Anmol ho chuka hai ab ye piyar her jagah
insaaN hi hai insaan se be-zaar her jagah
her roz mughfirat ki dua paRh k soya kar
aadam ba-shakl e mout hai tayyar her jagah
safr mohabbatoN ka go taveel tr raha
khoya hai main ne dil pe ikhtiyaar her jagah
goya wo lout kr yahaN aaye ga laazmn"
aisay kiya hai uska intezar her jagah
aadam e awwal ne faqt ki thi khataa bs ik
aur ibn e adam to hai khata kaar her jagah
taqdeer main likhi ho maat tab to baat hai
khud hi likh rahy hain apni haar her jagah
rishty khaloos dil ke ab na-paid ho chalay
lalch hawas o hirs ke ambaar her jagah.
No comments:
Post a Comment