Gham e aashqi say keh do reh-e-aam tak na ponhchay
mujhay khaof hay ye tuhmat meray naam tak na ponhchay
Main nazar say pi raha tha keh ye dil nay bad dua di
tera haath zindagi bhar kabhi jaam tak na ponhchay
Nai subh par nazar hay magar aah ye bhi dar hay
ye sahar bhi rafta rafta kahin shaam tak na ponhchay
Ye adaa e be niyazi tujhay be wafa mubarak
magar aesi be rukhi kia keh salam tak na ponhchay
Jo naqaab e rukh utha di to ye qaid bhi laga di
uthay har nigah lekin koi baam tak na ponchay
No comments:
Post a Comment