Friday, April 23, 2010

Apney Bistar Per Bauhat Der Se Main


Apney Bistar Per Bauhat Der Se Main Neem Daraaz
Sochti Thi K Wo Is Waqt Kahan Per Ho Ga
Main Yahan Hum Agar Us Koocha Rang-O-Bu Main
Roz Ki Tarah Se Wo Aj Bhi Aaya Ho Ga
Aur Jab Wahan Us Ne Mujh Ko Na Paaya Ho Ga……………..!?

“Aap Ko Ilm Hai Wo Aj Nahin Aai Hain”
Meri Her Dost Se Us Ne Yehi Poocha Ho Ga
Kyun Nahin Aai Wo ------Kya Baat Hui Aakhir
Khud Se Is Baat Per So Baar Wo Uljha Ho Ga
Kal Wo Aaye Gi To Main Us Se Nahin Bolun Ga
Aap Hi Ap Wo Kai Baar Rootha Ho Ga
Wo Nahin Hai To Bulandi Ka Safar Kitna Kathin Hai
Seerhyan Charhtey Huey Us Ne Ye Socha Ho Ga

Raahdaari Main Harey Phooon K Qareeb
Us Ne Her Simat Mujhey Aan Kar Dhoonda Ho Ga

Naam Jo Bhooley Se Mera Kahin Aaya Ho Ga
Ghair Mehsoos Tareeqey Se Who Chaunka Ho Ga
Aik Jumley Ko Kai Baar Sunaya Ho Ga
Baat Kartey Kartey So Baar Wo Bhula Ho Ga
Ye Jo Nai Larki Aai Hai Kahin Wo To Nahin
Uss Ne Her Chehra Yehi Soch Kar Dekha Ho Ga


Jaan-E-Mehfil Hai Magar Aaj Faqat Merey Bghair
Haaye Kis Darja Wohi Bazam Main Tanha Ho Ga
Kabhi Sannaton Se Jo Wehshat Hui Ho Gi Us Ko
Uss Ne Bae Saakhta Phir Mujh Ko Pukaara Ho Ga
Chaltey Chaltey Koi Maanus Si Aahat Paa KaR
Doston Ko Bhi Kisi Uzar Se Roka Ho GA
Yaad Kar K Mujhey Nam Ho Gayen Hon Gi Palken
“Aankh main parr gaya kuch” Keh Kar Taala Ho Ga
Aur Ghabra K Kitaabon Main Jo Li Ho Gi Panaah
Her Satar Main Mera Chehra Ubhar Aaya Ho Ga
Jab Mili Ho Gi Usey Meri Alaalat Ki Khabar
Us Ne Aahista Se Deewar Ko Thaama Ho Ga
Soch Kar Ye K Behal Jaye Pareshani-E-Dil
Yunhi Bae-Waheh Kisi Shakhs Ko Roka Ho Ga


Ittefaqan Mujhey Us Shaam Meri Dost Mili
Main Ne Poocha K “ Suno!... Aaye They Wo? Kaisey They?
Mujh Ko Poocha Tha…? Mujhey Dhoonda Tha Chaaron Jaanib?
Us Ne Aik Lamhey Ko Dekha Mujhey Aur Phir Hans Di

Us Hansi Main To Wo Talkhi Thi K Us Se Aagey

Kya Kaha Uss Ne Mujhey Yaad Nahin Hai---

LAKIN

Itna Maaloom Hai…………..

Khwabon Ka Bharam Toot Gaya!!!

No comments:

Popular Posts