Friday, April 23, 2010

Kahi chhat thi deewaar o dar the kahi

Kahi chhat thi deewaar o dar the kahi
Mila mujhko ghar ka pata der se
Diya to bahut zindagi ne mujhe
Magar jo diya wo diya der se

Hua na koi kaam mamul se
Guzre shab o roz kuchh is tarah
Kabhi chaand chamka galat waqt par
Kabhi ghar mein sooraj uga der se
[mamuul=custom/practice]

Kabhi ruk gaye raah mein be sabab
Kabhi waqt se pahle ghir aai shab
Huye band darwaaze khul khul ke sab
Jahan bhi gaya main gaya der se

Ye sab ittifaak ka khel hai
Yahi hai judaai yahi mel hai
Main mud mud ke dekha kiya door tak
Bani wo khaamoshi sada der se

Saja din bhi roshan huyi raat bhi
Bhare jaam lahraai barsaat bhi
Rahe saath kuchh aise haalat bhi
Jo hona tha jaldi hua der se

Bhatakti rahi yun hi har bandagi
Mili na kahin se koi roshni
Chupa tha kahin bheed mein aadami
Hua mujh mein roshan khuda der se

No comments:

Popular Posts