badan me.n aag sii cheharaa gulaab jaisaaa hai
ke zahar-e-Gam kaa nashaa bhii sharaab jaisaa hai
kahaa.N vo qurb ke ab to ye haal hai jaise
tere firaaq kaa aalam bhii Khvaab jaisaa hai
magar kabhii ko_ii dekhe ko_ii pa.Dhe to sahii
dil aa_iinaa hai to cheharaa kitaab jaisaa hai
vo saamane hai magar tishnagii nahii.n jaatii
ye kyaa sitam hai ke dariyaa saraab jaisaa hai
‘Faraz’ sang-e-malaamat se zaKhm zaKhm sahii
hame.n aziiz hai Khaanaa_Kharaab jaisaa hai
No comments:
Post a Comment