Wednesday, November 2, 2011

Howa to kuch bhi nahi

Howa tu kuch bhi nahi

Bus kaheen door kisi
Benam sanatey may
Shesha-e-dil tootney ki sadaa ayi hai
Uss sadaa may kaheen nihaan hain
Kuch zakhm harey
Zakhm wo jo miley

Sahra-e-muhabbt ki musafaton may
Kuch vasl lamhon ki chahatoon may
Fasana-e-dil ki kitabaton may
Per ab
Be-naam si kasak jag uthi hai
Aik nai fikr jag uthi hai
Koun chunnay ga
Kirchiyan bhikhri hoi si
Koun karega rangeen haath
Apney
Lahoo se
Bus itni hi si tu baat hai jaanan
Aur tu
Howa kuch bhi nahi

Bus yaad banker
Kuch khaar lamhey
Aankhon may chubh gaye hain
Aur
Zara si palkain hi tu num hoi hain
Aur tu
Howa kuch bhi nahi

No comments:

Popular Posts