Sunday, August 8, 2010

Barkha barsi, aangan utri ik albaili shaam


Barkha barsi, aangan utri ik albaili shaam.
aisi shaam k atay hi yaad aaye tera naam.

Kitnay piaaray pawan jharokay kitnay piaaray geet.
In geetoon k suntay hi yaad aaye mann ka meet.

Sawan ki pur kaif hawaaein. jab jab rang lutaaein.
Aisay main kuch beeti baatein. yaad mujhe aa jaaein.

Pichli rutt aor iss rutt ka hai yoon to ek mazaaj.
Pichlay sawan pass tha koi, door hai lekin aaj.

Suna hai waqat badal jaata hai. bhar jaatay hain ghaao.
Shaid aglay sawan main tum itna yaad na aao.

No comments:

Popular Posts