Friday, April 23, 2010

Ye meri ghazlen ye meri nazmen

Ye meri ghazlen ye meri nazmen
Tamam teri hikayaten hain
Ye tazkare tere lutf ke hain
Ye shair teri shikayaten hain
Main teri nazar kar raha hun
Ye un zamanon ki sa’aten hain
Jo zindagi ke naiy safar main
Tujhe kissi waqt yaad aain
To aik ik harf ji uthay ga
Pehn ke anfas ki qabain
Udas tanhaoyon ke lamhon
Main naach uthen gi ye apsaraain
Mujhe tere dard ke ilawa bhi
Aur dukh the ye manta hun
Hazar gham the jo zindagi ki
Talash main the ye janta hun
Mujhe khabar thi keh tere aanchal main
Dard ki rait chanta hun
Magar har ik baar tujh ko chu kar
Ye rait rang-e-hina bani hai
Ye zakham gulzar ban gaye hain
Ye aah-e-sozan ghata bani hai
Ye dard moj-e-saba huwa hai
Ye aag dil ki sada bani hai
Aur ab ye sari mata-e-hasti
Ye phool ye zakhm sab tere hain
Ye dukh ke nohay,ye sunk ke naghme
Jo kal mere the wo ab tere hain
Jo teri qurbat teri judai
Main kat gaye roz-o-shab tere hain
Wo tera sha’air tea mughanni
Wo jis ki baten ajeeb si theen
Wo jis ke andaz khusarwana the
Aur adaain ghalib si theen
Wo jis ki jeene ki khahishen bhi
Khud us ke naseeb si theen
Na pooch us ka keh wo dewana
Both dinon ka ujar chuka hai
Wo kohkan to nahin tha lekin
Kari chatanon se larh chuka hai
Wo thak chukka tha aur us ka tesha
Ussi ke seenay main garh chuka hai

DardoN ke is koh-e-garaaN se

DardoN ke is koh-e-garaaN se
MeiN ne tarashi, nazm kay eewaN
ki ik ik sil,
Ik ik soch ki hairaaN moorat …
Garche qalam ki nok se tapke
Kitne tarane, kitne fasane
Lakh masaail
Dil meiN rahi sub dil ki hikayat!

Bees baras ki kaawish-e-paiham
Sochte din aur jaagti raateiN
Un ka haasil:
Aik yahi izhaar ki hasrat

Kahi chhat thi deewaar o dar the kahi

Kahi chhat thi deewaar o dar the kahi
Mila mujhko ghar ka pata der se
Diya to bahut zindagi ne mujhe
Magar jo diya wo diya der se

Hua na koi kaam mamul se
Guzre shab o roz kuchh is tarah
Kabhi chaand chamka galat waqt par
Kabhi ghar mein sooraj uga der se
[mamuul=custom/practice]

Kabhi ruk gaye raah mein be sabab
Kabhi waqt se pahle ghir aai shab
Huye band darwaaze khul khul ke sab
Jahan bhi gaya main gaya der se

Ye sab ittifaak ka khel hai
Yahi hai judaai yahi mel hai
Main mud mud ke dekha kiya door tak
Bani wo khaamoshi sada der se

Saja din bhi roshan huyi raat bhi
Bhare jaam lahraai barsaat bhi
Rahe saath kuchh aise haalat bhi
Jo hona tha jaldi hua der se

Bhatakti rahi yun hi har bandagi
Mili na kahin se koi roshni
Chupa tha kahin bheed mein aadami
Hua mujh mein roshan khuda der se

wo nafraton ke sawal kar ke


wo nafraton ke sawal kar ke

mohabaton ke jawab maange

ye chaahton ki karri mushaqat

chalen hain tanha

shikast khuurda

koi to mera bhi dard jaane

koi to uss se hisaab maange

Bad ik umr sar-e-raah usse deka tu

Bad ik umr sar-e-raah usse deka tu,
tez dharkn howi dil ki na mera rang ura,
parda-e-zehn pe tasveer na ubri koi,
na kisi yaad ne dastak di dar-e-dil pe mere,
koi halchal b meri zaat may bharpa na howi,
un nigahon may b muj ko nzr aaya na kahin,
ab koi pyas na shikwa na mohabat na hi khab,
aik be kaif sa lamha tha nigahain tu mili,
pr nigahon ne nigahon se kaha kuch b nahi,
wo jo be naam ta-alluk tha kabi dono may,
U laga jese hawaon may kahin jhool gaya,
ab ye ahsaas howa
may b usse bhool gaya.

Sar-e-sham hi se aangan may meray tanhai brasti rehi

Sar-e-sham hi se aangan may meray tanhai brasti rehi
gham-e-firaaq key gehray abar se tanhai brasti rehi

Ghabra kar veerani-e-dil se anjuman-e-yaraan may ja bethay
kuch bhaut shanaasa chehroon se tanhai brasti rehi

Shab bhar chuntaa raha phool teri yaadon key gulistaan se
chaman key har laala-o-gul se teri yad ki shanasai brasti rehi

tujhe junoon tha jaanan pheli baarish may bheegney ka
terey binaa ab saawan may boond boond tanhai brasti rehi

mujhe yaad hai wo tera shajr taley ashk bahaana
lamhoon may qaid rooh-e-Qais ko rehaie trasti rehi

Mohabbat jeet hoti hai


Mohabbat jeet hoti hai,

Magr ye haar jati hai,
Kabhi dilsoz lamhon se,
Kabhi bekar rasmon se,
Kabhi taqdeer walon se,
Kabhi majbur qasmon se,

Mager ye haar jati hai,
Kabhi ye phool jaisi hai,
Kabhi ye chand jaisi hai,
Kabhi ye dhoop jaisi hai,

Kabhi khush karti hai,
Kabhi ye rog daiti hai
Kisi ka chain laiti hai,
Kisi ko rula daiti hai,

Kabhi ye paar le jati hai,
Kabhi ye maar jati hai,
"Mohabbat" jeet hoti hai,
Mager ye haar jati hai...!

wo lamhay........


wo lamhay........
soch ki dahleez pay thehRay huwey haiN !
DecembeR k maheenay maiN
hazarooN saal pahlay jab

teRay waday K hontooN ne
meri Ankhoon Say Behtee Zindagi K Hanth Choomay Thay
meri Bayrang Batoon K Kinaray
Tum Nay Kwabon K
Sahary or Ashkon K Sitaray Rakh Diye Thay !
auR
Hawa Ko apni Chahat Ki
hifazat Kaa Ishara Kar Diya Thaa
Hawa Ki Khunkiyon main ab Bhi Teri naram batain
aahatoon Kaa Jaal Buntee Hian
Sama'at ....ab Bhee Teray
Qahqahon Kaa Shoor Sunti Hay
Khayal ab Tak Tumhari Ungliyon Say
meray Dil K Surkh Ansoo Pochta Hay!
Nigahain Baraf K Phelay
chamaktay Kenwas Par Jaa-Bajaa
Teri Rifaqat Ki Zarorat Paint Karti Hay !
Tehtartay Paniyon K Tan Pay Bikhri Dhoop
Tera Bagair rooti Hay
Kahan Hota Hay Too
Muhabat Ki Sulagtei rahguzar K Kinaray Pay
December ....
ab Bhi Tera Muntazir Hay !

Woh shayad akhri din tha


Woh shayad akhri din tha
Baras guzray kayii
Main nay "mohabbat" lafz likha tha
Koi kaghaz k tukray par
Achanak yaad aya hai
Mujh ko kisi say baat karni thi
Ussay kehna tha
Jan-e-jaan "mujhay tum say mohabbat hai"
Magar main keh nahi paya
Woh kaghaz aj tak
Lipta para hai dhool main lekin
Kisi ko day nahi paya
Dobara chah kar bhi main
MOHABBAT KAR NAHI PAYA....!

Main Thak Gayi Hoon Jana'n

Main Thak Gayi Hoon Jana'n !!
Kandho'n Pe Daale Kab Se
Beetey Dino'n Ki Yaadai'n
Tumhari Rah Guzar Main
Gumsum Khari Hui Hoon
Ek Aas Si Hai Dil Ko
Palto Ge Tum Kabhi Tou
Lekin Ae Mere Jana'n
Tum Se Meri Taraf Tak
Jitne Bhi Raaste Hain
Wo Bad-Gumanion K
Kanto'n Se Bhar Chuke Hain
Kanto'n Main Meri Khatir
Koi Rasta Bana Lo
Bas Ab Mujhe Mana Lo......!

Ek din ek udaas lamhe ne



Ek din ek udaas lamhe ne
Muskarate huwe jo dekh liya
Jane kiya dil main soch liya ?
Raasta mera hans k rook liya
Aur sene se lag gaya aise
Jaise bichra huwa koy apna
Ek muddat k baad milta hay
Tab se woh mere paas rahta hay
Isliye dil udaas rahta hay !!!

Kabi zid Mein Tere Ho Gaye

Kabi zid Mein Tere Ho Gaye,
Kabi Dil Ne Tuje Ganwa Diya,
Isi Kashmakash Mein Rahe Sada,
Tu Ne Yad Rakha Ya Bhula Diya,
Kabi Bebasi Me Hans Diye,
Kabi Hansi Ne Hm Ko Rula Dia,
Kabi Phool Se Rahi Dosti,
Kabi Hath Kanton Se Mila Lia,
Kabi Ek Ko Apna Na Kr Ske,
Kabi Khud Ko Sab Ka Bana Dia,
Yun Hi Din Guzar Gaye Pyar K,
Kabi ik Khwab Khud Ko Bana Liya,
Jo Khwab Ubhre in Aankhon Me
Unhen Aankh Me Hi Sula Dia…

Aik din main nay us say poocha

Aik din main nay us say poocha
Main kahan hon?????
Us nay kaha
Mere dil main
Meri jaan main
Meri sans main
Meri aas main
Meri dil ki dharkan main
Meri Rooh main
Meray pooray wajood main

Phir main nay poocha...!
Main kahan nahin hoon????

Us nay kuch dair soocha

Aur phir apne hath aagay kar diyay

or kaha

In lakeeron main....!

Kabhi yun bhi to ho Darya ka sahil ho


Kabhi yun bhi to ho
Darya ka sahil ho
Poray chand ki raat ho
Aur tum aao...

Kabhi yun bhi to ho
Peryun ki mehfil ho
koi tumhari baat ho
Aur tum aao...

Kabhi yun bhi to ho
Sooni her manzil ho
koi na mere saath ho
Aur tum aao...

Kabhi yun bhi to ho
Ye badil aisa toot k bersay
Mere dil ki tarah milne ko
Tumhara dil bhi tersay
Tum niklo ghar se..

Kabhi yun bhi to ho
Tanhai ho dil mein
boondain hu, bersaat ho
Aur tum aao...

Kabhi yun bhi to ho

Udaas Shamo'n Ki Siskiyon Main

Udaas Shamo'n Ki Siskiyon Main
Kabhi Jo Meri Awaz Sun'na
To
Beety Lamho ko Yaad Ker k
Inhi Fizaaon Main Lout aana

Tum Aya Kerty Thay Khuwab Ban Ker
Kabhi Mehkta GuLAAB ban ker
Main Khushk Honton sy
Jub
Pukaroon
In Adaaon Main Lout aana

Meri Wafaon ka Paas Rakhna
Meri Duaon Ka Paas Rakhna
Main Khali Hathon Ko Jub Uthaon
MEri Duaon Main Lout Ana...!

Chalo Tum Keh Rahay Ho To


Chalo Tum Keh Rahay Ho To
Main Wapis Loat Jata Hoon

Tumhain Munzil Mubarak Ho
Naye Saathi Mubarak hon

Magar Mujy Itna To batla Do
k
Wapis Kis Tarf Jaon??

Kahan Sy saath Laye Thay
Mujy Itna to Samjha do

Agar Aisa nhi Mumkin
to
Mujh Ko iss tarah torro

K
Main Yaksir Bikhar Jaaon

Bhatknay Sy to Behtr hai
Tumhary Paas Mar Jaaon

Kehne wale kehte hai



Kehne wale kehte hai
tum adab ki dunya ka roshan sitara hu
Dard ki es nagri mai
taza hawa ka jhonka hu

tumhare lafaz dilo ko taskheer kerne ki salahiyat rakhte hai
Tumhe logo ki sooch ko
muthi mai band kerne ka tareqa aata hai
tumhe totey dilo ki dastaan ko
safa e qartaas per raqam ker k
logo mai suroor bantane ka fun aata hai

Mai ye sub sunta hu yu hans perta hu
kehne wale ko kia khabar
dard ki nagri mai taza hawa ka jhonka kehlane wala ye larka
andar se kitna khali hai...!

Kaho In Bolti Ankhon Se Ke Khamosh Ho Jaayen

Kaho In Bolti Ankhon Se Ke Khamosh Ho Jaayen..


Andheri Raat Mein Roshan Sitara Kis Ne Dekha Hai..
Samundar Ke Safar Mein Haan Kinara Kis Ne Dekha Hai..
Sanbhal Jaa Aae Dil Ke Tumhein Samjhaaye Jaatey Hein..
Kaheen Aisa Na Ho Hum InKi Gehraai Mein Kho Jaayen..

Kaho In Bolti Ankhon Se Ke Khamosh Ho Jaayen..

Yeh Chaha Kub Tha InKi Aseeri Chore Jana Hai..
Magar Kismat Mein Likha Tha So Likha Tha Humne Mana Hai..
Humein Aise Jo Dekhain gay To Ab Bhi Na Paayen gay..
Na Paas aao Ke Jaatey Wakt Hum Qurbat Pe Ro Jaayen gay..

Kaho In Bolti Ankhon Se Ke Khamosh Ho Jaayen..

Humara Muskra Kar Alwida Kehna Inhe Bhaaya..
Magar Yeh Kia Abhi Se In Mein Saawan Utar Aaya?
Inhe Rooko Humare Dil Ka Yun Na Imtihaan Lain Ab..
Yeh Baadal Ab Kaheen Mun Ko Humare Na Bhigo Jaayen..

Kaho In Bolti Ankhon Se Ke Khamosh Ho Jaayen..

Dua Hai Yeh Sadah Hansti Rahein Roshan Rahein Har Dum..
Zamane Bhar Ki Hon Khushian, Yeh Na Dekhen Ab Koi Gham..
Meri Ankhon Ke Jugno Bhi Inhi Ki Shaam Mein Chamkein..
Khudaya ! saare Mausam In Mein Rang o Bu Sama jaayen..

Kaho In Bolti Ankhon Se Ke Khamosh Ho Jaayen

Yah dhup kinara shaam dhalen

Yah dhup kinara shaam dhalen,
Milte hain dono waqt jahan,
Jo raat na din, jo aaj na kal,
pal bhar ko amar, pal bhar mein dhuaan
Is dhup kinaare pal do pal.
Hothon ki lapak
Baahon ki khanak
Yah mel hamaara jhooth na sach
Kyon raar karen, kyon dosh dharen
kis kaaran jhoothi baat karen
Jab teri samandar aankhon mein
Is shaam ka suraj dubega
Sukh soyenge ghar dar waale
Aur rahi apni rah lega.

Kaash main teray ban gosh mein bunda hota


Kaash main teray ban gosh mein bunda hota
raat ko bekhabri mein jo machal jata main
to teray kaan say chup chap nikal jata main

subh ko girtay tri zulfon say jab basi phool
meray kho janay pe hota tera dil kitna malool
too mujhay dhoodhti kis shaoq say ghabrahat mein
apnay mehkay howay bistar ki har salwat mein

jonhi kartin tri narm ungliyan mehsoos mujhay
milta phir is gosh ka gosha e manoos mujhay

kaan say too mujhay hargiz na utara karti
too kabhi meri judai na gawara karti
yon teri qurbat e rangeen kay nshay mein madhosh
umr bhar rehta mri jaan main tra halqa e gosh
kaash main teray ban gosh mein bunda hota

Mujhko Bhi Tarkeeb Sikha Koi Yaar Julahe


Mujhko Bhi Tarkeeb Sikha Koi Yaar Julahe

Aksar Tujhko Dekha Hai Ek Tana Bunte
Jab Koi Taga Toot Gaya Ya Khatam Hua
Phir Se Baandh Ke Aur Sira Koi Jodh Ke Uss Mein
Aage Bun’ne Lagte Ho

Tere Iss Tane Mein Lekin
Ik Bhi Gaanth GirAh Buntar Ki Dekh Nahi Sakta Hai Koi

Maine Tou Ek Baar Buna Tha Ek Hi Rishta
Lekin Uski Saari Girhain Saaf Nazar Aatee Hain Meray Yaar Julahe

Mujhko Bhi Tarkeeb Sikha Koi Yaar Julahe…

Tera mera rishta kuch aisa uljha hai


Tera mera rishta kuch aisa uljha hai
isko suljhate suljhate
apne dil ki porain zakhmi kar betha hOon
rishta shayad sulajh na paye
lakin isko suljhane ki dhun main JANAA
saray khawab bhula betha hoon

APNA AAP BHULA BETHA HOON...!

Woh janti thi magar phir bhi


Woh janti thi magar phir bhi
Woh janti thi
k wafaa ka ajar nhi hota
Muhabbaton main sabar ka samar nhi hota
Woh janti thi
Muhabbat dukhon ka sehraa hai
Jahan seraab si khushiyan hain
Aur azaab se ghum
Jahan hai pyaas JUDAI ki betahasha magar
Millan ki barishein hoti hain jis dyar main kam
Woh janti thi
Muhabbat khiraaj mangti hai
Woh jis ko dil ka lahoo de k jagmagaya ho
Andheri rah k liye woh chirag mangti hai
Woh janti thi
Muhabbat woh reguzar hai jahan
Biche hain kaanch JUDAI k beshumaar magar
Brehna-pa hi inhein paar kerna perta hai
Ghumon ki dhoop main ab saibaan koi na ho
Kisi yaad ki chadar ko taan ker khud per
Tammam aahein daba ker guzarna perta hai
Woh janti thi
k wafaa ka ajar nhi hota
Mohabbat main sabar ka samar nhi hota
Hijar ki rah main hoti hai betahasha ghutan
Wahan kabhi bhi hawa ka guzar nhi hota
Woh janti thi
phir bhi rog le bethi
Kisi k pyar main na jane kyun jog le bethi...!

Lafzon ka khilaari wo



Lafzon ka khilaari wo…
Lafzon k khail may…
Dilon say khail jata hai…!!!
Aik pal may…
lafzon say…
nazuk say dil ka…
maan berhaa daita hai!
Magar…
Dosray pal may…
Alfaaz ki talwaar say…
Naazuk say dil ko…
Bulandi say…
Pasti ki athha gehraaiyon may…
Phaink jata hai…!!!
Lafzon ka khilaari wo……

MUJHEY ACHA SA LAGTA HY

MUJHEY ACHA SA LAGTA HY
TUMHARY SANG SANG CHALNA
WAFA KI AAG MAY CHALNA
TUMHEY NARAZ KER DENA
KABHI KHUD BHI ROOTH JANA
TUMHARI BARUKHI PER BHI
TUMHARI AARZOO KERNA
KHUD APNEY DIL KI DHADKEN SY
TUMHARI GUFTAGOO KERNA
MUJHEY ACHA SA LAGTA
BOHT ACHA SA LAGTA HY
TUM HI KO DEKHTEY REHNA
TUM HI KO SOCHTEY REHNA
BOHT GHERY KHAYALON MAY
KHAWABON MAY,SAWALON MAY
MOHABBATON K HAWALON MAY
TUMHARA NAM AA JANA
MUJHEY ACHA SA LAGTA HY
BOHT ACHA SA LAGTA HY...!

Koi To Ho AiSa Jo Sirf Mera Ho


Koi To Ho AiSa Jo Sirf Mera Ho....
Baaton Me Uski Khushbu Ho....
Dil Me Us K Basera Ho....
Chaahey To Chaahat Meri....
Maangey To Mohabbat Meri....
Woh Chand Ki Chandni Ho To....
Chand Sirf Mera Ho....
Woh Din Ki Roshni Ho To....
Suraj Sirf Mera Ho....
Woh Phulon Ki Khushbu Ho To....
Ahsaas Sirf Mera Ho....
Woh Raat Ka Ujaala Ho To....
Chiraag Sirf Mera Ho....
Woh Ishq Or Mohabbat Ho To....
Dil Sirf Mera Ho....
Woh Paani Ka Chhinta Ho To....
Dariya Sirf Mera Ho....
Woh Qismat Ki Lakeer Ho To....
Haath Sirf Mera Ho....

Tera Husn Ho Mera Ishq Ho


Tera Husn Ho
Mera Ishq Ho
To Phir Husn-O-Shoq Ki Baat Ho
Kabhi Me Milun
Kabhi Tu Miley
Kabhi Hum Milen, Mulaqaat Ho
Kabhi Tu Ho Chup
Kabhi Me Hoon Chup
Kabhi Dono Hum Chup Chaap Hon
Kabhi Guftugu
Kabhi Tazkarey
Koi Zikr Ho
Koi Baat Ho
Kabhi Visl Ho To Din Ko Ho
Kabhi Hijr Ho To Woh Raat Ho
Kabhi Me Tera
Kabhi Tu Meri
Kabhi Ek Dujey K Hum Rahen
Kabhi Saath Me
Kabhi Saath Tu
Kabhi Ek Dujey Ka Saath Ho
Kabhi Sohbaten
Kabhi Ranjishen
Kabhi Duriyan
Kabhi Qurbaten
Kabhi Ulfaten
Kabhi Nafraten
Kabhi Jeet Ho
Kabhi Maat Ho
Kabhi Phool Ho
Kabhi Dhool Ho
Kabhi Yaad Ho
Kabhi Bhool Ho
Na Nasheeb Ho
Na Faraz Ho
Na Hi Nichi Ho
Na Hi Jaat Ho
Rahen Muskuraaten Pyar Me
Khiley Phool Ban K Bahaar Me
Na Zameen Koi
Na Falak Koi
Na Wajood Ho
Na Hi Zaat Ho

"SIRF"

"TERA HUSN HO
MERA ISHQ HO"

Raat K Khayalon Mein

Raat K Khayalon Me....
Subha K Ujaalon Me....
Tumhi Yaad Aate Ho....
Boht Yaad Aate Ho....
Phool Jab Koi Dekhun....
Dil Nasheen Mehkta Sa....
Pass Jauan Chhune To....
Boht Yaad Aate Ho....
Chand Mujh Pe Hansta Hay....
Par Udass Nazron Se....
Jab Dekhun Us Ko Hasrat Se....
Boht YaaD Aate Ho....
Aansu Ki Barish Me....
Me B Bheeg Jaati Hoon....
Jab Aasmaan Barasta Hay....
Boht Yaad Aate Ho....
Or Kiya Kiya Batlaaun....
Haal Apne Is Dil Ka....
Khud Ko Bhool Jaati Hoon....
Jab Tum Yaad Aate Ho....
Mujhe Tum Yaad Aate Ho....!

Zara Jo Dur Jaate Ho


Zara Jo Dur Jaate Ho
Tab Ahsaas Hota Hay
K Baaqi Kuch Nahi Rehta
Mere Jivan K Aangan Me
Meri Khushiyon K Daaman Me
Tere Bin Kuch Nahi Rehta
Udaasi Chhai Rehti Hay
Sapne Adhure Se Lagte Hain
Din Sadiyon Se Lagte Hain
In Aankhon Ki Jalti Lo
Maddham Parne Lagti Hay
Ummiden Marne Lagti Hain
Tere Haathon Se Mere Haath
Achanak Chhut Jaate Hain
Mere Armaan Rote Hain
Tujhe Awaaz Dete Hain
Tujhe Wapas Bulaate Hain
Suno Tum Lot Aao Na
Suno Tum Lot Aao Na...!

Main Jis Kay Dil Ki Kitab Banta


KOI TO HOTA?

Main Jis Kay Dil Ki Kitab Banta
Main Jis Ki Chahat Ka Khawab Banta

Main Hijar Mosam Ki Lambi Raaton Main Yaad Ban Kar Azaab Banta
Koi To Hota?
Jo Meri Khwaish Main Uth Kar Raaton Ko Khoob Rota
Dukhon Ki Chadar Lapait Kar Hajoom Duniya Say Door Hota
Main Rooth Jaata Manata Mujh Ko Kay Chahe Mera Kasoor Hota
Koi To Hota?
Jo Mujh Ko Dil Ka Karar Kehta
Ragoo Ka Apni Fishar Kehta
Udaas Mosam Main Tazgi Ki Biyar Ban Kar
Jo Meri Bahoon Ko Arzoo Ka Diyar Kehta
Koi To Hota?
Dua Say Apni Jo Dukh Bhi Meray Samait Leta
Woh Iss Jahan Say Ghamon Ka Meray Hisab Leta
Woh Sari Duniya Ki Rafaqaton Kay Tamam Rishtay
Koi To Hota?
Main Jis Kay Itna Kareeb Hota
Na Paas Koi Rakeeb Hota
Main Tanha Uss Ka Habbib Hota
Yeh Silsila Bhi Ajeeb Hota
Koi To Hota? Aye Kaash
Koi To Hota?

Sunoo janan!! Kabhi aisa nhin hota


Sunoo janan!! Kabhi aisa nhin hota
Muhabbat hum nhin kerte
Tumhare aur mere chahne se kuch nhin hota
K sab rishte sabhi bandhan
Kahin pehle se rakhe hain
WO saare Anne wale pal
Jo akhir beet jate hain
Jo hum se jeet jate hain
WO sab pehle se rakhe hain
Samajh ker, sooch ker rakhe hain
Saare pal, sabhi rishte, sabhi mausam
Muhabbat bhi tu lamha hai
Muhabbat bhi tu mausam hai
Yeh kis k dil pe utre ga
Kahan per kab khule ga
Kon si galion mein mehke ga
Najane kon sa dil uske Rangoon mein fana ho ga
Najane kon is lamhe KO paaate hi
Kabhi taareek galion ki musafat se reha hoga
Wazahat hum nhin kerte
Muhabbat hum NHI kerte
K yeh tu jadugarni hai jo hum ko dhoondh leti hai
Hume pehchan leti hai
Kisi masroof kamre mein
Pari bejaan cheezon se,
Yeh hum ko chaan leti hai
Hamari unglion k nakhunon mein saans leti hai
Kabhi jab zakham khulta hai
Bassoon aur daftroon ki bheer mein bhi
Yeh hamare saath rehti hai
Lahoo kid hoop mein chup chap jalti hai
Hina ki khushboon mein jab utarti hai
Hamari jaan leti hai
Yeh hum mein baandh deti hai
Nae mausam, naee sooraj, sitare aur khushboo
Yeh hum ko somp deti hai
Koi aizaz jis ka maan rakhna farz hota hai
Yeh hum per boojh banti hai
Yeh hum per karz hota hai
Kahan kis per nichawar jaan kerni hai
Yeh chahat hum nhi kerte

Sunoo janan!!!!
Muhabbat hum nhin kerte

Woh Ek Larki Jo Meri Ghazal Hai


Woh Ek Larki Jo Meri Ghazal Hai
Woh Ek Larki Jo Khilti Kanwal Hai
Woh Ek Larki Jo Taj Mehal Hai,

Woh Ek Larki Tum Hi To Ho.

Woh Us Ki Gasoo Kaali Ghatain
Woh Us Ki Palkon Se lehrti Hawain
Woh Us Ki Yaadain Meri Wafayen,

Woh Ek Larki Tum Hi To Ho.

Woh us Ki Aankhain Chamaktey Moti
Woh Us Ki Palken Aankhon Ko Chooten
Woh Us Ke Gaal Sehra-e-Moti,

Woh Ek Larki Tum Hi Tu Ho.

Woh Us Ke Lab Gulab Jaise
Woh Us Ka Maatha Khuli Kitab Jaisa
Woh Us Ki Rangat Shabab Jaisi,


Woh Ek Larki Tum He To Ho....!

Kabhi jo ker sako aisa

Kabhi jo ker sako aisa
to koshish ker k dekhna..
mujhe..meri tarah chahna..
faqat meri talab kerna..
phir mujhse door ho jana..
main kahon…bhool jao mujhe..
tum roz duaon may mangna..
main tumse her nata tor lon..
tumse her wo haq chheen lon
k tumhare paas agar wo ho
to nuqsan kisi ka na ho per..
shayad tum jee lo..
per tum chup reh k her ghum pee lo..
aur aisa bhi kerna k..
magar nahi..
tum aisa ker nahi sakti..
meri jagah khud ko rakh nahi sakti..
tum mujhe..meri tarah chah hi nahi sakti…

Becharna kiya zarori hay


Becharna kiya zarori hay...?
Ye aksar pocha jata hay....
Chalo ab sochten hain ye,
K ab fursat he fursat hay,
Sabhi k ilam mein hoga,
Haqiqat is tarhan say hay,
Muhabat aazmati hay.....
Hamisha say.....
Or is aazmaish mein,
Muhabat or barhti hay,
Ye har pal kam nahi hoti,
K shair log kehte hain,
Muhabat aik darya hay,
Barish roth bhi jay,
To pani kam nahi hota,
To ab tum soch lo khud he,
Bicharna kyun zarori hay.......?
Bicharna kyun zarori hay.......?:

Mere hath uthe mere lab hile




Mere hath uthe mere lab hile

Mere dil se ye awaz uthi

Tere honton ki hansi

Teri ankho ki chamak

Tere lafzon ki khushbo

Tere lehje ki dhanak

To jo soche tuje mil jaye

To jo chahe wo ho jaye

Tere rahon me jugno hon

Hr qadam pe tuhe bahar mile

To shad rahe abad rahe

Tuje zindagi se itna pyar mile

Mera sar jhuka mere lab hile

Mere dil se ye dua uthi

Jo mhfil me tera zikar chale

Hr lab pe dua aye

Tuje hr khushi ras aye

Koi gam na tere pas aye

Us nay Rat K andheray Main

Us nay Rat K andheray Main

mere Hath ki Hatheli par

Likha tha Apni ungli Se

"MUJHE PYAR HAI TM SAY"

janay Kasi sayahi thi wo

K mit'ti bHi nahi OR dikhti Bhi nahi

Ghum_e_Zindagi Tari Rah Mein


Ghum_e_Zindagi Tari Rah Mein

Shab_e_Arzo teri Chah Mein

Jo Ujar Gaya Wo Basa Nahi

Jo Bichar Gaya Wo Mila Nahi

Jo Dil_o_Nazar Ka Sarur Tha

Mere Pas Rah K Bhi Door Tha

Wohi Ek Gulab Umeed Ka

Meri Shakh_e_Jan Pe Khila Nahi

Mera Humsafar Jo Ajeeb Hai

To Ajeeb Tr Hoon Main Ap Bhi

Mujhe Manzilon Ki Khabar Nahi

Usay Rastoon Ka Pata Nahi

Pus_e_Karwan, Sar_e_Rahguzar

Main Haara Hoon To Is Liye

K Qadam To Sab Se Mila Liye

Mera Dil Kisi Se Mila Nahi...!!

Agar woh pyar kar laita


Agar woh pyar kar laita,
Mera daman pakar laita,
To
Jeewan mein faqt us se,
Mohabbat farz ho jati,
Mohabat qarz ho jati,
Magar
Acha kia us ne,
Mujhe samjha ke chal nikla,
Mujhe thukra ke chal nikla,
Bohut nadan sa hai woh,
Abhi anjan sa hai woh,
Kahan maloom hai us ko,
Mohabbat zindagi mein,
bus faqt ik bar milti hai,
Agar thukra ke chal niklen,
To umrain beet jati hain,
Mohabbat ki tamnna mein,
Magar
Har ik rasty pe,
Sirf ruswai milti hai,
Faqt tanhai milti hai.

Yeh AakhiyAan jhOoti Sakhiyaan Hain

Yeh AakhiyAan jhOoti Sakhiyaan Hain
Yeh Khavaab Hamein Dikhlati Hain
In KhavaabOn Mein Bus jhOotay Rang
Or jhOotay Khail KhilOnay Hain
Kuch jhOotay Tanay Banay Hain
Sab Manzar Aanay Janay Hain
Yeh AakhiyAan jhOoti Sakhiyaan Hain
Yeh Surakh ChanarOn Mein AkSar
Pat-Jhar Ki Chadar Ko Oorhay
Kuch Aisay Aag Lagati Hain
Taa Had e Nazar
Haro'un Ki Teekhi Teekhi Sii
Bas Pag-DanDiyaan Reh Jati Hain
Mat In Ki BatOun Mein Aana
Mat In Ko Khatir Mein Lana
Yeh AakhiyAan jhOoti Sakhiyaan Hain

YEh Udaas Aankhien Meri

YEh Udaas Aankhien Meri
Karb e tAnhAii Mein jAlti hOii
Is Zaat Key Darwazey Par
RaSta Dekhti Rehti hAin KiSsi Badal KA
Aisa Badal
Jo Merey JiSam Key Sehra Ko Bhe Sahil Kar Dey
Haath HaathOun Pey Rakhey
ROoh Ko jAl-Thal Kar Dey
Yeh Udaas Aankhien Merii
zUlm Kii dhUnd Mein Liptii hOii
Is Raat Key Darwazey Par
RaSta Dekhti Rehtii hAin KiSsi SOoraj Ka
Aisa SOoraj
jO mOhabbat Key Har Eik NaQsh Ko ROshan Kar Dey
khOuf Kii Lehar Sey jAmtey hOye lOgoun Mein
Hararat Bhar Dey
Bhaagtey dOurtey Is WaQt Key Hangamey Mein
Wo Jo Eik Lamha Amar hAi Wo Theharta Hii Nahe
Be-YaQeeni Ka Yeh mahOul Bikharta Hii Nahe
Mera SOoraj
Merey Aangan Mein Utarta Hii Nahe

Phir Na Daina Sada hUm Ko


Phir Na Daina Sada hUm Ko
Phir Na lOut Key Aaien Gey hUm
Phir Na Kehna Be-Waffa hUm Ko
Yeh Aur Baat hAi Eik Baar Nhe Sou Baar
So Baar Nhe Bar Bar
TaiRa Naam Lainay Sey Milti hAi Shiffa hUm Ko
Phir Na Daina Sada hUm Ko
Phir Na lOut Key Aaien Gey hUm
Yeh WaQat Bhe Bara Zaalim hAi
Na Is Key Pass Dil hAi
Na Aankh
Na AansOo
Na EhSaas
Is tOofaan Mein Bikhar jAien Gey hUm
Phir Na Smaitna hUm Ko
Phir Na Daina Sada hUm Ko

Teri Aankhon Si Aankhein




Teri Aankhon Si Aankhein
Aaj Ik Chehray Pe Dekhi Hain
Vohi Rangat, Banawat
Aur Wesi Hi Be Rukhi Un Mein
Bichartay Waqt Jo Main Ne
Teri Aankhon Mein Dekhi Thi

Teri Aankhon Si Aankhon Ne
Mujhay Ik Pal Ko Dekha Tha
Vo Pal Ik Aam Sa Pal Tha
Magar Uss Aam Se Pal Mein
Puranay Kitney Mousam,
Kitney Manzar Main Ne Dekhy Thy
Meri Jaan Main Samjha Tha
Teri Aankhon Si Aankhein Jab
Meri Aankhon Ko Dekhein Gi
To Ik Lamhay Ko Sochein Gi
k In Aankhon Ko Pehlay b
Kisi Chehray Pe Dekha Hay

Magar in Jheel Aankhon Mein
Shanasayii Nahi Jaagi
Meri Aankhein!
Teri Aankhon Si Aankhon k Liye
Kab Khas Aankhein Thin
Teri Aankhon Ne Shayed Yeh
Kayii Chehron Par Dekhi Hon
k Yeh To Aam Aankhein Hain

Main Aisa Soch Sakta Tha
Magar Main Kya Karon Dil Ka
Jo Ab Yeh Yaad Rakhay Ga
Teri Aankhon Si Aankhein
Main Ne Ik Chehray Pe Dekhi Thin
Phir Uss k Baad Kitnay Din
Meri Aankhon Mein Sawan Tha...!!!

Kal raat ko chand nay mujhse kaha

Kal raat ko chand nay mujhse kaha

kia mujh sa bhi koi dekha hay

Kia aisa b koi chehra hay…?

Jissay saari dunya takti hay…

Jo noor main dhul ker nikhra hay…?

Kia mujh sa b koi chehra hay…?

Ye sun k main nay uss se kaha

” Tu nay kia usko dekha hay..?

Jo chehra tujh se payara hay….

Wo niklay to din hota hay

Ussay dekhhon to har raat khillay

Tu noor main dhull ker nikhra hay

Par!

Noor bana uskay rang se….

Wo hont gulaboun jese hain

Wo jin se paani peeta hay….

Wo gehri saghar si ankhain

Main jin main doob si jati hoon

Wo paSs se guzray to uss pal

Ye dunya bhool si jati hoon

Wo jis rastay se chalta hay

Sab rastay sajday kartay hain …

Iss hawa k jhonkay bhi to buss

Ussay chu k mehka kartay hain….

Wo bat karay to lehjay se

Kuch phool bikhar se jatay hain

Us dheemi si awaz se phir,

Kitnay surr bikhra kartay hain

Phir raat k in sannataon main

Wo madham si awaz mere

kaanoun main goonjti rehti hay

main usko sochti rehti hoon

wo khwaboun main mil jata hay

ussay dekh k ye murjhaya Dil

us lamhay phir khil jata hay

Tu arsh ka chand,

Wo farsh ka chand”

Ye sun k Chand bhi jal sa gaya

Or mujh se bus itna hi kaha

“ main usko dekhnay jaoun ga”

aray o Cahnda!

Ik baat sunno

Tum raat ko bahar matt jana

Kahin Chand ki tum ko nazar na lagay…!

chalo sahil pe ja kar apni palkon se



chalo
sahil pe ja kar
apni palkon se
sunehri jaal bunty hain
samundar mein utar kar
sipiyon sy kuch surely
taal bunty hain
chalo
ab ungliyon ki
naram poron se
zara khushboo ko
chunty hain
zara ham dard ko
chhoty hain is ki bat sunty hain
chalo
matti ka ek chota sa
donon ghar banaty hain
gharri bhar ko sahi
par khul k donon muskuraty hain
jo likhay ja chuky hain
pathron pr, khushk pathron pr
wo mah-o-saal ginty hain
chalo
sahil pe ja kar...
apni palkon se sunehri jaal bunty hain...!!!

Kaha tha na is tarhan


Kaha tha na
is tarhan sotay howay
matt chor kar jana
mujhay bay shak jaga daina
bata daina
muhabbat k safar main
sath meray chal nahin saktay
judai k safar main
sath meray chal nahin saktay
tumhain rasta bandalna hai
meri had say nikalna hai
tumhain kis baat ka dar tha?
tumhain janay nahin daita?
kahin ye qaid kar laita?
aray pagli!
muhabbat ki tabiyat main
bardasht nahin hoti
jisay rasta badalna ho
usay rasta badalnay say
jisay had say nikalna ho
usay had say nikalnay say
na koi rook paya hai
na koi rook pay ga
tumhain kis baat ka dar tha
mujhay bayshak jaga daitay
main tum ko daikh hi laita
tumhain koi dua daita
kam say kam yunh to na hota
meray sathi haqeeqat hai
Tumharay baad khonay k liye
Kuch bhi nahin baqi.........

Samander poochta hai

Samander poochta hai
Samander poochta hai ab wo dono kiyu nahi attey
wohi donno jo bhegee reet per
ek dosarey ka haath thammay door taak
kabhi hansttey,kabhi kuch gungunattey
ya kabhi chup chap bhiatay duur ufaq ki goodh may
ropposh honay walla sooraj dekhttey
ansoo bhahattey loat jattey!
Samander poochta hai ab wo donno kiyun nahi attay
jo attay thay to apnay saath kitnay khuwab lattey thay
kabhi sahil say dehairoon Seepiyaan chunttey thay
Nangay paoo pani may challey attey thay
bhegi reet say nannay gharondhay bhi banattey thay
aur unmay seepiya,rangeen say kuch sangreezay yu sajattey thay
kay jaisay aj kay jugnoosay lamhay
anay walley kal ki moothhi may chupattey thay!
Samander poochta hai ab wo donno kiyun nahi attay
mager samander nay khiza ki siskiya laiti howaa
ek shaam ko wo nojawanno ko nahi dekha
jo dair taak tanha sarey sahil raha bhaitta
phir ussnay dair sarey khaat
buhut say sookhay phool aur tasveerain
aur apnay akhri ansoo
samander kay hawalley kerdiyey..

Liya tha aik wada tumne mujse


Liya tha aik wada tumne mujse....
Hamesha khush hi rehna hai...
To dekho, dekh lo aa kar..
Meri ankhon ko dekho tum,
Yeh kitni shokh lagti hain...
Mere honton ko dekho tum,
Hamesha muskuraty hain...
Koi b ghum agar aye,
Usay hans kar saha main ne...
Mere chehray ko dekho tum,
Hamesha pur sakoon ho ga...
To socho gay.....
Kia tha main ne jo tumse,
Wo wada ker diya poora...!!!

MAGAR

Ik baat hai piyare...
Kabhi jo waqat mil jaye,
To meri shairi parhna...
Tumhain mehsoos to hoga,
Kaheen talkhi bhara jumla...
Kaheen yeh sard sa lehja,
Kaheen par dard ki jheelain...
Kahin lehjay ki karwahat,
Suno....!!!
Main khush to hoon lakin,
Lahoo har lafz roota hai....

Mukaddar k sitaron per


Mukaddar k sitaron per,
Zamanay k esharon per,
udasi k kinaron per,
kabhe veran shehraon per,
kabhe sunsan rahon per,
kabhi hairon ankhon main,
kabhi bayjan lamhon main,
tumhari yad chupkay say,
koi sargoshi kerti hay,
yeh palkain bheeg jati hain,
do ansu tot girtay hain,
main palkon ko jhukata hon,
bazahir muskurata hon,
faqat itna he kah pata hon,
mujhey kitna sataty ho,
MUJHEY TUM YAD ATAY HO,
MUJHEY TUM YAAD AATAY HO.....!

Ishq Hai Ke Be-khabar Hai

Ishq Hai Ke Be-khabar Hai
Zindagi Kitni Mukhtasar Hai
Sapnon Ke Taaj Mahal Mein
Roz Hi Hum
Terey Sang Sang Hotey Hain
Hanstey Hain
Boltey Hain
Chupkey Chupkey Say
Apna Dukh Sukh
Bant-tey Hain
Ye Sochey Bina
Ye Samjhey Bina
Ke
Dharrkein Gey Kuch Din Dilon Mein
Dilstaan Ho Jaayein Gey
Phir Lamhon Mein Hum
Bhooli Bisri Dastaan Ho Jaayein Gey
Sach To Yehi Hai Tanha
Ishq Hai Ke Be-khabar Hai
Zindagi Kitni Mukhtasar Hai .......!

Sath To Ajnabi b Chalty Hain



*** SATH TO AJNABI B CHALTY HAIN ***



Uss Ne Mujh Se Kaha
Mery Sathi!
Tum Ko Mujh Se Jo Hay Gila,Kya Hay?
Kabhi Fursat Milay To Yeh Socho
Manzilein Kiun Hain?Fasla Kya Hay?
Apny Apny Safar Pe Nikly Log
Mushtarik Raston Pe Chalty Hain
Humraahi k Hisaar Mein Jitny
Din Nikalty Chiragh, Jalty Hain
Sab Ki Aankhon Mein Jhilmilaty Hain
Apni Apni Umeed k Dar-o-Baam
Zindagi k Safar Mein Milty Hain
Mustaqil Dard, Aarzi Aaram
Tum Mery Humsafar To Ho Lekin
Hum Kahin Pe Bichad b Sakty Hain
Der Tak Aik Taweel Rasty Par
Sath To Ajnabi b Chalty Hain...!!!

Jo kafan-posh sada reha

Jo kafan-posh sada reha
Ussey marg-e-zard ka khauf kiya!
So merey ghaneem na bhool tuu
Ke sitam ki shabb ko zawal hai
Tera zulm o jabr balaa sahi
Mera hausla bhi kamaal hai
Tujhey naaz josh-e-guzand pe hai
Mujhey zakhm-e-jan pe naaz hai
Jo gulaab merey kafan pe hai
Yehi nama-ber hai bahaar ka
Jo kafan-posh sada reha
Ussey marg-e-zard ka khauf kiya!!!

Kabhi Aisa b Hota Hay


*** KHAMOSH BAATEIN ***


Kabhi Aisa b Hota Hay
Zaban Kuch Keh Nahi Pati
Magar Sari Haqeeqat
In Aankhon Se Ayaan Hoti Hay
Isi Liye Shayed
Uss Ne Jab Sawal Kiya
k Mujh Se Bichad Kar
Kya Haal Hay Tumhara?
To Na Chahtey Hue b
Kuch Na Kehtay Hue b
Aankhon Se Behtay
Do Moti
Mujhay Door Kahin
Baha Kar Le Gaye...!!!

Mere hum safar mere hum nasheen

Mere hum safar mere hum nasheen
Me ne Rab se manga to kuch nahi
Me ne jab bhi mangi koi duaa
Nahi manga kuch b “Tere Siwa”
Ye talab kia k mere Khuda!
Sabhi rahtein
Sabhi chahtein
Wo atta kare tujhe manzilen
Ye talab kia k mere Khuda!
Tujhe bakht de
Tujhe taaj de
Tujhe takht de
Mere hum safar
Mere chara gar
Ye hai dosti ka kathin safar
Mere sath chalna zara soch kar
Zara dekh to mera hosla
Mere pas jo bhi wo hai tera
Nahi aur kuch b tere siwa
Meri dosti
Meri zindagi
Meri khamoshi
Meri be basi
Mera ilm bhi
Mera naam bhi
K meri subah
Meri shaam bhi
K jo mil sakein mere daam bhi
Wo sabhi kuch tujhe atta kare
Mere chara gar tu yakin to kar
Mujhe mangna to na aa saka
Me ne phir bhi mangi yehi dua
K gawahi de ga mera Khuda
Me ne jab bhi us se talab kia
Nahi manga kuch bhi “Tere Siwa”

Taaluq is tarha tora nahi kertay





Taaluq is tarha tora nahi kertay..
Ke phir say jorna dushwaar ho jaye..
Hayaat ik zehr main doobi howe talwaar ho jaye..

"MOHABBAT is tarha chora nahi kertay"..

Khafa honey ki rasmain hain..
Bigarnay k tareekay hain..
Rawaj-o-rasm tark-e-dosti per so kitaabain hain..
Rawadaari ka hargiz rasta chora nahi kertay..

"Taaluq is tarha tora kertay"..

Kabhi bulbul guloon ki khamoshi say rooth jati hay..
Per aglay saal sab kuch bhool ker phir lot aati hay..
Sabhi bhanwroon ko gul harjaai kehtay hain..
Magar thori si zidd k baad bandhan khol detay hain..
Kabhi podoon say pani door ho jaye..
To hamsaya darakhtoon k haath paighamat jatay hain..

"MOHABBAT main sabhi ik dosray ko aazmaatay hain"..

Mager aisa nahi kertay..
Ke har umeed har imkaan mit jaye..
Kahan tak khainchni hay dor ye andaza rakhtay hain..

"Hamesha chaar deewari main ik darwaza rakhtay hain"..

Judai mustaqil ho jaye..
To ye zindagi zindaan ho jaye..
Ager khushboo hawaoon say marasim munqataa ker lay..

"To khud main doob ker be-jaan ho jaye"..

sunoo.......!!!!!!!!!
Jeenay say moun mora nahi kertay..
MOHABBAT is tarha chora nahi kertay..

sunoo JANA........!!!!!!!!
Ager naraz ho to main manati hoon..
Magar dekho..
Kisi bhalay shaaiyer nay..
Shaiyed apnay lafzoon main kaha tha... keh..

"Ager ham na rahay to phir kon tum ko manaye ga"..

Chalo ab maan bhi jao na.......
Ke ranjish raabtoon ko munqataa kernay main maahir hay..

Sunoo Jana...
Ager naraz ho to main manati hoon...

Main Koun Hoon




Main Koun Hoon ???

Main Koun Hoon
Gum Naam Hoon
Wafa Ki Awaz Hoon
Mohabbat Ka Parstar Hoon
Mehroome Mohaabat Hoon
Kisi Dil Ki Dharkan Nahin
Kisi Aanakh Ka Kajal Nahin
Veran Sehra Hoon
Khzan Ka Guzr Bhi Nahin
Sulgta Huwa Endhan Hoon
Jalta Hoon Na Bujhta Hoon
Tarota Huwa Aarman Hoon
Jo Hasrtoonn Mein Dhal Gya Hoon
Behta Huwa Aansoo Hoon
Jo Daman Mein Sama Gya Hoon
Main Mutlashi Hoon
Muhabbat Ka Masrat Ka
Gumanaam Spahi Hoon
Jazboon Ki Mnazal Ka
Main Koun Hoon

Suno...Aye Chand Si Larki

Suno...Aye Chand Si Larki
Abhi Tum Keh Rahi Thi Na
Tumhein Mujh Se Mohabbat Ho Nahin Sakti
Chalo Mana k Yeh Sach Hai
Magar Aye Chand Si Larki...!
Mujhe Itna Bata Do Tum
K Jab Mausam Badalte Hain
Guloon Mein Rang Bharte Hain
To Phir Kyun Muztarib Ho Ker
Akele Pan Se Ghabra Ker
Hawa Ko Raaz Deti Ho
Mujhe Aawaz Deti Ho
Suno....Aye Chand Si Larki
Tumhare Samne Koi Mera Jab Naam Leta Hai
To Phir Kyun CHonk Jati Ho?
Chalo Maana Tumhein Mujhse Mohabbat Ho Nahin Sakti
Magar Itna Samajh Lo Tum
Jahan Chahat Nahin Hoti
Wahan Nafrat K Hone Ka Koi Imkaan Nahin Hota
Mera Daawa Hai Chahat Mein
Jahan Nafrat Nahin Hoti
Wahan Aksar Yeh Dekha Hai
Agar Kuch Waqt Kat Jaye
Same Ki Dhool Chat Jaye
To Wehshat Bhaag Jati Hai
Mohabbat...Jag Jaati Hai...!

JAb Yaad Meri Aye To Rukna Mat


JAb Yaad Meri Aye To Rukna Mat

Mere Paas Laut Aana

Jab Raat Ka Diya Bhuj Jaye

Or Kuch Saaf Nazer Na Aye

To Derna Mat


Mere Paas Laut Aana

Jab Bin Badal Barsat Ho Jaye

Or Tumhien Raasta Na Mil Paye

To Udaas Mat Hona

Mere Paas Laut Aana

Jab Saas Ki Doori Toote

Or Koi apna Tumhien Lotey

To Mayyoos Mat Hona

Mere Paas Laut Aana


Jab Dil Tumhara Toote

Or Kisi Ka Sath Tum Se Chote

To Aanso Mat Bahana

Meri Paas Laut Aana

Apni Khushi Se Chor Ke Gayi Ho Tum

Mere Jazbat,Pyar,Aitbar

Ko Tor Ke Gayi Ho Tum

Phir Bhi Meri Yaad Agar Aye

Or Aankhien Tumhari Bher Ayein

To Shermindah Mat Hona

Mere Paas Laut Aana

Bas Itna Kehna Chahta Hon

Ke Hamesha Intizar Keronga

Is Kaeenat Se Ziada Pyar Keronga

Magar Jab Tumhien Meri Yaad Aye

To Rukna Mat

Mere Paas Laut Aana....

Kash K Zindagi main who muqaam aa jaye



Kash K Zindagi main who muqaam aa jaye

Mujhe Rab ki Taraf se Yeh pegham aa jaye


Bata Bande tujhe kia aisa atta karon main

Jis se tere Dard ko Araam aa jaye


Main Sochta hoon k kia mangoon ga

Khushi or Sukh ka Dariya mangoon ga


Who khushi Jis se gher main ujala ho jaye

Who khushi jo meri zaat ka hawala ho jaye


Who Haath lota de jis main mera bachpan guzra

Jis ka pyar main jism main laho ban kar utra


Thak kar hamesha jis ki good main soya

Har kar Duniya se jis k aanchal main roya


Mumta k us samandar ko Ankheen hai Dhoondti

Maqrooz jis k Doodh k her Bond Mere Khoon ki


Who Maa hai jis ne her Ranj or Alam se Bachaya

Teez Dhoop maon jis ka wajood aik naram saya


Who jis ne Hanste Hanste her Ghum Uthaya

Kitna Mehrban hai Who Rab jis ne Maa ko Banaya


Who Maa jis k qadaoom main hai Jannat

Her Kammiyabi hai jis ki marhoon e Minat


Who Maa hai jis se hai Duniya ka Meela

Who Maa Chor Gayi Hum ko Akela


Mujh per apni Rehmatoon or Naimatoon ki Hadh na karna

A Mere Rab Meri yeh Duaa to Rad na Karna


Mujhe Khushiyoon ki who Kehkashaan Lota De

A Mere Allah Mujhe Meri Maa Lota De

Dareechoon say kabhee bay sakhta jhaankoon

Dareechoon say kabhee bay sakhta jhaankoon
bina ahat k derwazoon ko kholoon
kabhee yunhee palat kay rah dekhoon
k jesay koi peechay araha hay
meray charoon taraf sergoshiyaan hain
jhalak daiti huwee kitni shabeehain
meray agay meray peechay say guzrain
main choonkoon, saans rokoon, kaanp jaaon
mager agaly he pul charoon taraf say
haqeeqat k andhairay laut aain
mujhay jhunjhoor ker bawer karain
ider tu door tuk koi nahi hay

abhee ahat tu ubhri thee shajer say
koi punchee tha derwazay k peechay
zameen per rang persay thay ghata say
kisi titlee k per uljhay hawa say
dareechay say koi jhaanka tha tara
yahan kub koi aya tha hamara!!!!!!!

Badal Main aur tum

Badal Main AUr TUM
Baadal ke or bahar ke rishte ajeeb hain!
kali ghata ke dosh per barfon ka rakht hai
jitne zameen pe behtai hain dariiya, sabhi karukh
ik behar be kinaar ki manzil ki simt hai

khuaabon main aik bheegi hui khush dili ke saath
milti hai aashna se koi ajnabi si moj
baadal bhanwer ke haath se laite hain apna rizq
phir us ko bant'te hain ajab be rukhi ke saath

jangal main, sehan baagh, main shehron main dasht main
chashmon main, aabshaar main,jheelon ke tasht main
gahe ye oss ban sanwerte hain berg berg
gahe kisi ki aankh main bherte hain is tarah
aansoo ki aik boond main dajla dikhaai de
or doosray hi pal main jo dekhon to door tak
raig-e-rawan-e-rawan-e-dard ka sehra dikhaai de!

baadal ke or behr ke jitne hain silsilay
mujh se bhi teri aankh ke rishte, wohi to hain!!

Mery Sahir Se Keh Dena

Mery Sahir Se Keh Dena


Agar sehra se guzro to mere sahir se keh dena
tumhari besabab doori mujhe aksar rulati hai !!
Mery Sahir Se Keh Dena
Musafir Aaj Tak Chup Hay
k Uss k Haath Mein Tum Ne
Jo Apna Haath Rakha Tha
Vo Ab Tak Yaad Karta Hay

Mery Sahir Se Keh Dena
k Sadion Ki Musafat Ne
Mery Pairoon Se Baandhi Hay
Thakan Ab k Baras Itni
k Apni Doobti Nabzoo Se Main Khayef Sa Rehta Hoon
Na Janay Kab Kahan Pe Umer Ki Yeh Dor Kat Jaye
Main Apnay Aur Tumhary Beech k In Fasloon Ko
Chand Saanson Ki Kami Se Haar Na Jaon
Bisat e Jaan Par Phaili Doorion k Bojh Ko Le Kar
Yunhi Mar Jaon

Mery Sahir Se Keh Dena
k Uss k Ishq k Tilsam Se Ab Tak Vo Nahi Niklay
K Jin Ko Uss Ki Aankhon Ne Faqat Ik Baar Dekha Tha

Mery Sahir Se Keh Dena
k Saray shehar Ko Mery
Yunhi Patthar Na Rehnay De
Mery Tilsam Kadon Mein Laut Kar Aaye
k Vo Patthar Tarastay Hain
Tumhari Chashm Ki Jumbish Unhein Ik Bar Phir Kar De
Kisi Zee Rooh Ki Manind

Mery Sahir Se Keh Dena
Bichad Kar Tum Jo Miltay Thy
To Yun Mehsoos Hota Tha
k Jaisay Marg k Dhundley Kinaroon Tak Pahunchaty Hi
Adhoora Kaam Koi Zindagi Ko Yaad Aa Jaye
Kaho Phir Se Chala Aaye
k Uss k Laut Aany Se
Hamari Doobti Nabzoo Ko Phir Se Saans Aa Jaye
Agar Sehra Se Guzro To
Mery sahir Se Keh Dena

Agar Jungle Se Guzro To
Mery Jugnoo Se Keh Dena
Tumhari Be Sabab Doori
Mujhay Aksar Rulati Hay
Meri Shaamein Andheri Hain
Meri Raatein b Teera Hain
Mery Sab Taaq Khali Hain
Meri Aankhein Sawali Hain

Mery Jugnoo Se Keh Dena
Muhabbat Aaj Tak Chup Hay
k Iss k Haath Mein Uss Ne
Jo Dehka Daagh Rakha Tha
Vo Ab Tak Baat Karta Hay

Mery Jugnoo Se Keh Dena
Mery Jazboon Ne Rahoon Mein
Moharein Rok Rakhi Hain
Inhein Azn e Safar De Do
Inhein Dil Se Guzarnay Do

Mery Jugnoo Se Keh Dena
Meri Aankhon Ko Qum Keh Do
Yeh Umroon Se Yunhi BeJaan Hain
Khuwaboon k Madfan Mein
Inhein Phir Se Jila De Do

Mery Jugnoo Se Keh Dena
Ghamoon Ne Raag Chera Hay
Aziyat Raqs Karti Hay
Meri Tanhayi Ka Charcha
Daroon e Zaat Phaila Hay

Mery Jugnoo Se Keh Dena
Faqat Uss Ki Kami Ne
Zindagi Mein Sog Rakha Hay
Mery Jugnoo Se Keh Dena
Kiun Jungle Mein Bhatakta Hay
Kiun Khud Ko Rok Rakha Hay
Tumhari Be Sabab Doori Mujhay Aksar Rulati Hay

Agar Jungle Se Guzro To
Mery Jugnoo Se Keh Dena
Agar Sehra Se Guzro To
Mery Sahir Se Keh Dena
Mery sahir Se Keh Dena...!!

Kuch Likhna Chahata Hoon


Kuch Likhna Chahata Hoon


Kuch Likhna Chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhoon ?

Pholoon Ki Woh Mehakti Khushboo
Barish Ka Woh Bhega Pani
Aur Hawa Mein Thi Jo Rawani
Kya Uss Mousam Ka Khumaar Likhoon?

Kuch Likhna Chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhoon?

Thi Chehrey Par Unkey Masomiyat
Aankhoon Mein Thi Thori Shararat
Aur Baatoon Mein Woh Nazakat
Kya Unka Rangeen Mizaaj Likhoon?

Kuch Likhna chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhoon?

Unka Aaker Muskurana
Jo Rooth Jaon To Manana
Jate Jate Phir Rulana
Kya Unka Yeh Andaaz Likhoon?

Kuch Likhna Chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhoon?

Yaadoon Mein Unkey Ashk Bahana
Her Shaam Ek Diya Jalana
Soi Umeed Ko Roz Jagana
Kya Unka Yeh Intezar Likhoon?

Kuch Likhna Chahata Hoon
Sochta Hoon Kya Likhon

Sehmi sehmi si khwahishain


Sehmi sehmi si khwahishain. ......

Main is taraf se guzar raha tha to main ne soacha

k tujh se mil loon...

salam keh doon

k sehmi sehmi si khawahishon ka zamana

ab to guzar chuka hai

Woh nojawan tujh ko yad ho ga

jhuki jhuki si nigah jis ki

jo tere chehre pe per bhi jati to yun bikharti

k farsh pe gir k jaisay aaina toot jae

mujhe bhi yad wo aik lerki

k jis k jism aur pairhan main hamesha ik kashmakash si rehti

mujhe hamesha yeh khauf rehta

k chandni aur barf mil ker jo ik sarapa sa ban gaya hai

hazaron moonh zor khawahishon ki hararaton se kahin pighal na jae

main is liye tujh se door reht tha

aaj laikin koi bhi khwahish koi tammana nahin

jo rasta zuban ka roke

na ab meri aarzoo sharabi na ab teri aankh main sabu hai

sitam guzida qarar main hoon, khazan guzida bahar tu hai

lehaza kehne de ab to itna

tu jab haseen thi, main jab jawan tha

main tujh pe merta tha

pyar kerta tha

aaj to bas......... ......... ......

main is taraf se guzar raha tha to main ne soacha

k tujh se mil loon

salam keh doon

k sehmi sehmi si khawahishon ka zamana ab to guzar chuka hai

Bahut Khoobsoorat Ho Tum


Bahut Khoobsoorat Ho Tum
Bahut Khoobsoorat Ho Tum
Agar Main Jo Kehdoon Mohobbat Hai Tumse
Tho Mujhko Khudaara Galat Mat Samajhna
Ke Meri Zaroorat Ho Tum
Bahut Koobsoorat Ho Tum

Ye Chehra Tumhaara Ke Din Hai Sunehra
Aur Uspar Ye Kaali Ghataaon Ka Pehra
Gulaabon Sa Naazuk Mehekta Badan Hai
Ye Lab Hain Tumhaare Ke Khilta Chaman Hai

Bikheron Na Zulfen, Tho Sharmaayen Baadal
Farishtey Bhi Dekhen Tho Hojaayen Paagal
Wo Pakeeza Moorath Ho Tum
Bahut Khoobsoorat Ho Tum

Hain Phoolon Ki Daali Ye Baahen Tumhaari
Hai Khaamosh Jaadu Nigaahen Tumhaari
Jo kaanten Hon Sab Apni Daaman Mein Bhar Loon
Bichaawoon Main Kaliyon Se Raahen Tumhaari

Nazar Se Zamaane Ki Khudko Bachaana
Kisi Aur Se Dekho Dil Na Lagaana
Ke Meri Amaanath Ho Tum
Bahut Khoobsurat Ho Tum

Jo Banke Kali Muskuraati Hai Aksar
Shab-e-Hijr Mein Wo Rulaati Hai Aksar
Jo Lamhon Hi Lamhon Mein Duniya Badalde
Jo Shaayar Ko Milti Hai Pehloo Ghazal Se

Chupaana Jo Paawoon Chupaa Hi Na Paawoon
Bhulaana Jo Paawoon Bhulaa Hi Na Paawoon
Wo Pehli Mohabbat Ho Tum
Bahut Khoobsurat Ho Tum

Agar Main Jo Kehdoon Mohobbat Hai Tumse
Tho Mujhko Khudaara Galat Mat Samajhna
Ke Meri Zaroorat Ho Tum
Bahut Koobsoorat Ho Tum

Mere dil ki yeh lagi

Mere dil ki yeh lagi..

Mere dil ki yeh lagi
Mujhse yehi poochti hai
Kaun hai woh
jis ka naam
Dharkan kai har sur mein hai
Kaun hai woh
jis ki mehak
Meri in sansoon mein hai
Mein kaisai kehdoon in sai
Woh meri zindagi hai

Meri ankhoon ki haya
Yehi poochti hai har dam
Kaun hai woh
jis ka aks
In nigahoon mein hai
Kaun hai jo
palkoon par
Sitara ban kar chamakta hai
Kaisai kehdoon in sai
woh mera khawab hai

Laboon ki muskaan
Yehi poochti rehti hai
Kaun hai woh jo chehrai par
Khushi ban kar chalakta hai
Jis ki chahat kai rang mein
Ranga ye mera anchal hai
Kaun hai woh jo jugnu ban kar
rahoon ko raushan karta hai
Kaisai kehdoon in sai
Woh meri mohabbat hai

Meri shokhi ye shararat
Yehi poochti hain mujhse
Kaun hai woh
Jis kai khayal sai hi
Simat jaati hoon mein
Jis ki har baat Emaan hai mera
Kaun hai woh
Jo choo lai to sarap-e mohabbat
Ban jaoon gi
Jis ki ek nigah sai sharmati hon mein
Kaisai keh doon in sai
Woh meri tabeer hai

Ye chandni mein dhali hijar ki ratain
Mujhse yehi poochti hain
Kaun hai woh
Jis ka intezar pyari nigahon ko hai
Jis ki rahain ashkoon sai raushan hoti hai
Jis ki cha mein umeed ka diya jalta hai
Kaun hai woh
Jis ki rah taktai tum thakti nahi ho
Sard shamain hoon yaan tez dhoop
Tum darti nai ho jalti nahi ho
Kaun hai woh
Jisai lamha lamha khud mein
Samait ti ho
Kaisai keh doon in sai
Woh mera sahil hai

Zameen Per wohi Loog Miltay Hain

Suna Hai
.

Zameen Per wohi Loog Miltay Hain __Jin Ko
Kabhi Aasmanoo k Uss Paar
Roohon k Meelay Main
Aik Dosray Ke Muhabbat Mili Ho __!

Magar Tum __

Keh Meray Liye Nafraton K Andhairay Main
Hansti Hoyi Roshni Ho
Lahoo Main Rachi !
Ragoon Main Basi Ho !!!
Hamysha Sakoot-e-Shab-e-Gham Main Aawaz-e-Jaan Ban K
Chaaron Taraf Gonjti Ho !!!!

Agar Aasmano K Uss Paar
Roohon K Meelay Main Bhe Mil Chuki Ho !
To Phir Is Zameen Per
Meri Chahaton K Khulay Mosmoon Say Goraizaan
Meri Dhoop Chahon Say
Kyun Ajnabi Ho ??

Kitaboon Main Likhi Hoyi __
Or Kaanoo Suni __
Sari Baatain Ghalat Hain __?
Keh Tum “ DOSRI “ Ho ___???

Hum aksar ye samajte hen

Hum aksar ye samajte hen
jise hum pyar karte hen
usay hum chor sakte hen
magar aisa nai hota
muhabat daimi sach hai
muhabat thehr jati hai
hamari baat k andar
hamari zaat k andar
magar ye kam nai hoti
kisi bhi dukh ki sorat mai
kabhi kisi zarorat mai
kabhi anjan se gham mai
hmari ankh k andar
kabhi abr.e.rawan ban kar
kabhi qatray ki surat mai
muhabat thehr jati hai
ye hergiz kam nai hoti
muhabat kam nai hoti

Phoolon ko dekh ke

Phoolon ko dekh ke,
Yaad aate hain woh din,
Jis zamane mein,
Iqraar-e-wafa jab kar diya tha tumne,
Unhi dino mein,
Jaise jannat mein tehal rahein they,
Par na jaane,
Kyun, abh, inkaar kartey ho,
Wafa ki kasme khake,
Yu bewafai ka haar pehna diya,
Dil mein yu basa kar,
Jhatke mein dil ko kuchal diya,
Kya yehi hain sila meri Mohabbat ka,
Lekin kya karu phir bhi,
Phoolon ko dekh ke,
Yaad aate hain woh din.......................!!!!!

Saari Baatein Keh Jata Hoon ….


Main To Ek Khamosh Sa Sha'Ir
Mujhko Baatein Kab Aati Hain ???
Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Tum Kiya Mujh Ko Chhor Kar Jaati ???
Mere Sapne Tod Kar Jaati ???
Kiya Meri Aankho Mein Dukh Ke
Itne Aansoo Dekh Sakti Thi ???
Mera Kul Sarmaya Tha Jo
Kiya Mujhse Woh Le Sakti Thi ???
Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Main Bhi Tumse Woh Sab Kehta
Jo Tum Sunne Ki Khwahish Mein
Saare Raaste Bhool Aayi Ho
Saare Rishte Bhool Aayi Ho
Main Thera Khamosh Sa Sha'Ir
Mujh Ko Baatein Gar Aati To
Tum Bhi Mere Khwab Sajaati
Yoon Na Tanha Chhor Kar Jaati
Kaash ! Mujhe Bhi Baatein Aati ..

Sahar Main Bhi Sham Main Bhi

Sahar Main Bhi Sham Main Bhi
Agaz Main Bhi Anjam Main Bhi
Zindagi Kis Kadar Rulati Hai
Jab Tu Yad Ati Hai
Sukun Main Bhi Karar Main Bhi
Kaid Main Bhi Farar Main Bhi
Zindagi Kis Kadar Rulati Hai
Jab Tu Yad Ati Hai
Javab Main Bhi
Saval Main Bhi
Aaj Main Bhi Filhal Main Bhi
Zindagi Kis Kadar Rulati Hai
Jab Tu Yad Ati Hai
Rakib Main Bhi
Yaroo Main Bhi
Tanhai Main Bhi Charo Main Bhi Zindagi
Din Main Tare Dikhati Hai
Jab Tu Yad Ati Hai

Main hayran ankhon say

Main hayran ankhon say !
khuwabon ko dekhti hon....

jo kuch wqth pehly hi
meri ankhon main bastay thay
meri palkon py sajty thay
mri duniya !roshan si rakhty thay,

yeh achanak,
manzar badla hy kaisy?
khwab hy tu magar,

tokron main...zameen pay bikhray hyn...
aur
main hayran ankhaon say apny khowabon kO dekhti hon...!!

Mein bhala kya kahon pyar kya cheez hai



Mein bhala kya kahon pyar kya cheez hai
Pyar lafzon mein kesay samo paey ga


Pyar awaaz hai ju sunae na day
Pyar ek roop hai ju dikhae na day
Pyar wo waqt hai ju badalta nahin
Pyar lamha hai ju aa ker talta nahin
Mein bhala kya kahon pyar kya cheez hai

Pyar jageer hai ju kissi ke nahin
Pyar taqdeer hai ju likhi na gae
Pyar saddion purani koi dasaatan
Ju sunae gae tu suni na gae
Mein bhala kya kahon pyar kya cheez hai

Pyar jalwa-e-laila-e-sehra nahin
Jis ko aashiq nigaho men bhur jaey ga
Pyar majnon ke aankhon mein hota nahin
Aankh durya hai churh kay utar jaey ga
Mein bhala ky akahon pyar kya cheez hai

Pyar pholon sa nazauk badan hai koi
Jisko nafrat k sholon mein julna b hai
Jis ke qismat mein likhay hein daar o rasm
Jis ko sooli pay sajna sawarna bhi hai
Jisko sohni k kuchay gharay ke tara
Panion k bhnwar mein utarna b hai
Mein bhala ky akahon pyar kya cheez hai

Pyar jub jub zameen per utara gaya
Zindagi tugh ko sadqay mein wara gaya
Pyar zinda raha mattion mein magar
Pyar jis nay kiya hai, wo maara gaya
Mein bhala ky akahon pyar kya cheez hai


Mein bhala kya kahon pyar kya cheez hai
Pyar lafzon mein kesay samo paey ga

Ham Uudas Nasloon k Mayus Bassi Nahi

Ham Uudas Nasloon k Mayus Bassi Nahi
Hanstey Muskratey Jeeney ki Taman'na rakhtey hain
Jin k Labon per Hansi aur chehron per khushi nazer aati hey
Tum na mano Mager woh bhi Dukhi hotey hain

Main jo itna hansta hoon
Main jo itna batain kerta hoon
Apni zaat ka main bhi qaidi hoon
Apni zaat sey nikal ker daikhna chahta hoon

Yeh Haseen chehre,
Yeh khobsorat Log
Mujhe ache lagte hain,
Apne se lagte hain
Yeh Dukh aur Sukh,
Gham ho ya Khushi
Tum na mano mager mujhe ache lagte hain....!!!

Shub thee aur maiN tanha

Shub thee aur maiN tanha
Aur hawa ka ik jhonka
Teri yaad ki Khushboo
Saath leker aaya tha

Mujh ko yuun laga jaise
Tou hai mere pahloo meN
Tere tun ki Khushboo se
Dil mahak uTha mera

Teri garm saNson se
Jism jal gaya mera
Kya tapish thee saansoN meN
Rooh tak jhulas uThThi

Such to bus yehee hai tou
Mujh se door hi kub tha
Jaan.o.dil men rahta hai
Door ho nahi sakta

Mere aansoo.oN men tou
Meree har Khushee meN tou
Tou hai mere khuwaaboN meN
aur tou hi khayaaloN meN

Mere dil meN basta hai
Door kaise jayega
Mujh se door raih ker bhi
Door reh na payega...

Mohabbat muskurati hay

Mohabbat muskurati hay
K yeh jazba hy achahat ka
Jo aksar aazmata hay
K yeh dushman ki har sazish ki
Nakami ka rasta hy
Mohabbat
Maal-o-zar ko b kahan tasleem
Karti hay
Dilon per raaj karti hy k yeh tazeem
Karti hay
Kahin qaus e qazah ban kar
Kahin khusbu ki surat b
Humary khawab raston me
Achanak rung bharti hay
Humari soch per aksar
Haseen mausam sy lati hay
Mohabbat muskurati hay
Mohabbat sagmagati hay.....!!!

Chalo door Kahin chaltay hain

Chalo door Kahin chaltay hain
Kahin peron kay saye Main
Kahin sapnon ki wadi main
Ya kahin jheel Kinaray Per
chalo chaltay hain Kahin Jana
Mohabbat Mehsoos Kartay hain
Teray Kandhay pay sar Rakhay
Jo badal chu kay guzrain To
jo barish ham pay barsay To
Buhut si ankahi batain Khamoshi ki zaban main
Buhut aahista say jana Hamry dil main Utar ayain
kabhi shabnam pay nangay paon,
Teri qurbat kay lamhon main
zamanay bhar say be-khabar
Kahin shehr-e-mohabbat ki zamin pay dono ja pohnchain
nazar main tera chehra ho
faza main khusbu hamri ho
na apni khabar tumhain kuch ho na apna pata mujhe kuch ho
Mohabbat ki khamoshi ho,
Mohabbat ki kahani ho
Mohabbat ki zabani ho

Agar teri ijazat ho


Agar teri ijazat hO!
Agar tu ranj na hO tu!
Tujhe lafzOn ka tOhfa dOOn
Tujhe chahat ki khushbOO dOOn

Agar tu ranj na hO tu!
Tujhe har aan har lamha
Wafaein dOOn duaein dOOn,
Saba k hath khath bhejOOn,
Ye Dil bhi sath rakh bhaijon,
Suhanein khawab chun chun
k wafa k haar Bun bun k
Meri aankhein meri palkein
Teri khatir kabhi chalkein
Kabhi sOcha ha ye tum ne?
Kabhi Chaha hai ye tum ne?

Agar teri ijazat hO!
Wahan OOs par chalte hain,
Jahan per phOOl khilte hain,
Jahan par khawab milte hain
Jahan tarOOn ki jhilmil hO
Jahan naghmein hOn bulbul hO
Jahan rahat ka har pal hO
Jahan Tum sham-i-mehfil hO

Agar teri ijazat hO!
Wahan phir Baithe baithe he
YOun he khO jaein Hum dOnO
Saba hO jaein hUm dOnO
JO har pal khushnuma kar de
JO har sache mOsafir kO
Safar se ashna kar de
Osay manzil atta kar de

Agar teri ijazat hO!
Wahan us par chalte hain
Jahan khawahish na hassrat hay
Jahan na hijer Aahein hain
JO hain tu bas nighaein hain
Bari khush rung Rahein hain

Agar teri bhi khahish hO
Agar tu deikhna chahe
Agar tu sOchna chahe
Tu lafzOn se mujeh daikhe
Main khusbOO se tujhe parkhOOn

Agar teri ijazat hO!
Main dharkOOn teri dharkan mein,
Main tarpOOn teri tarpan mein
Main shamil tujh mein hO jaOn,
Teri bahOn mein khO jaOn
Agar teri ijazat hO!

Udass lamhe Purani yadein

Udass lamhe
Purani yadein
Alam ka aalam
Wo kali ratein

Kaho to likhuun
Kaho to boluun
Maen apne dil ki
Wo sari batein

Wohi fasana
Wohi kahani
Hamara qissa
Meri zubani

Magar ae dil ...

Ab kesa shikva
kyunkar shikayat
nahi chale gi
koi wazahat

Chalo bhula dein
Woh sari shamein
Shama ki jhilmil
Wo Pheli banehin

Tera tasavvur
Tujh se haseen hai
Saya hai mera
Yaheen kaheen hai

woh dasht-e-khamoshi mein


woh dasht-e-khamoshi mein
ungliyon mein Sipiyan pehny
Kisi sukhey Smundar ki
adhuri Piyaas ki baatain
Bohat chup chap sunta hay
bohat khamosh rehta hy
Usey ye kon smjhaye?
Khushi k ek aanso se
Samundar bhar Bhi jatey hein
Bohat khamosh rehney sey
T'aluQ mar Bhi jate hain.....

sham k ujalon per apnay naram hathon say


sham k ujalon per apnay naram hathon say,
koi baat acha sa koi khowab,
sacha sa,
bolti khushbou,
koi sochta lamha,
jab bhi likhna chaho gay,
soch k darichon se,
yad k hawalon se,
mera nam chupkay se tumko yad ayega,
hath kaanp jaingay,
sham theher jaige,
meri yad aye gi,
meri yad aye gi.

Ajnabi si rahaon ka,ajnabi musafir ek



Ajnabi si rahaon ka,ajnabi musafir ek

Mjh sy poch behtha hai rasta bata do gay........?

Ajnabi si rahaon ky ajnabi musafir sun.......

Rassta koi bhi ho,

Wasta koi bhi ho,

Manzalain nai miltin................

Manzalain tu dhoka hain..!

Manzalain jo mil jain,

Justuju nahi rehti.........

Zindgi ko jeeny ki arzu nahi rahti...............!!

Chand ne kaha


Chand ne kaha !
rotay ho kis liye
maine kaha dil toota hai is liye,
Chand ne kaha !
chahat main to aisa hota hy
maine kaha chahat bhi to ik dhoka hai
Chand ne kaha !
bhool jao usay
maine kaha tu meri zindagi le ja
Chand ne kaha !
duniya mian aur bhi chehray hain
maine kaha dil pe uski yadon k pehray hain
Chand ne kaha !
her terf verani hai
maine kaha ye duniya bhi to kahani hy....

Kal Puri Raat naa hum so paaye

Kal Puri Raat naa hum so paaye,
Kal Puri Raat naa woh so paaye,
Ab jaane kismat kya rang laaye,
Hum par itne marte hai ,
Par kehne se kyo darte hai,
Saamne aaye kuch keh naa sake,
Bin hamare bhi reh naa sake,
Neend hamein naa aati hai,
Raat bhar jagaati hai,
Khwab unke dikhaati hai,
Yaad unki sataati hai,
Bin unke rehna mushkil hai,
Bas mein naa ab yeh dil hai,
Woh ek mere kabil hai,
Mera sab kuch unhike khaatir hai,
Duniya to yeh kehti hai Pyaar kiya to darna kya,
Darna to pyaar karna kya,
Lekin hum to darte hai,
Pyaar bhi to karte hai,
Dar ko ab bhagaana hai,
Haal - e - Dil bataana hai,
Dil ki daastan unkahi naa reh jaaye,
Labon pe aane se pehle kuch gajab na ho jaye,
Un par to hai pura Aitbaar,
Par kahi wo naa kar de Inkaar,
Unko karna hoga izhaar,
Aaakhir unko bhi to hai mujse pyaar,
Unke dil ke halaat aankhen bayaan karti hai,
Har pal kehti hai ke wo humpe marti hai.

Raatain laut ayee hain


Raatain laut ayee hain
phir say mazi k woh dareechay khulain gay
kabhi yoonhi kisi sard raat main achanak
suhani yadon ka koi hissa
kisi barf kay narm galay ki tarha
bin mosam sardi ki barish ki tarha
pichlay peher ki khamosh sarsarahat ki manind
apnay andar nami ka ehsas liay
yoonhi urti saba ki tarha
dil ko choo jay gaa

phr say dil muskuray gaa
anjanay say suroon main dhalay geet
suna'ay gaa
tuo us vakt, sunn lo jaana!!!
woh yadain, woh maazi bhi apna thaa..
or ye batain, ye haal bhi apna hay
tum kal mujh say
mere rag-e-jaan say
sabb say barh kay kareeb thay
aaj or bhi nazdeek ho!!!

mosam tuo hotay hi badalnay ko hain
ye sa'ay say, ye roz-o-shabb
hotay ghatnay barhanay ko hain
mohobbat sirf barhanay ko hay!!!


harr guzarta pal,
harr jaata lamha, ye keh raha hay
woh yadain, woh maazi bhi apna thaa..
or ye batain, ye haal bhi apna hay

TUM SIRF MERI HO

TUM SIRF MERI HO

raat k kisi lamhey jab tumhari yaad aye
tu batao mujh ko mian kiya karon
tumhain mithi nendia se jaga don ?
ya tumharey seney per sar rakh don ?
tumhari gehri band akhon ko kholon
aur un main samaj jaon ?
ya tumhain bina akhain jhapkey dekhta jaon ?
k kahe yeh khawab toat na jaye
k tumhara sath choth na jaye
Suno...!!!
mujhe tumharey sath guzra
ik lamha bhi bhulana gawara nahi
Suno...!!!
utho aur aik bar mujhe ankh bhar ker dekho
aur mujh ko kaho ke
"Tum Sirf Meri Ho."




Yeh Haseen Sham Apni

Yeh Haseen Sham Apni
Abhi Jis Main Ghul Rahee Hay
Tiray Peyrahan ki khushboo
Abhi Jis Main Khil Rahay Hain
Mairay Khuwab Kay Shagoofay
Zara Dair Main Ufaq Par
Khilay Ga Koi Sitara
Tairee Simt Daikh Kar Woh
Karay Ga Koi Ishara
Tairay Dil Ko Aay Ga Phir
Kissi Yaad Ka Bulawa
Koee Qissa e Judaee, Koi Kaar e Namukammal
Koee Khab e Naashaguftaa, Koi Baat Kehnay Walee
Hamain Chahye Tha Milnaa
Kissi Ehd e Meharbaa’n Main
Kissi Khuwab Kay Yaqee’n Main
Kissi Aor Aasmaa’n Main
Kissi Aor Sar zamee’n Main
Hamay Chahye Tha Milnaa…

Setember k mahine ka wo shayed

Setember k mahine ka wo shayed aakhri din tha,
baras guzrey kayee
main ne "Muhabbat" lafz likha tha,
kisi kaaghaz k tukrhey par!
achanak yaad aaya hai,
baras guzrey kayee
mujh ko kisi se baat karni thi,
usey kehna tha,
Jaan-E-Jaan!"Mujhe Tum Se Muhabbat Hai"
magar main keh nahi paaya,
wo kaaghaz aaj tak lipta para hai dhool mein lekin,
kisi ko de nahi paaya,
DOBARA CHAH KAR BHI MAIN MUHABBAT KAR NAHI PAAYA..............

Rat ki tareeki mai Asman per beshumar Tare

Rat ki tareeki mai Asman per beshumar
Tare chamak rahay thay,
Mere dekhte hi dekhte ek tara toot ker bikharne laga,
Maine us se poocha tum to apne sathiyon kay sath
Khush thay per.....
Kyon iss tarha rooth kar ja rahay ho.....
Us ne kaha ek pagal se larki ne taron ko dekh
ker dua mangi....
Kay koi tara abi iss waqat toot jaye to mai samjo gi
Meri dua kabool ho jaye gi.....
Or MERI MOHABBAT mujay mil jaye gi...
Tare ne kaha jab maine dekha koi tara nahi toota
To larka rone laga us kay anso'on mai na dekh saka...
Aur mai apne sathiyon say juda ho ker sab rishtay toar kar
Toot gaya....
Maine kaha tum kitne khush naseeb ho kay....
Kisi ki khushi kay liye tumne....
APNI ZINDAGI FANA KAR DI....!!!!

mere humsafar tu ajeeb hai


mere humsafar tu ajeeb hai,

tu to sab se mere kareeb hai ...

main jo ro parun tu tarap uthay,

main jo hans parun tu bhi has paray...

main kabhi kabhi yunhi shok main,

tujhay cher doon kabhi lar parun...

mere humsafar tu hai be khabar,

main to kis kadar tujhay piyaar doon...

tu kahay to raat raat hai

tu jo din kahy main bhi din kahon...

tu o chahay tujhko naseeb ho,

main to rab se bas ye dua karon...

tere bin na ho kabhi ik pal

tere saath bas main jiya karun....

Usko Bade khuloos se Samjhaya tha

Usko
Bade khuloos se
Samjhaya tha
Yeh muhabbat, yeh chahat
Yeh rooh ,yeh jism
Yeh jan
Sab kisi ke amanat hain
Mere pass
dene ko kuch bhi nahin hai
Usne khamooshi se
Mere bahte huye ashkoon ko
Apni hatheli per saja liya
Aur yeh
kahte huye chal di
Mujhe mere jeene ka
Sahara mil gaya

Us Nay Mairay Seenay Pe Sir Rukh Ker Pocha

Us Nay Mairay Seenay Pe Sir Rukh Ker Pocha ..

janaa .. apnay jeewan ka wo lumha tu batao mujhko
jis kai badlay mil saktay hain sub he seetaray
daryaaon kai saray motti ..
sawan kee paihlee baraish kai saray qatray ..
ujlay chand kee sari kirnain ..
dhartee kai seenay say liptay sub he khazanay ..
saray mosam sub he duaien
pholon kee rangeen qabba-ein
patti patti pernay wali bheenee shabnum ..
is_may aazum
us nay mairay seenay pai sir rukh ker pocha
janaa .. apnay jeewan ka wo lumha tu batao mujhko
jiskai badlay sub kuch apna , sub kuch sub kuch
apna sub kuch dai saktay hooo
mainay us ka matha chomma or bola jub............


paihlee bar mairay seenay pai tumnay apna sir rukha tha .........

Bikhre hue jazbaat hein



Bikhre hue jazbaat hein

Toote hue khwaab hein

Ye jazbaat meri daulat hai

Yeh khwaab meri saughaat hai


Lamha lamha behlaati rahi

teri yaad is dil ko

Is liye shaayad aaj bhi

Log Kehte hein "Hum Zinda Hain"...

Uss Be-wafa ka shaher

******** Uss Be-wafa ka shaher **********

December ab k aao tou
Tum us shehar e tamanna ki khabar lanaa
Keh jis mein jugnuon ki kehkashaan jhilmilaati hay
Jahan titlee k rangon say fizaain muskarati hain
Wahan charon taraf khushboo wafa ki hay
Aur us ko jo bhi pooron say
Nazar say choo gia pal bhar
Mehak utha!

December ab ka aao tou
Tum us shehar e tamanna ki khabar lanaa
Jahan per rait k zarray sitaray hain
Gul o bulbul,Mah o anjum wafa k ista'aray hain
Jahan dil woh samandar hay jis k kai kinaray hain!

December hum say na poocho hamaray shehar ki baabat
Yahan aankhon mein guzray kaarwan ki gard thehri hay
Muhabbat barf jaisee hay yahan
Yahan dil k lahoo mein
Apni palkon ko dabo ker hum
Sunehray khawb buntay hain
Phir unhi khawbon mein jeetay hain
Unhi khawbon pe mertay hain
Dareeda rooh ko lafzon say seena gou nahee mumkin
Magar phir bhi!
December ab k aaou tou
Tum us shehar e tamanna ki khabar lanaa!!!

Dekh k tum ko hosh main aana


Dekh k tum ko hosh main aana
bhool gaye,yaad rahe tum or zamana
bhool gaye
jab samne tum aajate hoo
kia janiye kia hojata hai
kuch mil jata hai kuch khoo jata
hai kia janiye kia hojata hai
chaha tha ye kahein ge soocha tha wo kahein ge
aaye wo samne to kuch bhi na keh sake bas
dekha kiye unhein hum
dekh ker tum ko yakeen hota hai
koi itna bhi haseen hota hai
dekh pate hain kahan hum tum ko
dil kahien hosh kahien hota hata hai
aaker chale na jana aese nahi satana
de ker hansi laboon ko aankhoon ko mat rulana
dildena na bekarari ka karar ban k
yadoon main khoo na jana tum intazaar ban k
sabhool ker tum ko na ji pain ge
ath tum hoge jahan jaein ge
hum koi waqt nahi hain humdum
jab bulao ge chale aaein ge
jab samne tum aajate hoo
kia janiye kia hojata hai
kuch mil jata hai kuch khoo jata hai
kia janiye kia hojata hai....

Kash Ke Tum Dekh Pao Is Dil KI Gaharai Ko

Kash Ke Tum Dekh Pao Is Dil KI Gaharai Ko,
Shayad Samj Pao Mere Jusbat Ko,
Har Bat Pr Tmhari Jo Main Jee Utha Hoon
Shayad Mere Zindagi Ka Hosool Hay,
Main Sirf Yadoon Main Rehna Chahta Hoon,
Kisi Aur Ki Yad Achi Nahi Lagti,
Tum Se Dil Lagane Ke Koi Bat Achi Nahi LAgti,
MAin Kisi Aur Ko Kyoun Sochcho
Jab Tm Mere Khyal Main Ho,
MAin Tmhare Khayooln Main Rehna Chahta Hoon
Tmhare Sathh 50 Saal Tk Rehna Chahta Hoon
Mere Ankhan sirf Tmhe Dekhti Hain,
Rub Chahe Na Chahe Tm Meri Ho....

KASAM tu khali tum ne


KASAM tu khali tum ne,
Mujhe kabhi bhi yaad na kerne ki,
MAGER mey janta hoon,
Tum mujhe kabhi na bhula sakhogi,
Din bher haste khelte rehne mey shayed,
MERI yaad na aye tumhe;
MAGER SUNO;
Subah jab ankh khule tumhari,
TU TAKKIYE PER;
Phelay howe apne kajol ko,
CHUPA LIYA KERNA,
K koi jaan na sakhe,
TUM RAAT BHER ROTI RAHI,
MERI YAAD MEY**!!!!!!!!

Koi chaon ho

Koi chaon ho
jisy chaon kahny main
dophar ka guman na ho
Koi sham ho
jisy sham kahny main
shab ka koi nishan na ho
Koi wasal ho
jisy wasal kahny mai
hijar rut ka dhouhan na ho
Koi lafz ho
jisy likhnay parhnay ki chah main
kabhi ik lamha giran na ho
Ye kahan hoa ha k
Hum Tumhain
kabhi apny dil sey
pukarny ki saie karen
Wahen arzon ba aman na ho
Wahen mosam ghum-e-jaan na ho....

Tumhi mera pyaar ho


Tumhi mera pyaar ho....

Haan tum sirf tum,

Jisey Dil ne her pal manga wo ho TUM,

Mera jina mera merna ho TUM,

Jese phool mein khushboo ho TUM,

Dil may jese dhadkan ho TUM,

Aankho main jese khowab ho TUM,

Meri raah meri manzil ho TUM,

Zindagi k aas ho TUM, haan TUM.....

Mera sab kuch ho TUM,

Mera pyaar ho TUM... Sirf TUM....

kuch is tarah tum ne


kuch is tarah tum ne

mere dil me ghar kiya hai

charau aur mere

muhabbat ka samaa hai

dil me khushi aur

labau pe muskurahat hai

ye khushiya

tere pyar ki inayat hai

kuch muddat pehle

tumhe jante bhi na the

ab ye hal hai

ke duri sehna dushwar hai....

Mujhe chaha hai tune is shiddat se


Mujhe chaha hai tune is shiddat se

meri har khwaish ka khayal rakha

mujhe sar ankhau pe bithakar

meri har khushiyau ko sambhal rakha

mere dil ko apne dil se jod kar

mujhe apne dil ke qareeb rakha

mujhe apni agosh me chupa kar

mujhe khud se zyada azeez rakha

teri is wafa ka shukriya

teri har chah ka shukriya

tere pyar ke is ehsaas ka

aur is khubsurat saath ka shukriya....

Mohabbat Ho Os,mohabbat Agan Ho


*********mohabbat*** *****
Mohabbat Ho Os,mohabbat Agan Ho
Mohabbat Ki Ruh Ho,mohabbat Badan Ho
Ye Mathe Ki Bindia
Ye Hatho Ki Mehndi
Ye Pero Ki Payel
Kahin Say Main Lakay Ye Honto Ki Lali
Aur Ankho Ka Kajal
Mohabbat Bana Doon
Mohabbat Ka Dil Ho,mohabbat Ki Sansain
Mohabbat Ka Din Ho,mohabbat Ki Ratain
Mohabbat Ka Lab Hon,mohabbat Kay Andaaz
Mohabbat Ke Dhab Hoon MOHABBAT SE KEH DO
MOHABBAT HA JANA
MOHABBAT MAIN REHTE HAIN AKSAR HI GHUM SAY
MOHABBAT KO DE DO
MOHABBAT SAY SABH KUCH
MAIN DONO JAHAN KO MOHABBAT BANA DOON
MOHABBAT KO LA KAY MOHABBAT DIKHA DOON
MAIN TUM PAY MOHABBAT MOHABBAT LUTA DOON
MAIN TUM KO MOHABBAT MOHABBAT BANA DOON
PAR ITNI MOHABBAT KO TUM KIA KARO GHE........???

Mere humsafar, tujhey kya khabar

Mere humsafar, tujhey kya khabar
Yeh jo waqt hai kisi dhoop chaon ke khail sa
Isey daikhtey, isey jhailtey
Meri ankh gard se att gai
Mere khuwab rait mai kho gaye
Mere hath barf se ho gaye
Mere bekhabar tere naam per
Wo jo phool khilte they hont per
Wo jo deep jalte the baam per,
Wo nahi rahey
Wo nahi rahey K jo aik rabt tha darmayan wo bikhar gaya
Wo hawa chali
Wo kisi sham aise hawa chali
Ke jo barg the sar-e-shakhe Jan, wo gira diye
Wo jo harf darj the rait per, wo ura diye
Wo jo raaston ka yakeen thay
Wo jo manzilon k ameen thay
Wo nishan-e-pa bhi mita diye!
Mere humsafar, hai wohi safar
Magar aik moor k farq se
Tere hath se maire hath tak
Wo jo hath bhar ka tha fasla
Kai mosamon mai badal gaya
Usey naptey, Usey katatey
Mera sara waqt nikal gaya
Tu maire safar ka shareek hai
Mein tere safar ka shareek hon
Per jo darmayan se nikal gaya
Usi fasley k shumar mai
Usi be yakeen se ghubar mai
Usi rahguzar k hasar mai
Tera rassta koi aur hai
Mera rasta koi aur hai..

sahil, rait, samundar, lehrain,

sahil,
rait,
samundar,
lehrain,
basti,
dost,
sehra,
darya,
khushboo,
mousam,
phool,
dareechy,
badal,
suraj,
chand,
sitary,
aaj ye sub kuch naam tumary
khawab ki batein,
yad k qissay,
soch k pehlo,
neend k lamhy,
dard k anso,
chain k naghmy,
urrty waqt k behty dhary,
rooh ki aahat,
jis ki junbash,
khoon ki gardish,
saans ki larzish,
aankh ka pani,
chahat k ye unwan saray,
aaj ye sub kuch naam tumary!!!

kuch ankhain aisi hoti hain

kuch ankhain aisi hoti hain...
jo apni apni lagti hain....
bheer main nazer ajayen too..
dunya ruk si jati hai....!
Waafa k sab jawab ik pal main samjhati hain...
jazbay kitnay sachay hain..?
khuwab kitnay achay hain..?
muhabbat kitni paak hai..?
judai kia azaab hai..?
phir isi bheer main kho jati hain...
aur yaad bun kar satati hain...
woh ankhain phir kahan say layen..?
jo muhabbat samjhati hain....!!
isi talash main rooh bhatakti hai...
pal pal phir tarapti hai.....
manzil say bhatka k hum ko....
intizar day jati hain....
Kuch ankhain aisi hoti hain...!!!!! !!!

Apney Bistar Per Bauhat Der Se Main


Apney Bistar Per Bauhat Der Se Main Neem Daraaz
Sochti Thi K Wo Is Waqt Kahan Per Ho Ga
Main Yahan Hum Agar Us Koocha Rang-O-Bu Main
Roz Ki Tarah Se Wo Aj Bhi Aaya Ho Ga
Aur Jab Wahan Us Ne Mujh Ko Na Paaya Ho Ga……………..!?

“Aap Ko Ilm Hai Wo Aj Nahin Aai Hain”
Meri Her Dost Se Us Ne Yehi Poocha Ho Ga
Kyun Nahin Aai Wo ------Kya Baat Hui Aakhir
Khud Se Is Baat Per So Baar Wo Uljha Ho Ga
Kal Wo Aaye Gi To Main Us Se Nahin Bolun Ga
Aap Hi Ap Wo Kai Baar Rootha Ho Ga
Wo Nahin Hai To Bulandi Ka Safar Kitna Kathin Hai
Seerhyan Charhtey Huey Us Ne Ye Socha Ho Ga

Raahdaari Main Harey Phooon K Qareeb
Us Ne Her Simat Mujhey Aan Kar Dhoonda Ho Ga

Naam Jo Bhooley Se Mera Kahin Aaya Ho Ga
Ghair Mehsoos Tareeqey Se Who Chaunka Ho Ga
Aik Jumley Ko Kai Baar Sunaya Ho Ga
Baat Kartey Kartey So Baar Wo Bhula Ho Ga
Ye Jo Nai Larki Aai Hai Kahin Wo To Nahin
Uss Ne Her Chehra Yehi Soch Kar Dekha Ho Ga


Jaan-E-Mehfil Hai Magar Aaj Faqat Merey Bghair
Haaye Kis Darja Wohi Bazam Main Tanha Ho Ga
Kabhi Sannaton Se Jo Wehshat Hui Ho Gi Us Ko
Uss Ne Bae Saakhta Phir Mujh Ko Pukaara Ho Ga
Chaltey Chaltey Koi Maanus Si Aahat Paa KaR
Doston Ko Bhi Kisi Uzar Se Roka Ho GA
Yaad Kar K Mujhey Nam Ho Gayen Hon Gi Palken
“Aankh main parr gaya kuch” Keh Kar Taala Ho Ga
Aur Ghabra K Kitaabon Main Jo Li Ho Gi Panaah
Her Satar Main Mera Chehra Ubhar Aaya Ho Ga
Jab Mili Ho Gi Usey Meri Alaalat Ki Khabar
Us Ne Aahista Se Deewar Ko Thaama Ho Ga
Soch Kar Ye K Behal Jaye Pareshani-E-Dil
Yunhi Bae-Waheh Kisi Shakhs Ko Roka Ho Ga


Ittefaqan Mujhey Us Shaam Meri Dost Mili
Main Ne Poocha K “ Suno!... Aaye They Wo? Kaisey They?
Mujh Ko Poocha Tha…? Mujhey Dhoonda Tha Chaaron Jaanib?
Us Ne Aik Lamhey Ko Dekha Mujhey Aur Phir Hans Di

Us Hansi Main To Wo Talkhi Thi K Us Se Aagey

Kya Kaha Uss Ne Mujhey Yaad Nahin Hai---

LAKIN

Itna Maaloom Hai…………..

Khwabon Ka Bharam Toot Gaya!!!

Khuwab Sajany Wali Ankhain

Khuwab Sajany Wali Ankhain

Pal Bhar Main Banjar Hojaye

Rasta Taktay Taktay Thak Kar

Umeedain Pathar Haojaye

Lab Par Thehri Ho Khamoshi

Aur Seenay Main Hashar Barpa Ho

Lafzon Ke Maala Ka Dhaga

Becha Say Jesay Tooth Gaya Hoo

Bhooli Bisri Sari Batain

Main Bhe Shayad Yaad Bana Lon

Bhool K Apnay Dukhray Saray

Honton Pe Muskan Saja Lon

Tum Dhundo Phir Mujh Mai Mujh Ko

Aur Main Khud Mai Gum Hojao

Esa Bhe Tu Ho Sakta Hai

Main Bhe Ek Din Tum Ho Jao!!!

chalo ham maan letay hain

chalo ham maan letay hain
tumhain ham kho chukay
laken

tumhari yaad ab tak bhi
hamain betab rakthi hai
hamari saans ab tak bhi
tumhari aas rakhti hai

magar ab yeh bhi sunte hain

tumhari rah roshan hai
tumhain mil jaye ga koi
magar afsos

ham jaisa...............


agar pao,
kahin tum to
mujhe do haraf likh dena


kay


MANZIL MIL GAYI MUJHKO!!!!

Main Aadmi Aam Sa

Main Aadmi Aam Sa
Ek Qissa Na-Tamaam Sa
Na Lehja Be-Misaaal Hai
Na Baat Main Kamaal Hai
Hoon Dekhne Main Aam Sa
Udaasion Ki Shaam Sa
Jaise Ek Raaz Hoon
Khud Se Be-Niaz Hoon
Na Mehjabeenon Se Rabt Hai
Na Shohraton Ka Zabt Hai
Ranjha Na Qais Hoon
Insha Na Faiz Hoon
Main Pekar-E-Ikhlas Hoon
Wafa, Dua Or Aas Hoon
Main Shax Khud Shanaas Hoon
Tum Hi Karo Ab Faisla
Main Aadmi Hoon Aam Sa?
Ya Phir Bohat Hi Khaas Hoon

Judai maar dalay gi


suno...!
Hum toot jain gay k duri seh na pain gay
Judai maar dalay gi

suno...!
ye ankhain bojhal hain
Inhein kis terhan behlain

suno...!
Hum so na paien gay
Kabhi khush ho na paien gay
Judai maar dalay gi

suno...!
Ye dil tumhara hai
Na tum bin ab guzara hai

suno...!
Kch waqt do hum ko
Bna lain dost iss ghum ko
Hamin maalum hai aakhir
judai maar dalay gi....

Judai mout hoti hai


Judai mout hoti hai
Kabhi fursat mile to dekhna patton ka girna tum
K kaise ya sajar se gir zameen per aaan parte hain
To kaise roondh jate hain
Thitharti raat k khamosh lamhoon main
Kisi bebas akeli bewafa khamosh larki ki
kabhi tum siskiyaaan sunna
Kabhi kataaar se bachri hui konjon k nohe per
Nigaaah kerna
K kaise aik dooje ki judai per
Tarap ker baen kerti hain
Kabhi rukhsat k lamhoon main
kisi ki ankh se larazte hue ansoo ko dekho gi
To tum ya jaan jao gi
Judai mout hoti hai
Abhi tum ne
Mohabbat k baraste Bhegte mausam nahi dekhe
Abhi tum titliyooon k rang muthi main chupate ho
Abhi tum muskurate ho
Suno jana!
kabhi jo zindagi ne ajnabi rahoon per,
Tumhari ya hasi cheni
To phir ansoo bahao gi
Tum itna jaan jao gi
Judai mout hoti hai...!!!

Chalo phir milengey Kisi Shab

Chalo phir milengey Kisi Shab
Raat ke Aanchal ku Ourhey
Fasloon Sey Moun Morey
Taroon Ke Neelgoo Roshni Mein
Chand Ke ujlee Chandnee Mein
Aansoon Key Sahil Per
Phir sey Rakhe-e-ngey Qadam
Hathoon Mein Haath Thame
Ankhoon he Ankhoon Mein,
Safar kar lengey
Kaee Manzileen,Kaee Rastay
Aur Koi Nahee Bus,
Yeh Khamooshi Mein Aur Tum
Woh Unkhaee Se Bateein
Umad ayeingey Phir sey
Tere Bheege Palkoon per
Hawa Bus Ruk Se jayegee
Aarzooein Phir Sey Machl Jayeingee
Saansien bus tehr see jayeingee
Iss tootatey Khwab Kee taab Na la kar
Aankhein Phir sey 'Chalk' jayeingee
Sada phir bhi na aye gee
Khamooshi Phir Bhi reh jayegee
Aansoon Key Sahil Per
Phir sey Rakhe-e-ngey Qadam
Chand Bhi Badal Ke Oot Sey
Hum Ku jhankta Hu ga
In berham Waqt ke Maujoon Mein
Dobta Dekha ga Hum Ku
Chandnee Bhi Laut jayegee
'Tu' phir sey Duur Buhat Duur Chale jayegee
Beet jayege Sare Raat Isee safr Mein
'Aankh' Khule gee Aur yeh Kwab nagri

Mohabat rog hai jaana

MOHABAT ROG HAI JAANA


Mohabat rog hai jaana
Ajaab sanjoog hai jaana
Ye kaisa jog hai jaana

Baray borhay batatay thay
kaee qisaay sunatay thay
Magar hum mantay kab thay
Ye sab kuch jantay kab thay
Ye batain zikar k qabil
bhala gardantay kab thay

ana k takht pay bethay
Humain maloom hi kab tha
Anaa k takht say oper
Bohat saree bulandi par
Kahin pariyon k jhurmut mein
Teray pairoon ki payaal mein
Teray chotay say gaoon mein
taree zulfoon ki chaoon mein
sitary chand suraj
waalay hana raqs kartay hain

hamain maloom he kab tha
taray qadmon ke aahat per
gulabi muskarahat per teray hontoon ke jumbish per
teray sir kay ishray per
sada-e-dolbarana per
negaha-e-qatilana per
jafa-e-mehrmana per
ada-e-qatalana per
chaaman kay phool saray
is tarhan say dhayan daytay hain
zara say wasl kay jhansay main
apni jaan daytay hain

hamian kab ilm tha jana
teray paykar say dhul kar
chaandani har so bikhrtee hai
shab-e-mehtab ke doshezgi
kaisay nikhrtee hai
tere awaz weranay main
kya jadu jagatee hai
taray nagmay fiza main
kis tarha jaltarang bajatay hain
bohat pukhta iraday
kis tarhaa say toot jatay hain

hamain idraak he kab tha
hamain kamil bharosa tha
hamaray sath kisi surat
bhee aisa nahi ho ga
dil-e-nadan kabhi
qaboo say bayqaboo nahi ho ga
yeh dunya-daar
dunya-daar say saadhuu nahi ho ga

Magar.............


Magar phir youn hoa jana
na janay kyun hoa jana
bara afsoon hoa jana
jigar ka khoon hoa jana

teray abroo ke ik jumbish
say ghayal ho ga'ay hum bhee
baray bay multafit phirtay thay
maayal ho ga'ay hum bhe
sakahwat karnay aay'ay thay
aur sayal ho ga'ay hum bhee
baray bhooron ke in baaton kay
qayal ho ga'ay hum bhee
K............
Mohabat Rog Hai Jana
Ajab Sanjog Hai Jana

Yeh Kaisa Jog Hai Jana..............!!!

Aao chalein

Aao chalein!!

Tanhaion k safar pe hum,
Jahan manzilen hyn
Na raste,
Doriyan hen na fasle,
Jahan koi b be-wafa nahi
Jahan dard-o-ghum jafa nahi
Jahan pyar hay na qasam koi,
Iqraar hay na bharam koi,
Jahan Dill Koi jalta nahi,
Be-moot koi marta nahi
Aao chalo mere sath tum
Mere HUMSAFAR
MERE KHAWAB TUM
Aao chalo mere sath tum....

Maa" sath hay to saya-e-qudrat b sath hai

~~**MAA**~~
"Maa" sath hay to saya-e-qudrat b sath hai

Maa k baghair lagay din b raat hay

main door jaun to uska mere sir pe hath hay

mere liye to meri Maa hi kayenat hay

daman main Maa k sirf wafaon k phol hain

hum saray apni Maa k qadmon ki dhool hain

aulad k sitam usay hans kr qabool hain

bachon ko bakhsh dena hi Maa k usool hain

din raat us nay paal pos k bara kiya

girnay laga to Maa ne mujhay phir khara kiya....

MOHABBAT HO HI JATI Hai

MOHABBAT HO HI JATI Hai

KISSI AN DEKHI
SAAT MEIN
KISSI AN CHAHI
RAHAT MEIN
KISSI MASOOM CHAHaT MEIN
KISI SE
EK
LAGAWAT MEIN

MOHABBAT HO HI JAATI Hai

KISSI SE APNI HALAT KO
CHUPANA
LAAKH CHAHO PAR
KISSI BHI *** SE
DIL KO
BACHANA
LAAKH CHAHO PAR
KISSI AAWAZ KO CHAHE
DABANA
LAAKH CHAHO PAR
KISSI TASWEER KO
DIL SE
MITANA
LAAKH CHAHO PAR

KABHI KHUSHBU KO
LOGON SE
CHHUPANA
LAAKH CHAHO PAR
KISSI JAZBE KI AATISH KO
BHUJANA
LAAKH CHAHO PAR
AQAL KE SAAMNE
DIL KO
JHUKANA
LAAKH CHAHO PAR
KABHI BHI DHYAN KO APNE
BATANA
LAAKH CHAHO PAR

MOHABBAT HO HI JAATI Hai

KOI BHI LAAKH
ROOTHE PAR
KABHI BHI
SAATH CHOOTE PAR
HON WADE
LAAKH JHOOTE PAR
YE DIL
JITNA BHI TOOTE PAR

MOHABBAT HO HI JAATI Hai

BACHANA LAAKH CHAHO PAR
QYAMAT HO HI JAATI Hai
YE FARDE ISHQ Hai
ESS KI
ZAMANAT HO HI JAATI Hai
DUAON KE WASILE SE
KARAMAT HO HI JATI Hai
NA KARNE WALON KO AAKHIR
NIDAMAT HO HI JATI Hai

MOHABBAT HO HI JAATI Hai

RAHO GUMNAM JITNA BHi
SHUHRAT HO HI JATI Hai
ZARA TAKLEEF HOTI Hai
PHIR AADAT HO HI JAATI Hai
KHUDA TAUFEEQ DETA Hai
TO JURRAT HO HI JAATI Hai
MOHABBAT KE GUNAHGARO
MOHABBAT HO HI JAATI Hai


MOHABBAT HO HI JAATI Hai....

Main Apni Raato'n Ki Fursato'n Main

Main Apni Raato'n Ki
Fursato'n Main
Tujhy Manao'n
Tou Maan Jana

Agar Kisi Din Main Apne
Aanshu Jo Le Ker Aao'n

Tou Maan Jana

Ye Ek Dil Jo Tumhai'n Dia Tha
Is ko bhi Tum ne Tor Dala

Shikista Dil Ki Jo
Khirchio'n Ko Samait Lao'n

Tou Maan Jana

Tu Khush Nahi Hai
Meri Baqa Par Tou
Sirf Itna Bata

Teri Khushi K Liye
Jo Suuli Pe Muskurao'n

Tou Maan Jana

Tu Badguman Hai Meri
Wafa Par Tou Sirf

Ek Baar Azma Le

Jo Haar Jao'n T
ou Laut Jana
Jo Jeet Jao'n
Tou Maan Jana ...

Iss baar bhii barish khub hui

Iss baar bhii barish khub hui

Aur badaal toot key barsaa thaa

Galiyaan koochey jal thal they

Par soach ka sehraa piyasaa thaa

Band darwazey key shishey par

Jab boondoon ney dastak dii

Ahsaas hua tum aey ho ! ! !

Andaaz tumharey jaisaa thaa...

Un Jheel Si Gehri Ankhon Mein

Un Jheel Si Gehri Ankhon Mein ~

Un jheel si gehri ankhon mein
ik sham kahin aabad to ho!
Us jheel kinarey pal do pal
Ik khwab ka neela phool khiley!
Woh phool baha dein lehron mein
Ik roz kabhi hum shaam dhaley
Us phool ke behtey rangon mein
Jis waqt larazta chand chaley!
Us waqt kahin un ankhon mein
us bisrey pal ki yaad to ho!
Un jheel si gehri ankhon mein
ik sham kahin aabad to ho!

Phir chahey umar samandar ki
Her mauj pareshan ho jaye!
Phir chahey ankh dareechey se
Her khwab gurezan ho jaye!
Phir chahey phool ke chehrey ka
Her dard numayan ho jaye!

Us jheel kinarey pal do pal
woh roop nagar aijaad to ho!
Din raat ke is aainey mein
woh aks kabhi aazad to ho!
Un jheel si gehri ankhon mein
ik sham kahin aabad to ho...!!!

chalo hum farz kartay hain

chalo hum farz kartay hain
chalo hum farz kartay hain
wohi batain jo duniya main nahi hoti
chalo hum farz kartay hain
kay har suu noor phaila hai
na din main chaya sunnata
na raaton main andhera hai
na suraj shab main sota hain
na din main chand khota hai
hai har dil roshni say pur
aur aankhon main ujalay hain

chalo hum farz kartay hain
kay har mosam baharan hai
khizaab main phool khiltay hain
nigahain rag say mahati hain
guloon ki khushbuoon say
sab nizaray muattar hain
parinday chahchatay hain
khushi kay geet gatay hai

chalo hum farz kartay hain
kay har dil main muhabbat hai
kaheen jaghray nahi hotay
na barish dukh ki hoti hai
na aandhi gham ki chalti hai
na nafrat phaans banti hai
hain sabhi chehron pe muskanain
kaheen jaghray nahi hotay

chalo hum farz kartay hain
kay gham khushion say bahtar hain

chalo humfarz kartay hain
ye duniya tum say bahtar hai

zara tahro.....!!!!!!!!

magar hum farz kiyun kar lain
yakeen mujh ko batata hai
hakeekat to hakeekat hai
main sab kuch jaan sakta hoon
na suraj shab main chamkay ga
na din main chand niklay ga
khizan main gul nahi khiltay
ye nafrat mar nahi sakti
na gham khushiyon say bahtar hain
na duniya tum say bahtar hai
hai duniya ki hakeekat kia
fakat aik tum hi achay ho
jahano say zamano say
maknoon la maknoon say
ye sab kuch hai wohi jo
isi duniya main hota hai
to phir hum farz kiyun kar lain
fakat ik tum hi achay ho......


Tayray Naam Ki Thee Jo Roshnee

Tayray Naam Ki Thee Jo Roshnee
Ussay Khud Hee Tou Nay Bujhaa Diyaa
Na Jalaa Saki Jissay Dhoop Bhi
Ussay Chandni Nay Jala Diya

Main Hoon Gardishoo'n Main Ghiraa Hovaa
Mujhay Apnay Aap Ki Khabar Nahee'n
Woh Jo Shakhs Tha Mayraa Rehnumaa
Ussay Raastoo'n Main Ganwaa Diyaa

Jo Tayree Nazar Main Ajeeb Tha
Wohee Shakhs Tayraa Habib Tha
Tayray Haath Ki Woh Lakeer Thaa
Ussay Haath Say Hee Mitta Diyaa

Mujhay Ishq Hay Keh Junoo'n Hay
Abhi Faislaa Nahee'n Ho Sakaa
Mayraa Naam Zeenat-e-Dasht Thaa
Mujhay Aandhiyoo'n Nay Mitta Diyaa

kaise hui bardaad meri jawani likhna

kaise hui bardaad meri jawani likhna

Udaasioon ka sabab jo likhna,
to ye bhi likhna
kay chand taaray,
shahaab ankhien badal gaye hain

wo zinda lamhay jo teri raahon mein
tere anay kay muntazir thay
wo thak kay raahon mien dhal gaye hain

wo teri yaadien, khayal tere,
wo ranj tere, misaal tere
wo teri ankhein, sawal tere
wo tum say mere tamaam
rishtay bichar gaye hain,

ujadh gaye hian
udaasioon ka sabab jo likna
to ye bhi likhna
leraztay honthon pe larhkharhti,
dua kay suraj
pighal gaye hain

tamaam sapnay he jal gaye hain
baad marne ke tum meri kahani likna
kaise hui bardaad meri jawani likhna
ye bhi likhna kay mere honth hansi ko tarsay kaise
bahta raha meri aankhon say pani likna...!!!

Popular Posts