Mere khawabon k gulshan main khizain raqs karti hain
mere honton ki larzish main wafain raks karti hain
mjhe wo lakh tarpae magar us shakhs ki khatir
mere dil k andheron main duain raqs karti hain
use kahna k lout aye sulagty shaam se pehle
kisi ki khushk ankhon main duain raqs karti hain
nikalta hai pari chehra kabhi jab raat ko yaro
andheray toot jate hain ziyain raqs karti hain
utarta hun kabhi jab main kitabon k samander main
kisi ki khawabidah chehray ki adain raqs karti hain
khuda janay kashish kaisi hai uski yadon main
main uska zikr cheroon to hawain raqs karti hain
1 comment:
I just love this ghazal. Yours is the biggest version i've ever found;i hope it's complete. Thanks alot for sharing.
Post a Comment