Thursday, August 20, 2009

pani tabeer-e-tamanna kay sarabon main utar ja


pani tabeer-e-tamanna kay sarabon main utar ja
aey mairay khaab naey bastee kay raston main utar ja

tujh ko paa lain na kaheen dasht kay weeraanay yeh
chaand ban kar tuu samandar ki hi lehron main utar ja

har taraf dhond rahee hain tujhey zaalim si khizaain
aks-e-khushbu main badal aur meri sanson main utar ja

jin ki khatir koe suraj hi nahin chamka kabhi
chandni raat main tu unn kay dareechon main utar ja

tuu "Behar Zaad" hai " Parwarda-e-Khurseed" na ban
tuu key dhal rait main sahil ki gharondon main utar ja

woh jo larkee tujhey dehleez pay miltee hai rozana
raat ka rang pehan uss kay hi baloon main utar ja

pairahan ourhh lay masoom si ek khahish ka
ban key aa taiz hawa us kay dupatton main utar ja

tuu rida dhaanp lay khush rang gulaboon ki tarha
zaiqa ban kay sanwar chupkay say honton main utar ja

tuu sanwar qous-e-qazah ki tarha aflaak say aa
uss key aanchal kay mehaktay huey rangon main utar ja

uss kay kamray ki puranee kissi khirkee say nazar kar
ek ghazal ki tarha faysal kay khiyaloon min utar ja

No comments:

Popular Posts