Tuesday, May 31, 2011

Apnay mahl say thay qais kay rishtay kia kia


Apnay mahl say thay qais kay rishtay kia kia
dasht mein aaj bhi uthtay henbagolay kia kia

Ishq mayyar e wafa ko nahi karta nilaam
warna idraak nay dikhlayay thay rastay kia kia

Jaisay ham aadam o hawwa ki saza bhool gayay
darghulatay rahay jannat kay nazaray kia kia

Log ashyaa ki tarah bik gayay ashya kay liyay
sar bazar tamashay nazar aayay kia kia

Kahin qadmon kay nishan hen, kahin qabron kay nishan
karwan zeest ki sherah say guzray kia kia

Goonj uthta dil e insan to koi baat bhi thi
gosh insan mein undelay gayay daway kia kia

Lafz kis shan say takhliq hoa tha lekin
is ka mafhoom badaltay rahay nuqtay kia kia

Ek karan tak bhi na ponhchi meray batin mein Nadeem
sar aflaak damaktay rahay taray kia kia

No comments:

Popular Posts