Suno Jaana!
Judai Mout Hoti Hay
kabhi fursat milay tto daikhna
paton ka girna tum
kay jab yeh shajar say kat ker
zameen per aan girtay hain
tto kesay ronday jatay hain
kabhi qatar say bichri huvi
kunjon kay nohon per nigah kerna
kay kesay aik doojay ki judai per
tarap kar bain kerti hain
kabhi rukhsat kay lamhon main
kisi ki aankh say larakhtay huvay
aansoo ko daikho gay
tto shayed jaan jao gay
Judai Mout Hoti Hay
abhi tum nay muhabbat kay
barastay' bheegtay mosam nahin daikhay
abhi tum titliyon kay rang muthi main chupatay ho
abhi tum muskuratay ho
Suno Jaana!
kabhi jo zindagi nay
ajnabi' viraan raahon per
tumhari yeh hansi cheeni
tto phir aansoo bahao gay
tum itna jaan jao gay
Judai Mout Hoti Hay
No comments:
Post a Comment