mera ehsas mat cheeno!!!!
wo jazbe cheen lo mujh se
jo mere ang, meri rooh, mere dil mein baste hain
jinhen khud mein samone ke liye seene taraste hain
wo lamhe cheen lo mujh se
jo mere zahan ki tareekiyon mein shama roshan hai
meri khilwat ki khusho hai, meri yadon ke gulshan hain
wo chehre cheen lo mujh se
jo khal-o-khad nahen ab aaiine hain meri seerat ke
jo har pehlo se aks zofishan hain meri surat ke
wo rishte cheen lo mujh se
jo mere zahan-o-dil mein roshni ke beej bote hain
jo rag rag mein laho ki chap se mansob hote hain
wo ankhen cheen lo mujh se
jo meri rooh ka noha hain, meri zaat ka lehja
jahan dhalta hai aaiinon mein ehsasat ka lehja
wo sapne cheen lo mujh se
jo in weeran ankhon mein abhi tak jagmagate hain
abhi tak sans lete hain, abhi tak muskurate hain
ye sab kuch cheen lo mujh se
magar ai zalimo! mujh se mera ehsas mat cheeno
talab ki aas mat cheeno
jo mere zabt ki pehchan hai wo piyas mat cheeno
mera ehsas mat cheeno!!!!!
No comments:
Post a Comment