Agar bazm-e-insan mein aurat na hoti
khayalon ki rangeen jannat na hoti
Sitaron kay dilkash fasanay na hotay
baharon ki nazuk haqiqat na hoti
Jabinon par noor-e-musarrat na khilta
nigahon mein shan e murawwat na hoti
Ghataon ki aamad ko sawan tarastay
fizaon mein behki baghawat na hoti
Faqiron ko irfan-e-hasti na milta
ata zahidon ko ebadat na hoti
Musafir sada manzilon pe bhataktay
safinon ko sahil ki qurbat na hoti
Har ek phool ka rang phika sa rehta
nasim e baharan mein nikhat na hoti
Khudaai ka insaf khamosh rehta
suna hay kisi ki shafaat na hoti
No comments:
Post a Comment