Saturday, April 24, 2010

Dard phail jaaye to

Dard phail jaaye to
aik waqt aata hai
dil dharakta rehta hai
aarzoo gazeedo'n ke
hosley nahii chaltey,
dasht-e-be yaqeenii main
aasrey nahii chaltey,
raahrawo'n kii aankhon main
manzilain na jab tak ho'n
qaafley nahii chaltey!
Ik zara tawajjuh se
dekhiye to khulta hai
log un pe chaltey hain
raastey nahii chaltey!
Sochney samajhney se
saath saath chalney se
dooriyaa'n simat'tii hain
faasley nahii chaltey!
Khwaab khwaab aankho'n main
ratjagey nahii chaltey!
Darguzar ke halqey main
masley nahii chaltey!
Do dilo'n ki Qurbat main
teesra nahii hota
waastey nahii chaltey!
Bakht saath chalta hai,
taale'y aazmaawn ke
waqt raam kerney main
tajziyo'n ke daaw kya
tajarbey nahii chaltey!
Ishq ke ilaaqey main
hukm-e-yaar chalta hai
zaabtey nahii chaltey!
Husn kii adaalat main
aajzii to chaltii hai
martabey nahii chaltey!
Dostii ke rishto'n kii
parwarish zaroorii hai
silsiley ta'alluq ke
khud se ban to jaatey hain
lekin in shagoofo'n ko
tootney, bikharney se
rokna bhii parta hai!!
Chaahto'n kii mattii ko
aarzoo ke podey ko
senchna bhii parta hai!!
Ranjisho'n ki baao'n ko
bhoolna bhii parta hai~


No comments:

Popular Posts