Tuesday, May 31, 2011

Mahtab ruten aaen to kia kia nahi kartin


Mahtab ruten aaen to kia kia nahi kartin
is umr mein to lardkiyan soya nahi kartin

Kuch lardkiyan anjam nazar hotay howay bhi
jab ghar say nikalti hen to socha nahi kartin

Yan piyas ka izhaar malamat hay gunah hay
pholon say kabhi titliyan poocha nahi kartin

Qismat jinhen kar day shab e zulm kay hawalay
aanchal woh kisi naam ka aordha nahi kartin

Jo lardkiyan tarik muqaddar hon kabhi bhi
raton ko diyay ghar mein jalaya nahi kartin

No comments:

Popular Posts