Saturday, July 17, 2010

Tassalsul Toot Jayega


Na Chhedon Khilti Kaliyon, Hanste Phoolon Ko,
In Udti Titliyon, Awara Bhanwaron Ko,

Tassalsul Toot Jayega,

Fiza Mehway Sama'at Hai,
Haseen Hothon Ko Naghma-Rez Rehne Do,
Nigahein Nichi Rakho Aur Mujassam Gosh Ban Jao,

Agar Junbish Labon Ko Di
Tassalsul Toot Jayega,

Hawa Se Pattiyan Sargoshiyon Mein Mehave Hai,
Aur Jhumti Shaakhon Ke Jhoolon Mein,
Parindonki Chahek Se Sara Sahil,
Sarmadi Ehsaas Mein Dooba Hua,
Sarshar-O-Shadaan Hai,
Agar Kankar Bhi Satah-E-Aab Pe Mara,
Tassalsul Toot Jayega,

Ufuq Mein Dubte Suraj Ka Manzar
Is Bulandi Se Zara Dekho,
Isi Rangeen Kinare Par,
Shafaq Sona Lutayegi,
Yunhi Tum Be-Hiss-O-Saakit Raho,
Aise Mein Palkein Bhi Zara Jhapkein,
Tassalsul Toot Jayega...

Wo Khwabeeda Hai, Khwabeeda Hi Rehne Do,
Na Jane Khwab Mein Kin Waadiyon Ki Sair Karti Ho,
Bulandi Se Phisalte Aabsharon Mein Kahin Gum Ho,
Falak-Asaar Choti Par Kahin Meh'way Tarannum Ho,
Agar Awaz Di Tumne,
Tassalsul Toot Jayega...

Main Shayad Hoon,
Meri Fikr-E-Rassa, Ehsaas Ki Uss Satah Par Hai,
Jis Mein Khushbu Rang Banti Hai,
Sada Ko Shakl Milti Hai,
Tasavvur Bol Uthta Hai,
Khamoshi Gungunati Hai,
Ye Wo Waqfa Hai..........Aise Mein,
Agar Daad-E-Sukhan Bhi Di,
Tassalsul Toot Jayega...

No comments:

Popular Posts