Kash K Zindagi main who muqaam aa jaye
Mujhe Rab ki Taraf se Yeh pegham aa jaye
Bata Bande tujhe kia aisa atta karon main
Jis se tere Dard ko Araam aa jaye
Main Sochta hoon k kia mangoon ga
Khushi or Sukh ka Dariya mangoon ga
Who khushi Jis se gher main ujala ho jaye
Who khushi jo meri zaat ka hawala ho jaye
Who Haath lota de jis main mera bachpan guzra
Jis ka pyar main jism main laho ban kar utra
Thak kar hamesha jis ki good main soya
Har kar Duniya se jis k aanchal main roya
Mumta k us samandar ko Ankheen hai Dhoondti
Maqrooz jis k Doodh k her Bond Mere Khoon ki
Who Maa hai jis ne her Ranj or Alam se Bachaya
Teez Dhoop maon jis ka wajood aik naram saya
Who jis ne Hanste Hanste her Ghum Uthaya
Kitna Mehrban hai Who Rab jis ne Maa ko Banaya
Who Maa jis k qadaoom main hai Jannat
Her Kammiyabi hai jis ki marhoon e Minat
Who Maa hai jis se hai Duniya ka Meela
Who Maa Chor Gayi Hum ko Akela
Mujh per apni Rehmatoon or Naimatoon ki Hadh na karna
A Mere Rab Meri yeh Duaa to Rad na Karna
Mujhe Khushiyoon ki who Kehkashaan Lota De
A Mere Allah Mujhe Meri Maa Lota De
No comments:
Post a Comment