Dekh aa kar kabhi un ko bhi,jo tere hathon
Aise ujre hain ke aabad nahin hone ke
Wasf-e-may aur sift-e-yaar ke mazmoon ke siwa
Naseha!Tere sukhan yaad nahin hone ke
Yaar-e-bad ehad ka kitna bara ehsan hai ke hum
Ab kisi ke liye barbad nahin hone ke
Us jafa ju ko dua do ke agar woh na raha
Phir kisi se sitam ejaad nahin hone ke
Aaj phir jashn manaya gya azadi ka
Kal gharon par kayi afrad nahin hone ke
Itne aram talab ho to muhabbat mein Faraz
Meer ban jao ge,farhad nahin hone ke
No comments:
Post a Comment