Friday, April 23, 2010

Mere humsafar, tujhey kya khabar

Mere humsafar, tujhey kya khabar
Yeh jo waqt hai kisi dhoop chaon ke khail sa
Isey daikhtey, isey jhailtey
Meri ankh gard se att gai
Mere khuwab rait mai kho gaye
Mere hath barf se ho gaye
Mere bekhabar tere naam per
Wo jo phool khilte they hont per
Wo jo deep jalte the baam per,
Wo nahi rahey
Wo nahi rahey K jo aik rabt tha darmayan wo bikhar gaya
Wo hawa chali
Wo kisi sham aise hawa chali
Ke jo barg the sar-e-shakhe Jan, wo gira diye
Wo jo harf darj the rait per, wo ura diye
Wo jo raaston ka yakeen thay
Wo jo manzilon k ameen thay
Wo nishan-e-pa bhi mita diye!
Mere humsafar, hai wohi safar
Magar aik moor k farq se
Tere hath se maire hath tak
Wo jo hath bhar ka tha fasla
Kai mosamon mai badal gaya
Usey naptey, Usey katatey
Mera sara waqt nikal gaya
Tu maire safar ka shareek hai
Mein tere safar ka shareek hon
Per jo darmayan se nikal gaya
Usi fasley k shumar mai
Usi be yakeen se ghubar mai
Usi rahguzar k hasar mai
Tera rassta koi aur hai
Mera rasta koi aur hai..

No comments:

Popular Posts