Tuesday, May 31, 2011

Jane nashe mein ke woh aafat-e-jaan khwab mein tha


Jane nashe mein ke woh aafat-e-jaan khwab mein tha
Jaise ek fitna-e-bedaar,rawaan khwab mein tha


Woh sar-e-sham,samundar ka kinara,tera sath
Ab to lagta hai ke jaise yeh samaan khwab mein tha

Jaise yaadon ka dareecha koi waa reh jaye
Ek sitara meri janib nigraan khwab mein tha


Jab khuli ankh to main tha,meri tanhai
Woh jo tha qafila-e-humsafaran khwab mein tha

Aik shab aik saraye mein makeen thay dono
Main to soya hi nahin,woh bhi kahan khwab mein tha

Aise qatil ko koi hath lagata hai Faraz
Shukar kar shukar ke woh dushman-e-jaan khwab mein tha

No comments:

Popular Posts