Tuesday, May 31, 2011

meri taar taar mohobatain meri dil figaar mohobatain


meri taar taar mohobatain
meri dil figaar mohobatain
meri be waqqar mohobataiN
jo ujarR sakeeN na panam sakeeN
sar-e-shaakh dil na saja kabhi
koi lamha khilte gulaab sa
sar-e-baab jaaN na raqam hoa
koi saaneha koi ulmiyaa
meri be yaqeeN mohobataiN
na ata hoa inhain dohor maiN
na sharf hi shohrat-e-aam ka
na sanad hi koi dawaam ki
na wisaal maiN koi sar khushi
na to shiddataiN ghum-e-hijar maiN
sab hi raahataiN bhi theeN ajnabi
na ruqaabatooN maiN khuloos tha
na theeN istewaar rifaaqataiN
kisi qaid maiN kisi jabar main
sau kitaab-e-jaaN ki ibaarataiN
na siyaah hoi na safaid hi
wahi ek rang tha surmaee
wo jo pairahan hai shaam ka
yoohi umar saari guzar gai
kisi sar kasheeda sawaal maiN
kisi khuaab k se khayal maiN
kisi khauf jese malaal maiN
ek ajeeb si soorat-e-haal maiN
meri bad naseeb mohobatooN
meri ek baat ye jaan lo
kabhi mautabir jo bhi hogaeeN
isi zindagi hi maiN tum agar
to ye dair-e-baab khushi mujhe
nae dukh se kar degi aashnaaN
maiN kahaN se dhoond k laaogi
wo khushi baratne ka zauq-o-shoq
jise waqt le k bhi ja chuka

No comments:

Popular Posts