Sehmi sehmi si khwahishain. ......
Main is taraf se guzar raha tha to main ne soacha
k tujh se mil loon...
salam keh doon
k sehmi sehmi si khawahishon ka zamana
ab to guzar chuka hai
Woh nojawan tujh ko yad ho ga
jhuki jhuki si nigah jis ki
jo tere chehre pe per bhi jati to yun bikharti
k farsh pe gir k jaisay aaina toot jae
mujhe bhi yad wo aik lerki
k jis k jism aur pairhan main hamesha ik kashmakash si rehti
mujhe hamesha yeh khauf rehta
k chandni aur barf mil ker jo ik sarapa sa ban gaya hai
hazaron moonh zor khawahishon ki hararaton se kahin pighal na jae
main is liye tujh se door reht tha
aaj laikin koi bhi khwahish koi tammana nahin
jo rasta zuban ka roke
na ab meri aarzoo sharabi na ab teri aankh main sabu hai
sitam guzida qarar main hoon, khazan guzida bahar tu hai
lehaza kehne de ab to itna
tu jab haseen thi, main jab jawan tha
main tujh pe merta tha
pyar kerta tha
aaj to bas......... ......... ......
main is taraf se guzar raha tha to main ne soacha
k tujh se mil loon
salam keh doon
k sehmi sehmi si khawahishon ka zamana ab to guzar chuka hai
No comments:
Post a Comment