Layi hayat aayay, qaza lay chali chalay
apni khushi say aayay na apni khushi chalay
Behtar to yehi hay na dunya say dil lagay
par kia karen jo kaam na be dil lagi chalay
Kam hon gay is bisat pe ham jaisay bad qumar
jo chaal ham chalay so nihayat buri chalay
Ho umr e khizr bhi to kahen gay bawaqt e marg
ham kia rahay yahan abhi aayay abhi chalay
Dunya nay kis ka rah e fana mein dia hay saath
tum bhi chalay chalo yonhi jab tak chali chalay
Nazan na ho khud pe jo hona hay, woh hi ho
danish tri, na kuch mri danishwari chalay
No comments:
Post a Comment