Saturday, July 10, 2010

Mere Saath Tum Bhi Dua Karo Yun Kisike Haq Mein Bura Na Ho


Mere Saath Tum Bhi Dua Karo Yun Kisike Haq Mein Bura Na Ho,
Kahin Aur Ho Na Ye Haadsa Koi Raaste Mein Juda Na Ho,

Mere Ghar Se Raat Ki Sej Tak Wo Ek Aansu Ki Lakeer Thi,
Zara Badh Ke Chand Se Puchhna Wo Isi Taraf Se Gaya Na Ho,

Sar-E-Shaam Thehri Hui Zameen, Aasman Hai Jhuka Hua,
Isi Mod Par Mere Waaste Wo Charaag Le Kar Khada Na Ho,

Wo Farishte Aap Hi Dhundiye Kahaniyon Ki Kitaab Mein,
Jo Bura Kahein Na Bura Sune Koi Shakhs Unse Khafa Na Ho,

Wo Visaal Ho Ke Firaaq Ho Teri Aag Mehkegi Ek Din,
Wo Gulaab Ban Ke Khilega Kya Jo Charaag Banke Jala Na Ho,

Mujhe Yun Laga Ke Khamosh Khushbu Ke Honth Titli Ne Chhu Liye,
Inhi Zard Patton Ki Ot Mein Koi Phool Soya Hua Na Ho,

Isi Ehtiyaat Mein Main Raha, Isi Ehtiyaat Mein Wo Raha,
Wo Kahan Kahan Mere Sath Hai Kisi Aur Ko Ye Pata Na Ho

No comments:

Popular Posts