Saturday, July 17, 2010

Ye Zard Mausam Ke Khushk Patte Haya Jinhe Le Gayi Udakar


Ye Zard Mausam Ke Khushk Patte,
Haya Jinhe Le Gayi Udakar,

Agar Kabhi Inko Dekh Paao
To Soch Lena
Ke In Mein Har Barg Ke Namo Mein
Ziyan Gaya Arq Shaakh-E-Gul Ka
Kabhi Ye Sar-Sabz Konpalein Thi,
Kabhi Ye Shadaab Bhi Rahe Hai,
Khule Hue Honth Ki Tarah Narm Aur Shagufta
Bahut Dino Tak
Ye Sabz Patte
Hawa Ke Relon Mein Bebasi Se Tapad Chuke Hai,
Magar Ab Ye Khushk Ho Rahe Hai,
Magar Ye Ab Khushk Ho Chuke Hai,
Agar Kabhi Is Tarafse Guzro,
To Dekh Lena
Barahana Shaakhein Hawa Ke Dil Mein Gadi Hui Hai,
Ye Ab Tumhare Liye Nahi Hai...

No comments:

Popular Posts