tujhe izhar mohabbat se agar nafrat hai
tu ne honton ko larazne se to roka hota
be niyazi se magar kanpti awaz ke sath
tu ne ghabra ke mera naam na poocha hota
tere bas mein thee agar mashal jazbat ki lau
tere rukhsar mein gulzar na bharka hota
yon to mujh se hoyen sirf ab-o-hawa ke baten
apne toote hoye fiqron ko to parkha hota
yonhi be wajhe thithakne ki zaroorat kya thee
dam kukhsat agar yaad na aya hota
tera gamaz bana khud tera andaz khiram
dil na sambhla tha to qadmon ko sambhala hota
apne badle meri tasveer nazar aa jati
tu ne us waqt agar aaiina dekha hota
hosla tujh ko na tha mujh se juda hone ka
warna kajal teri ankhon mein na phaila hota
No comments:
Post a Comment