Tera Husn Ho
Mera Ishq Ho
To Phir Husn-O-Shoq Ki Baat Ho
Kabhi Me Milun
Kabhi Tu Miley
Kabhi Hum Milen, Mulaqaat Ho
Kabhi Tu Ho Chup
Kabhi Me Hoon Chup
Kabhi Dono Hum Chup Chaap Hon
Kabhi Guftugu
Kabhi Tazkarey
Koi Zikr Ho
Koi Baat Ho
Kabhi Visl Ho To Din Ko Ho
Kabhi Hijr Ho To Woh Raat Ho
Kabhi Me Tera
Kabhi Tu Meri
Kabhi Ek Dujey K Hum Rahen
Kabhi Saath Me
Kabhi Saath Tu
Kabhi Ek Dujey Ka Saath Ho
Kabhi Sohbaten
Kabhi Ranjishen
Kabhi Duriyan
Kabhi Qurbaten
Kabhi Ulfaten
Kabhi Nafraten
Kabhi Jeet Ho
Kabhi Maat Ho
Kabhi Phool Ho
Kabhi Dhool Ho
Kabhi Yaad Ho
Kabhi Bhool Ho
Na Nasheeb Ho
Na Faraz Ho
Na Hi Nichi Ho
Na Hi Jaat Ho
Rahen Muskuraaten Pyar Me
Khiley Phool Ban K Bahaar Me
Na Zameen Koi
Na Falak Koi
Na Wajood Ho
Na Hi Zaat Ho
"SIRF"
"TERA HUSN HO
MERA ISHQ HO"
No comments:
Post a Comment