Friday, April 23, 2010

TUM SIRF MERI HO

TUM SIRF MERI HO

raat k kisi lamhey jab tumhari yaad aye
tu batao mujh ko mian kiya karon
tumhain mithi nendia se jaga don ?
ya tumharey seney per sar rakh don ?
tumhari gehri band akhon ko kholon
aur un main samaj jaon ?
ya tumhain bina akhain jhapkey dekhta jaon ?
k kahe yeh khawab toat na jaye
k tumhara sath choth na jaye
Suno...!!!
mujhe tumharey sath guzra
ik lamha bhi bhulana gawara nahi
Suno...!!!
utho aur aik bar mujhe ankh bhar ker dekho
aur mujh ko kaho ke
"Tum Sirf Meri Ho."




No comments:

Popular Posts