Friday, April 23, 2010

Kal raat ko chand nay mujhse kaha

Kal raat ko chand nay mujhse kaha

kia mujh sa bhi koi dekha hay

Kia aisa b koi chehra hay…?

Jissay saari dunya takti hay…

Jo noor main dhul ker nikhra hay…?

Kia mujh sa b koi chehra hay…?

Ye sun k main nay uss se kaha

” Tu nay kia usko dekha hay..?

Jo chehra tujh se payara hay….

Wo niklay to din hota hay

Ussay dekhhon to har raat khillay

Tu noor main dhull ker nikhra hay

Par!

Noor bana uskay rang se….

Wo hont gulaboun jese hain

Wo jin se paani peeta hay….

Wo gehri saghar si ankhain

Main jin main doob si jati hoon

Wo paSs se guzray to uss pal

Ye dunya bhool si jati hoon

Wo jis rastay se chalta hay

Sab rastay sajday kartay hain …

Iss hawa k jhonkay bhi to buss

Ussay chu k mehka kartay hain….

Wo bat karay to lehjay se

Kuch phool bikhar se jatay hain

Us dheemi si awaz se phir,

Kitnay surr bikhra kartay hain

Phir raat k in sannataon main

Wo madham si awaz mere

kaanoun main goonjti rehti hay

main usko sochti rehti hoon

wo khwaboun main mil jata hay

ussay dekh k ye murjhaya Dil

us lamhay phir khil jata hay

Tu arsh ka chand,

Wo farsh ka chand”

Ye sun k Chand bhi jal sa gaya

Or mujh se bus itna hi kaha

“ main usko dekhnay jaoun ga”

aray o Cahnda!

Ik baat sunno

Tum raat ko bahar matt jana

Kahin Chand ki tum ko nazar na lagay…!

No comments:

Popular Posts