faasle aise bhi honge ye kabhi socha na tha
saamne baitha tha mere aur wo mera na tha
wo k Khushboo ki tarah phailaa tha mere chaar suu
main use mehsoos kar sakta tha choo sakta na tha
raat bhar us ki hi aahat kaan mein aati rahi
jhaank kar dekha galee mein koi bhi aaya na tha
aks to maujood the par aks tanhaai k thay
aainaa to tha magar us mein tera chehra na tha
aaj us ne dard bhi apne alaiheda kar diye
aaj main roya to mere saath wo roya na tha
ye sabhi weeraaniyan us ke judaa hone se thin
aankh dhundlaayi hui thi shahar dhundalaya na tha
yaad kar k aur bhi takleef hoti thi "Adeem"
bhool jaane k siwa ab koi bhi chaara na tha
No comments:
Post a Comment