Nahin ke nama baron ko talash karte hain
Hum apne be-khabaron ko talash karte hain
Muhabbaton ka bhi mausam hai jab guzar jaye
Sab apne apne gharon ko talsh karte hain
Suna hai kal jinhain dastar-e-iftikhar mili
Woh aaj pane saron ko talash karte hain
Yeh ishq kia hai ke izhar-e-arzu ke liye
Hareef,noha garon ko talash karte hain
Yeh hum jo dhoondte phirte rehte hain qatal gaahon ko
Dar-asal charahgaron ko talash karte hain
Riha huye pe ajab haal hai aseeron ka
Ke ab woh apne paron ko talash karte hain
Faraz daad ke qabil hai justaju un ki
Jo hum se darbadaron ko talash karte hain
No comments:
Post a Comment