Saturday, July 10, 2010

Kyon Khilwat-E-Ghum Mein Rehte Ho



Kyon Khilwat-E-Ghum Mein Rehte Ho, Kyon Gosha Nasheen Bekaar Hue,
Aakhir Tumhe Sadma Kya Pahuchna, Kya Soch Ke Khud Azaar Hue,

Kyon Saaf Kushadaa Raaston Par Tum Thokarein Khate Phirte Ho,
Kyon Teer-O-Taar Si Galiyon Mein Tum Aan Ke Khush-Raftar Hue,

Kyon Rasta Chhod Ke Chalte Ho, Kyon Logon Se Katrate Ho,
Kyon Chalte Phirte Apne Liye, Tum Aap Hi Ek Deewar Hue,

Kya Uthte Baithte Sochte Ho, Kya Likhte Padhte Rehte Ho,
Is Umr Mein Ye Be-Kaifi Kyon, Kis Waste Nek Atwaar Hue,

Kyon Aise Safar Pe Nikle Ho Manzil Nahi Jiski Koi Bhi,
Kyon Raah Pe Aisi Chalte Ho, Saya Bhi Jahan Deewar Hue,

Kyon TarQ-E-AlaiQ Ko Tumne Samjha Hai Ilaaj-E-Gam Aakhir,
Dekho To Wali Sofi Bhi Yahan Kis Thaath Ke Duniya-Daar Hue,

Mayoosi-E-Paihum Se Tumne Yarana Ye Kaisa Ghantha Hai,
Undoh Alam The Jitne Bhi, Aakhir Wo Gale Ka Haar Hue,

Is Kalba-E-Ehzaan Se Hargiz, Ubhrega Na Suraj Koi Bhi,
Kab Khaak Sitara Baar Hui, Kab Saaya Sahr Asaar Hue,

Kab Subah Ke Nale Kaam Aaye, Kya Garyaa-E-Neem Sabhi Se Mila,
Is Qarya-E-Khwaab-E-Faroshaan Mein Tum Kiske Liye Bedaar Hue,

Bekaar Ulajhte Rehte Ho Kyon Ulti Sidhi Baaton Mein,
Ye Marhale Wasl-O-Hijraan Ke Ab Aise Bhi Kyon Dushwaar Hue,

Us Kuche Ki Raah To Samjhao, Jis Kooche Mein Jaan Mushkil Hai,
Us Shakhs Ka Naam To Batlao, Tum Jiske Liye Bimaar Hue,

MashfaQ Ne Ye Baatein Sunke Kaha, Baatein Na Hui Ashaar Hue,
Ye Dard Batanewale Bhi Kis Shaan Ke Khush Guftaar Hue,

Sad Shukar Ke Khush Usloobi Se Takmeel Ko Pahuchi Ruswayi,
Mohtaj-E-Dua The Jo Khud Hi Aakhir Wo Mere Gamkhwaar Hue...

No comments:

Popular Posts