Tuesday, May 31, 2011

Pather hi sahi raah mein haael to rahunga


Pather hi sahi raah mein haael to rahunga,
Kuch dair tera madd-e-muqabil to rahunga..

Jab tak teri bakhshish ka bharam khul nahin jata,
Ay meri sakhi,main tera saael to rahunga..

Is waaste zinda hoon sar-e-maqtil-e-yaraan,
Wabasta-e-kam zarfi-e-qatil to rahunga!

Ay taiz hawa mera dhuwaan dekh k jana,
Bujh kar bhi nishan-e-reh-e-manzil to rahunga!

Dushman hi sahi naam to lay ga mera tu bhi,
Yoon main teri awaz mein shamil to rahunga..

Jab tak main baghawat na karun jabr-o-sitam se,
Zindaan mein hoon,paband-e-salasil to rahunga.?

Mohsin zad-e-adaa se agar mar bhi gaya main,
Maiyaar-e-tameez-e-haq-o-batil to rahunga..

No comments:

Popular Posts