wusat-e-chashm-e-tar bhi daikhain gay
hum tujhay bhool kar bhi daikhain gay
zakhm per sabt kar na lab apnay
zakhm ko chaara gar bhi daikhain gay
hijr ki shab say haoslay apnay
bach gayay to sahar bhi daikhain gay
raat honay do,log sonay do
chand ko dar-ba-dar bhi daikhain gay
ik dua dil say chup kay maangi thi
us dua ka assar bhi daikhain gay
ik puraana safar to khatm howa
ik nayi rahguzar bhi daikhain gay
gin to lainay do baykafan lashein
bay sada baam-o-dar bhi daikhain gay
chairr kar dil ki rakh ko mohsin*
ab ke raks-e-sharar bhi daikhain gay
No comments:
Post a Comment