hai
hantto par meri ajj bhi faryad nahi hai 

ahtta hai kiyalon main merey aik hi chera 
bas iss ke siwa kuch be mujay yadd nahi hai 

dheka hai ujarte howay kitnay he gharo ko 
hai kon jo iss ishq main barbad nahi hai 

dil jiss ke judahi main dharkta hai ser_sham 
wo aam sa chera hai kohi pari zad nahi hai 

aik laher se utthi hai ajj be dil main meray 
iss laher ke utthnay ka sabab yadd nahi hai

Barsoon ki chahat ko ik pal mai badaltay dekha hum ne


Barsoon ki chahat ko ik pal mai badaltay dekha hum ne,

Toot kar chahnay waloon ko baat say mukartay dekha hum ne

Kaisay saja lain sapnay apni udaas ankhoon mai,

Har khuwab ko toot kar bhikartay dekha hum ne,

Kartay thay jo wada hamaisha saath chalnay ka,

Phir unhi ko raasta badaltay dekha hum ne,

AITEEBAR nahi raha kisi par bhi kia karain,

iss AITEBAAR ko kai baar baar martay dekha hum nay.

Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujko

Kachi Deewar Hoon Thokar Na Lagana Mujko
Apni Nazron Mein Basa Kar Na Giraana Mujko


Tumko Aankho Mein Tasavur Ki Tarah Rakhta Hoon
Dil Mein Dadhkan ki Tarah Tum bhi Basana Mujko


Baat Karnay Mein jo Mushkil ho Tumhay Mehfil Mein
Main Samajh Jaaonga Nazron Say Bataana Mujko


Vaada Utna Hi Karo Jitna Bibha Saktay Ho,
Khawab Poora jo na ho woh na Dikhana Mujko


Apnay Rishtay ki Nazaakat ka Baram Rakh Lena
Main to Aashiq Hoon Deewana na Banana Mujko

mere zindagi ki raah main

mere zindagi ki raah main,
tere beshumar nishanian,
mere zindagi ke har baab main, 
tere sainkroon hain kahanian, 
mere ankh main ,
tere khwaab hain,
mere ruh main tu basa hua,
jo na mill sake hum ,
too kia hua ,
mere lab pe koi,
gilla to nahin!!!

Aankhein benoor dil weeran kar gaya


Aankhein benoor dil weeran kar gaya 
ek shaqsh mujh ko tanha kar gaya

khushyian ly gaya hai woh sari faqat
meray naam ghamon ka jahan kar gaya


chaltay chaltay aachanak mujh se
juda aeisay hua mujhe heraan kar gaya


soochtii hoon es tanha mausam mein 
char soo yeh keisa sama kar gaya 

koi kisi ka hota hai nahi yahan 
jatay jatay yeahi farmaan kar gaya


khatam hona jis ka mumkin nahi aeisa
hijr ka taweel fasila kar gaya

bechanee ka betabi ka dil mein 
ek toofan sa barpa kar gaya 

bichra tuo mujh ko ehsaas hua 
mujh ko mujh se juda kar gaya 

chalna jis pay kabhi asaan tha apna
aaj wohi khathan rasta kar gaya

apni bhi kuch mana gaya aakhir woh
meri bhi kuch baat maan kar gaya 

meray koocha e weeran se jatay jatay 
har rasam e wafa nibha kar gaya

surat aaniay mein deikhoon to sochoon khud
mein kia thi woh mujh ko kia kar gaya

Us ne kaha mujh se kitna pyar hai

Us ne kaha mujh se kitna pyar hai,
maine kaha sitaron ka koi shumar hai?

us ne kaha ke koun tumhe hai bhut aziz,
maine kaha ke dil par jis ka ikhtiyar hai,

us ne kaha ke kon sa taufa hai manpasand?
maine kaha wo sham jo ab tak odar hai,

us ne kaha khazan main mulaqat ka jawaz 
maine kaha ke qurb ka matlb bahar hal,

us ne kaha sainkaron ghum zindagi main hain,
maine kaha ke ghum nahi jab ghum gazar ho,

us ne kaha sath kahan tak nibhao ge
maine kaha ke jitni sanson ki taar hai,

us ne kaha mujh ko yaqeen aye kis tarha,
maine kaha ke nam mera aitabar hai...

chalo ik baar phir se, ajnabi ban jae hum dono

chalo ik baar phir se, ajnabi ban jae hum dono
chalo ik baar phir se.....

na main tumse koi umeed rakhoon dilanawaazi ki,
na tum meri taraf dekho galat andaaz nazaron se.
na mere dil ki dhadakan ladakhadaye meri baaton se,
na zaahir ho tumhari kashm-kash ka raaz nazaron se.
chalo ik baar phir se.....

tumhen bhi koi ulajhan rokati hai peshakadami se,
mujhe bhi log kahate hai ki ye jalave parae hai.
mere hamaraah bhi rusavaaiyaan hai mere maazi ki,
tumhare saath bhi guzari hui raaton ke saaye hai.
chalo ik baar phir se.....

taarruf rog ho jaaye to usako bhulana behatar,
taalluk boajh ban jaaye to usako todana achaa.
vo afasana jise anjaam tak laana naa ho mumakin,
use ek khubasurat mord dekar chhordana acha.
chalo ik baar phir se.....

safar aur tera sath

Rakht_se_Safar ban ke chala
safar mai aik humsafar saath mai chala
chalty ,chalty hum taak gaya safar mai
najane Q Woo mere hatton ko thaam kar chala
hum ny khushwaish jo ki saath chalne kii
haste huwa apni aankhoo k diye mere nam karta chala
chahte hoi b ess ka dill mai toor naa sakii
kuch ess tarah woo mere maziloon parr gamzan hooker chala
Q Lagta tha k mere manzil us ki sadaqat hay 
apni taman mohabbat ke naam mjhe jaan kar chala
manzil taak poochooch kar woo ejazat ka talab garr bana
uss ka inteshaar barha
sath diya hay safar mai too ther Q nahi jate
ussne kaha k hum tumhare hain tum see door nahi jate
zindagi ka safar aur mout ki dagar saath chalygai
muskura kar woo mjhe hasne ki talqeen karta chala
mai mar chali uss k ess andaz parr
woo mere ghamoo ki sheddaton ko apna maan karr chala

meri khamoshi bool padi mere dil ki zuban ho kar

meri khamoshi bool padi mere dil ki zuban ho kar
Bataye aason ne mere aankh se rawana ho kar
sunaya na dil ka haal zuban se zamane ke darr se
sunaya ab apna haal-e-dil hum se zubane ho kar 
chupa lety hai hum apni aah ko apne hii seene main
magar darti hoo phat jaye ye aatish fishan ho kar
taluq toot gaye subse........
unse milte lekin.....
ke ab tho reh gayee hum sabse ne aashna hokar
to ab barega humari kismat ka tara bhi
kabhi chamkegi kismat bhi humari kehkashan ho kar
mangte reheinge milne ki Dua tumhari Rub sE
kabhi Rehmat wo fermayega hum pa meherbaan ho kar

Unhone dekha aur aansu gir pade


Unhone dekha aur aansu gir pade, 
bhari basant mein jaise phul bikhar pade, 
dukh vo nahi ki unhone hamein alvida kaha, 
dukh toh yeh hai ki uske baad woh khud bhi ro pade. ... 

Wo mile humko kahani bankar,
Dil me bas gaye pyar ki nishani bankar.
Hum jinhe jagah dete hain aankhon ke andar, 
Wo aksar nikal jate hai paani banker. ... 

tum duur ja kar itna etra rahe hoo...
kabhi hum gae toh bhula na sakoge.....
hansna jise adat samjh rahe hoo humari....
kabhi tum roye toh hans na sakoge.....

Mumkin nahi shayad kisi ko samajh pana, 
samjhe bina kisi se kya dil lagana, 
aasan hai kisi ko pyar karna, 
bahut mushkil hai kisi ka pyaar pana… ... 

Kisi mod par hum aapko khone nahi denge, 
Juda hona chaaho to bhi nahi hone denge. 
Chaandni raato mein aayegi meri yaad, 
Meri yaadon ke wo pal aapko sone nahi denge. ... 

Teri yaadon ke sahare duniye mein reh lete hain, 
Teri judai ka gam chupchaap seh lete hain.
Samjhaya dil ko ye raaz chupana,
Per aansu banke wo sab keh dete hain. ... 

Takdeer ne chaha, 
Takdeer ne bataya, 
Takdeer ne tumko aur hum milaya. 
Khushnasib thae hum yah woh pal, 
jab Anmol dost iss zindagi me......

Bikhren gay meray saray armaan dekh lena


Bikhren gay meray saray armaan dekh lena
Jab tum bano gay mujh say anjaan dekh lena.

Tum khush raho gay phir mehsoos ho ga aksar
Jeewan k saray lamhay weeran dekh lena.

Mujh ko na lay chalay to koyi na sang chalay ga
Raheen tumhari hoon gi sunsaan dekh lena.

Jaan heyat pi ker pa loon gi apni manzil
Meri b hoon gi mushkil aasan dekh lena.

Mojoon say *** kha ker sahil ko tham lo gay
Lykin kero gay apna nuqsan dekh lena.

Daman bacha ke apna kantoon ki rahguzar say
Ik din bano gay meray mehmaan dekh lena.

Sapnoo ki sarsarahat har roz tang kare gi
Aaye gi yaad meri, nadaan dekh lena.

Meri dua rahay gi teray sath saya ban ker
Tujh ko na choo sakay ga toofan dekh lena.

ek shakhs ko dekha tha taroon ki tarha hum ne


ek shakhs ko dekha tha taroon ki tarha hum ne 
ek shakhs ko chaha tha apno ki tarha hum ne  
ek shakhs ko samja tha phoolon ki tarha hum ne
wo shakhs qyamat tha kia karyn os ki batian
din os k liyay paida or os ki he thi ratain ...
kab milta kisi sy tha hm sy thin mulakatin
rung os ka shahabi tha zulfoon may thin mayhkaryn 
ankhayn thin k jadu tha palkayn thin k talwaryn
dushman b ager daykhen tu jaan sy dil haryn 
kuch tm sy wo milta tha batoon may shbaahat thi 
han tm sa he lagta tha shokhi may sharart mein 
lagta b tum he sa tha dastour e muhabat mein 
wo shakhs hmy ek din apno ki tarha bohla
taroon ki tarha doba pholoon ki tarha tota 
phir hath na aya wo hm ny boht dohnda
tm kis liyay chonky ho kab zikar tmhara hai 
kab tm sy takaza hy kab tm sy shikayat hai 
ek taza hikayat hy soun loo tu inayaat hai 
ek shakhs ko daykha tha taron ki tarha hum ne
ek shakhs ko chaha tha apnoo ki tarha hum ne
ek taza hikayat hy soun loo tu inayat hai . . . .

taj nagma hain mohabbat ke dhadakte saaz ka


taj nagma hain mohabbat ke dhadakte saaz ka
yeh hai woh aaina jisme aks hain mumtaz ka

mumtaz tujhe dekha jab taj mahal dekha
phir aa ki annkhon se guzra hua kal dekha

miltey hi nigaahon main sau rang lage khilne
tu meri mohabbat hain mujhse yeh kaha dil ne
aai jaan tujhe maine jab pehle pehle dekha
mumtaz tujhe dekha jab taj mahal dekha
phir aaj ki annkhon se guzra hua kal dekha

jab leke tu angdai kuch aur karib aayi
daman main mohabbat ke simti meri tanhai
ek noor ki baarish main bheega hua pal dekha
mumtaz tujhe dekha jab taj mahal dekha
phir aaj ki annkhon se guzra hua kal dekha

yeh hasti hui aankhein lehrate hue kesu
nagma teri khamoshi aawaz teri jadoo
maine teri baaton main andazzae ghazal dekha
mumtaz tujhe dekha jab taj mahal dekha
phir aaj ki annkhon se guzra hua kal dekha


maine teri aankho ka ek khwaab sajaya hain
tasverein wafa bankar jo samne aaya hain
tune hi nahi isko mumtaz mehal dekha
mumtaz tujhe dekha jab taj mahal dekha
phir aaj ki annkhon se gujra hua kal dekha

dua kar gam-e-dil, khuda se dua kar

dua kar gam-e-dil, khuda se dua kar 
vafaaon ka majaboor daaman bichha kar 
dua kar gam-e-dil, khuda se dua kar 
jo bijali chamakati hai unake mahal par 
vo kar le tasallee, mera ghar jala kar 
dua kar gam-e-dil, khuda se dua kar

salaamat rahe too, meri jaan jaaye 
mujhe is bahaane se hi maut aaye 
karoongi main kya chand saansen bacha kar 
dua kar gam-e-dil, khuda se dua kar

main kya doon tujhe mera sab lut chuka hai 
dua ke siva mere paas aur kya hai
gareebon ka ek aasaraa-e-khuda hai 
magar meri tujhase yahi iltaja hai 
na dil todana dil ki duniya basa kar 

dua kar gam-e-dil, khuda se dua kar 
vafaaon ka majaboor daaman bichha kar 
dua kar gam-e-dil, khuda se dua kar

Ai Baad-E-Saba Aahista Chal


Ai Baad-E-Saba Aahista Chal, 
Yahaan Soyi Hai Anaarakali 

Aankhon Me Jalawe Saleem Ke Liye, 
Khoyi Hui Hai Anaarakali 

Hai Shaheed-E-Ishq Ka Makabara 
Zara Chal Adab Se Yahaan Hawa 

Tujhe Yaad Ho Ke Na Yaad Ho 
Mujhe Yaad Hai Us Ka Maajhara 

Abhi Yaad Hai Mujhe Wo Ghadi 
Jab Kisi Ki Us Pe Nazar Padi 

Yahaan Husn Tha Wahaan Taaj Tha 
Yahaan Ishq Tha Wahaan Raaj Tha 

Ye Kaha Saleem Ne Pyaar Se 
Hans Hans Ke Apani Anaar Se 

Tu Kahe To Taaron Ko Tod Loon 
Tu Kahe To Taaj Bhi Chhod Doon 

Zara Dekh Le Kya Hawa Chali 
Na Raha Saleem Na Wo Kali 

Yah Mazaar Nishaani Hai Pyaar Ki 
Kisi Dard Bhari Ikaraar Ki 

Kis Bhanvare Ki Intezaar Me 
Yahaan Soyi Hai Kali Anaar Ki

Ai Baad-E-Saba Aahista Chal..
Yahaan Soyi Hai Kali Anaar Ki...!!

Hum ne aaj kuch sach likhne ki himmat ki hai

Hum ne aaj kuch sach likhne ki himmat ki hai
Koi jadoo nahi ! hum ne tum se mohabbat ki hai

Woh ek lamha bhi jo teri yaad ke bina guzra
Us pal mein hum ne khud se bhi nafrat ki hai 

Har shakhs milta hai aaker hume khuloos se
Baat meri soorat ki nahi ! baat to seerat ki hai 

Tum se pahle koi bhi na aa saka wahaan 
Dost jis dil pe aaj tum ne hukumat ki hai

Ye mere dil ka dard kam kyun nahi hota 
Aie dil hum ne kya dukhon se ulfat ki hai

Sazaa milegi tum ko bhi is faisle ke baad
Mere zameer ne sach bolne ki jurrat ki hai 

Kya karoon ! woh to pyar ka matlab bhi nahi janta 
Dil-e-NaaZ hum ne kis shakhs se mohabbat ki hai

jiite rahane kii sazaa de zindagii ai zindagii

jiite rahane kii sazaa de zindagii ai zindagii
ab to marane kii duaa de zindagii ai zindagii 

mai.n to ab uqtaa gayaa huu.N kyaa yahii hai qaayanaat
bas ye aa_iinaa haTaa de zindagii ai zindagii 

Dhuu.NDane nikalaa thaa tujh ko aur Khud ko kho diyaa
tuu hii ab meraa pataa de zindagii ai zindagii 

yaa mujhe ehasaas kii is qaid se kar de rihaa
varnaa diivaanaa banaa de zindagii ai zindagii

Khaamoshii Khud apanii sadaa ho aisaa bhii ho sakataa hai


Khaamoshii Khud apanii sadaa ho aisaa bhii ho sakataa hai
sannaaTaa hii guu.Nj rahaa ho aisaa bhii ho sakataa hai 

meraa maazii mujh se bichha.D kar kyaa jaane kis haal me.n hai
merii tarah vo bhii tanhaa ho aisaa bhii ho sakataa hai 

saharaa saharaa kab tak mai.n Dhuu.NDhuu.N ulfat kaa ek aalam
aalam aalam ik saharaa ho aisaa bhii ho sakataa hai 

ahl-e-tuufaa.N soch rahe hai.n saahil Duubaa jaataa hai
Khud un kaa dil Duub rahaa ho aisaa bhii ho sakataa hai

munsifo.n saliibo.n par faisale nahii.n hote


munsifo.n saliibo.n par faisale nahii.n hote
besabab baGaavat ke saanahe nahii.n hote

jhuuTh aur sadaaqat kii jang to azal se hai
phir bhii sach pe jiine ke hausale nahii.n hote

soch ke judaa honaa phir ke mil na paaye.nge
kyo.n ke is zamaane me.n mojeze nahii.n hote

jo bhii the gile shikave duur kar ke jaanaa thaa
kam se kam bichha.Dane par dil bure nahii.n hote

chaa.Nd se kahaa ham ne tum hii raat bhar jaago
ham se us kii yaado.n me.n rat_jage nahii.n hote

Ager Wo meherban hota

Ager Wo meherban hota
to mairy ankh main
Na jhilmilati nami hoti
na mairay dil ki wadi main
hizan ka Qafla rukta
Ager wo meherban hota….

Mairy be-noor Ankhoon main
sitaray Qaid ker deta
Mairy Zakhmi hatheeli per
wo ik phool dher deta
mairay hathoon ko apnay hath main le ker
Wo yeah kehta …

muhabbat roshni hai , rang hai
Khushboo hai sitara hai
Qasam mujhko muhabbat ki
Mujhe tu Sab se payara hai

Mager
Aisa wo tab kehta
Ager wo meherban hota..!!

ye husn teraa ye ishq meraa rangiin to hai bad_naam sahii

ye husn teraa ye ishq meraa 
rangiin to hai bad_naam sahii 
mujh par to ka_ii ilzaam lage 
tujh par bhii ko_ii ilzaam sahii 

is raat kii nikharii rangat ko 
kuchh aur nikhar jaane de zaraa 
nazaro.n ko bahak jaane de zaraa 
zulfo.n ko bikhar jaane de zaraa 
kuchh der kii hii taskiin sahii 
kuchh der kaa hii aaraam sahii 

jazbaat kii kaliyaa.N chunanaa hai 
aur pyaar kaa tohfaa denaa hai 
logo.n kii nigaahe.n kuchh bhii kahe.n 
logo.n se hame.n kyaa lenaa hai 
ye Khaas ta'alluq aapas kaa 
duniyaa kii nazar me.n aam sahii 

rusavaa_ii ke Dar se ghabaraa kar 
ham tark-e-vafaa kab karate hai.n 
jis dil ko basaa le.n pahaluu me.n 
us dil ko judaa kab karate hai.n 
jo hashr huaa hai laakho.n kaa 
apanaa bhii vahii anjaam sahii 

ye husn teraa ye ishq meraa 
rangiin to hai bad_naam sahii 
mujh par to ka_ii ilzaam lage 
tujh par bhii ko_ii ilzaam sahii

yaar thaa gul_zaar thaa baad-e-sabaa thii mai.n na thaa

yaar thaa gul_zaar thaa baad-e-sabaa thii mai.n na thaa 
laayaq-e-paa-bos-e-jaa.N kyaa hinaa thii mai.n na thaa 

haath kyo.n baa.Ndhe mere chhallaa agar chorii huaa 
ye saraapaa shoKhii-e-rang-e-hinaa thii mai.n na thaa 

mai.n ne puuchhaa kyaa huaa vo aap kaa husn-o-shabaab 
ha.Ns ke bolaa vo sanam shaan-e-Khudaa thii mai.n na thaa 

mai.n sisakataa rah gayaa aur mar gaye farahaad-o-qais 
kyaa unhii.n dono.n ke hisse me.n qazaa thii mai.n na thaa

Chaand Gehna Gaya Taqdeer Ki Peshaani Ka

Chaand Gehna Gaya Taqdeer Ki Peshaani Ka
Zindagi Teera.o.Tareek Shab-e-Taar Ki Hay

Koi Nannhi Si Ramaq Bhi Nahi Umeed Ki Ab
Koi Gul Khil Nahi Sakta, Yeh Fasl Khaar Ki Hay

Ham To Samjhay Thay Baharo'n Mai'n Milay Gi Manzil
Kisay Maloom Tha Yeh Raah, Soo-e-Daar Ki Hay

Kabhi Aankho'n Main Saja'ey Thay Bouhat Khuaab Magar
Ab Her Ik Khuaab, Her Ik Raat Be'Qaraar Si Hay

Teri Yaado'n Kay Tasalsul Mai'n Huway Gum Aesey
Thi Khiza'n Chaar Su, Samjhay Kay Rutt Bahaar Ki Hay

Umr Bhar Uss Say Jafao'n Kay Gilay Kartay Rahay
Tum Nay Yeh Bhi kabhi Dekha, Woh Sharmsaar Bhi Hay.?

soch ne meri use pareshaan to kiya hoga


soch ne meri use pareshaan to kiya hoga,
ruswayi ne meri use pasheman to kiya hoga...

bewaffa wo na sahi besamajh hi sahi
nadaani ne uski use insaan to kiya hoga.

chamkati dhoop,sehra ghata ke saaye mein
baarish ki boond ne mujhe mehman to kiya hoga.

jo moti meri aankhon se chalak kar bikhra 
mere zohri ne use pehchaan to liya hoga.

teri mehfil mein yun to hazaar chehre the,
kisi ne meri tarah fida dil o jaan to kiya hoga

vo thakaa huaa merii baaho.n me.n zaraa so gayaa

vo thakaa huaa merii baaho.n me.n zaraa so gayaa thaa to kyaa huaa 
abhii mai.n ne dekhaa hai chaa.Nd bhii kisii shaaKh-e-gul pe jhukaa huaa 


jise le ga_ii hai abhii havaa vo varaq thaa dil kii kitaab kaa 
kahii.n aa.Nsuo.n se miTaa huaa kahii.n aa.Nsuo.n se likhaa huaa 



ka_ii miil ret ko kaaT kar ko_ii mauj phuul khilaa ga_ii 
ko_ii pe.D pyaas se mar rahaa hai nadii ke paas kha.Daa huaa 



mujhe haadaso.n se sajaa sajaa ke bahut hasiin banaa diyaa 
meraa dil bhii jaise dulhan kaa haath ho mehandiyo.n se rachaa huaa  


vahii Khat ke jis pe jagah jagah do mahakate ho.nTho.n ke chaa.Nd the 
kisii bhuule-bisare se taaq par tah-e-gard hogaa dabaa huaa 



vahiii shahar hai vahii raaste vahii ghar hai aur vahii laan bhii 
magar us dariiche se puuchhanaa vo daraKht anaar kaa kyaa huaa 



mere saath juganuu hai ham_safar magar is sharar kii bisaat kyaa 
ye charaaG ko_ii charaaG hai na jalaa huaa na bujhaa huaa 

tujhe izhar mohabbat se agar nafrat hai

tujhe izhar mohabbat se agar nafrat hai
tu ne honton ko larazne se to roka hota

be niyazi se magar kanpti awaz ke sath
tu ne ghabra ke mera naam na poocha hota

tere bas mein thee agar mashal jazbat ki lau
tere rukhsar mein gulzar na bharka hota

yon to mujh se hoyen sirf ab-o-hawa ke baten
apne toote hoye fiqron ko to parkha hota

yonhi be wajhe thithakne ki zaroorat kya thee
dam kukhsat agar yaad na aya hota

tera gamaz bana khud tera andaz khiram
dil na sambhla tha to qadmon ko sambhala hota

apne badle meri tasveer nazar aa jati
tu ne us waqt agar aaiina dekha hota

hosla tujh ko na tha mujh se juda hone ka
warna kajal teri ankhon mein na phaila hota

Batoon Batoon Mein bicharnay ka ishara kerkay


Batoon Batoon Mein bicharnay ka ishara kerkay
khud bhi roya wo buhat hum say kinara kerkay

sochta rehta hoon tanhai mein anjam-e-khuloos
phir usi jurm-e-muhabbat ko dobara kerkay

jagmaga di hain teray shehar ki galian mein nay
apnay her ashk ko palkoon pe sitara kerkay

dekh laitay hain chalo hosla apnay dil ka
aur kuch roz teray sath guzara kerkay

aik hi shehar mein rehna magar milna nahee
dekhtay hain ye azziat gawara kerkay .......!

Yaad os shehar na ja, ojri hui galion se dar lagta hai


Yaad os shehar na ja, ojri hui galion se dar lagta hai 
Kon jany k kahan ghat lagi ho dukh ki 
Kon jany kisi chorahy, kisi mor, kisi ghar mn chupi bethi ho ranjish koi 

Yad ! os shehar mn gajron se sjy hathon se dil dukhta ha 
Yad ! os shehar mn ankhon k pupoton pe jmy boson se dam ghut’ta ha 
Yad ! os shehar mn gardan ka koi til ager ansoo mn otar aya 
Yad os shehr na ja 
Jis mn tmmnaon ki dehliz per 
Barishen any se pehly hi judai ajay 
Yad os sher mn ab gham k siwa kuch bhi nahi 
Koi naraz parosi jo hua bhi to bhala kia ho ga 
Tujh ko maloom ha ! 
Narazgian drd barha deti hain 
Na koi boly ga 
Na tuj ko manay ga koi 
Khushk ankhon k kisi tirchy kinary p pary 
Drd bhry shikwy ki chingari se 
Der tk tuj ko jalay ga koi 
Der tk tuj ko rulaye ga koi 
Der tk tuj ko staye ga koi 
Yad ! os shehr na ja 
Yad os shehar na ja, ojri hui galion se dar lgta ha 
Kon jany k kahan ghat lagi ho dukh ki

Popular Posts