Na aey chahat rakhi thi kabhi ki tum sirf mere hi bano
main to hamesha bas tujhe chaahti rahi thi
na ye arzoo ki kabhi ki mere pyaar ka jawaab do,
sirf pyaar hi pyaar se main dekhti tujhe rahi,
ek ehsaas tha dil me jo tujhe dekh jaag uthta tha,
us ehsaas ko khamoshi se mehsoos karti gayi,
teri hi rahon me thi,bas tere kareeb rehne ko,
tu dekh na sake mujhe,chup chup tujhe nihaarti rahi,
Guzar gaye din,guzar gaye kai saal aise hi
tere hi khwaab aankhon me sajaati rahi,
Na chaha kabhi ye khwab tum aakar poore karo
dil ke armaan dil me paida kar wahin todti rahi,
khamosh lafz,khamosh aankhein,khamosh zindagani
is tarah waqt ke saath main jeeti gayi,
Jaanti thi tootenge ye pyaar ke khwab ek din
isliye inhe khud bun khud hi main bikherti gayi,
Tu hai aaj kisi aur ka,lekin main hun sirf teri
apni pyaar bhari duniya me tujhe mein basaati gai ,
Na tujhe kal khabar thi,na aaj khabar hai ye
muskuraahat me har ek ashq peeti gayi main,
Meri chahat thi bas yahi ki tujhe chaahti rahoon
teri khushiyon ko tere kareeb rehke nihaarti rahun,
jaanti thi agarmaine ikraar kar diya mohabbat ka
na koi rishta reh paayega phir tere kareeb rehne ka,
ek maamooli dost bankar hi sahi,manzoor tha mujhe
bas teri zindagi me rehne ko pyaar dabaati rahi**
Teri awaaz sun sakon,tujse baat kar sakoon
is khaatir nigahon ko apni khamosh karati gayi,
Jo tuje pata chal jaata kitni Mohabbat hai Tumse
Jaanti hun,phir na koi apna rishta reh paata,
Chup chup ke sahi aey pyar nibhaaungi zindagi bhar
Khamosh thi,khamosh hi reh jayegi ab aey Mohabbat!
No comments:
Post a Comment