Tuesday, May 31, 2011

Jo hadsay ye jahan meray naam karta hay



Jo hadsay ye jahan meray naam karta hay
mera shaoor usay nazr e jaam karta hay

Hamaray chak e gariban say khelnay walo
hamen bahar ka sooraj salam karta hay

Hamhi say qaos o qazah ko mili hay rangini
hamaray dar pe zamana qayam karta hay

Ye mekada hay, yahan ki har ek shay ka huzoor
gham e hayat bohat ahtram karta hay

Faqih e sheher nay tuhmat lagai Saghar par
ye shakhs dard ki daolat ko aam karta hay

No comments:

Popular Posts