Aakhir ko zaroorat hi khareedar ki nikli
Maryam si woh lobat bhi to bazar ki nikli
Dekho kabhi maqtil kabhi gulzar lage hai
Tasveer ajab koocha-e-dildar ki nikli
Ankhon ki tasalli nahin hoti to na howey
Hum khush hain koi shakal to deedar ki nikli
Kyun yaar ke inkar se afsurda hai aye dil
Nadaan! koi rah to iqrar ki nikli
Woh giryaan kunan aur dilasa,main usey doon
Kia tarfa tabiyat mere ghum khwar ki nikli
Waa rehne de Ya Rab dar-e-tauba ke abhi to
Hasrat hi kahan tere gunahgar ki nikli
Kal hijr ki shab,roz-e-qayamat ki tarah thi
Din nikla na jaan hi tere beemar ki nikli
No comments:
Post a Comment