Friday, April 23, 2010

Bad ik umr sar-e-raah usse deka tu

Bad ik umr sar-e-raah usse deka tu,
tez dharkn howi dil ki na mera rang ura,
parda-e-zehn pe tasveer na ubri koi,
na kisi yaad ne dastak di dar-e-dil pe mere,
koi halchal b meri zaat may bharpa na howi,
un nigahon may b muj ko nzr aaya na kahin,
ab koi pyas na shikwa na mohabat na hi khab,
aik be kaif sa lamha tha nigahain tu mili,
pr nigahon ne nigahon se kaha kuch b nahi,
wo jo be naam ta-alluk tha kabi dono may,
U laga jese hawaon may kahin jhool gaya,
ab ye ahsaas howa
may b usse bhool gaya.

No comments:

Popular Posts