Friday, April 23, 2010

Kehne wale kehte hai



Kehne wale kehte hai
tum adab ki dunya ka roshan sitara hu
Dard ki es nagri mai
taza hawa ka jhonka hu

tumhare lafaz dilo ko taskheer kerne ki salahiyat rakhte hai
Tumhe logo ki sooch ko
muthi mai band kerne ka tareqa aata hai
tumhe totey dilo ki dastaan ko
safa e qartaas per raqam ker k
logo mai suroor bantane ka fun aata hai

Mai ye sub sunta hu yu hans perta hu
kehne wale ko kia khabar
dard ki nagri mai taza hawa ka jhonka kehlane wala ye larka
andar se kitna khali hai...!

No comments:

Popular Posts