Wednesday, May 19, 2010

ek khwaab aur ai himmat-e- dushwaar pasand


Ek khwaab aur

Khwaab ab Husan_e tasawur k ufaq se haiN pare
Dil k ek Jazbaa_e ma’soom ne dekhe the Jo khawaab
aur ta’beeroN k tapte hue sehraaoN meiN
Tashnagii aabla'paa, sh’ola_bekaf mauJ_e sarab
Ye to mumkin nahi bachpan ka koi din mil Jaye
Ya palat aaye koi sa’aat_e naayaab_e shabaab
phoot nikle kisi afsurdah tabassum se kiran
Ya damak uthe kisi dast_e bureedah meiN gulaab
AAh ! patthar ki lakireiN haiN k YaadoN k nuqoosh
Kon likh sakta hai phir umr_e guzishta ki kitaab
Beetey lamHaat k soye hue tufanoN meiN
Tairte phirte haiN phooti hui aaNkhoN k Habaab
Taabish rang_e shafaq, aatish ruu_e Khursheed
Mal k cHehre pe seHar aayi hai KhooN aHbaab
Jaane kis mor pe, kis raaH meiN kya beeti hai
kis se mumkin hai tamanaoN k zakhmoN ka Hisaab
AastinoN ko pukaareiN ge kahaaN tk aaNsu
ab to daaman ko pakarte haiN lahuu k gardaab
dekhti phirti hai ek ek ka muh khamoshi
Jaane kya baat hai sharmindah hai andaaz_e Khitaab
Dar_ba dar thokareiN khaate hue phirte haiN sawal
aur muJrim ki tarah un se gurezaaN haiN Jawab
sarkashi, phir maiN tuJhe aaJ sda deta hoN
maiN tera shaayr_e aawaaraa_o be'baak_o Kharaab
pheink phir Jazba_e betaab ki aalam pe kamand
ek khwaab aur ai himmat_e dushwaar pasand

No comments:

Popular Posts